Dosto ..
aaj kal ka waqt he kuchh aisa hay
bal k .. waqt hay hee kahan
jo aisa ya wesa ho uf.).gif
khair jitna bhee hay usey kiuoon lambee
baat karney main guzarain .. ??
tou yahan hum aik doosrey ki
Imdad e Bahmi " kuchh iss tarah
karain k .. guftgoo.... ka Qad chhota ho jaey
Alfaz ka zakheera Barhney lagey
tou kuchh puraney khazaney ki
cheezen main aap ko dikhaney ki
koshish karta hoon ...
k koun sa lafz kahan use karna hay
Oooooieeeeeeee:- jab achanak koi aap k payer par apni " Hi heel " rakh dey
Oeyyyyyyy : - jab koi aap ki baat suney bagher farar hney ki koshish main masroof ho
Uhffffff :- kambakht wo na Boley .. jo aap sun na chahtey hon ...
Aaahh :- jab aap ko .. kisi ko diya huwa Udhaar yaad aa jaey ...
Waah :- jab koi bohut bore shakhs aap se janey ki ijazat chahey ...
OOieee Allahhh :- jab choori wala aap ko size se chhoti choori pehnaney ki koshish karey
Aaawwww : - jab aap kisi doctor k paass jaeyn ..
Hunhh :- jab main uss baat ko zaban par he na laoon jo aap k dil main ho
Aaaa'n :- jab achanak aap ki aqal ghaas charney chali jaey
ouhu...:- jab koi achanak aap ko .. khobsoorat keh dey
bbbb thththtt kkikiki jab aap ko alfaz na mil rahey hon .

