haan to problem hai yeh ke ek larka hai jo roz kahin lets suppose parhne ya kuch kaam karne jata hai.usay wahan ek larki pasand aajati hai yeh silsila taqreeban 3 mahine se chal rha hai but larki ko iska kuch nahi pata.larki ki thinking bilkul diff. hai uska attitude uska style dekh kar usay nahi lagta ke woh ussay baat karegi.ek baar woh us larki se baat karne me kamyab ho chuka hai lekin ab jab woh betha usay dekhta hai aur inki nazrein mil jati hain to woh larki iski taraf dekhna tak pasand nahi karti.aur ab ramzan ka mahina aagaya hai us larkay ko yeh sahi nahi lagta ke woh rozay ki halat me ek larki,ek na mehram larki ko 1 ghantay tak dehkta rahay par woh majboor hai usay samajh nahi aaraha ke woh kya kare.us larki ki waja se woh jo karne jata hai uspar kam aur larki par zyada tawajja dene laga hai...aur ab sirf 5 din bachay hain uske baad woh larki kahi aur chali jaaeygi aur larka kahi aur...usay dar hai kelekin phir bhi larka ussay kuch nahi keh sakta. KAHI KUCH HO NA JAEY :-S net par woh kaafi larkio se baatein karleta hai :P but is tarha face to face uske saamne aatay hi iski siti band ho jati hai.usne kabhi is tarha kisi larki se baat nahi ki.yahan topic laganay ka maqsad yeh hai ke aap log bataeyn usay kya karna chayye?
mujhe is tarha ke replies nahi chayye ke usay in chakkaro me nahi parhna chayye usay kaam par conc. karna chayye mehnat karni chayye blah blah...! kyunke yeh ek Serious problem hai ...