Help - Search - Members - Calendar
Full Version: Buzdili Ya Sharafat
HulChul.NET > Science, Arts & Culture > Philosophy & Mysticism
Forever Green
salam.gif

Mujhe aaj tak in dono ka Difference samajh nahi aaya..... Mujhe Ye samajh nahi aaya ke Sharat Kya hay aur Buzdili kya hay ?

Hum Kese dono mein Differentiate kar sakte hain ... Ye baat is liye aaj pooch rahi hoon ke kuch din pehle meri apni ek Frd se jo ke pakistan mein hay us se baat huwi aur us se bata hone ke baad ye sawal abhi tak mere demagh se Nahi nikal saka...

Huwa kuch yoon ke .....Jab mein ne us se baat ki to woh kafi pareshaan thi .... us ne mujhe bataya ke last week kissi ne us ke baba ko Gari se hit kar diya tha ....woh 3 hours tak parking Lot mein Behosh pare rahe Fortunatelly koi Bleeding nahi huwi thi but internal chooten aayin .... Us ke baad us ke baba ke kissi Jan'ne wale ne un ko Hospital tak pohnchaya aur wahan se Ghar walon ko itla ki .... Jab us ke baba ko Hosh aaya aur us ke ghar walon ne poocha ke kya huwa tha to us ke baba ne bataya ke un ke hi ek jan'ne wale ne Accidentally un ko hit kar diya tha aur phir woh ruka bhi nahi ... Meri frd ke 4 bhai hain aur Charon Mashallh se Jawan hain ... Da oldest 1 is of 31 n da youndest 1 is of 17 ....

Mein ne apni Frd se poocha ke jab tumhare bhaiyon ko pata chala ke us Shakhs ke baare mein jis ne tumhare baba ko Hit kiya to unhon ne kya kiya....n da answer she gane me shoked me ....she said " mere bhai kuch nahi karen ge kyon ke hum Shareef loog hain aur Hamen koi Phada nahi chahye ...is tarha ki baton se larai barhti hay"

Mein itna heraan huwi uski baat per ke i aint tell ya .... Unhonne itna tak nahi kiya ke ek dafa us aadmi se pooch lete ke agar us ne accidentally hit kar bhi diya tha to kam az kam hospital le jate kuch bhi kar dete ....Us ke baba ko kuch bhi ho sakta tha ... Lekin kissi ne koi jawab talab nahi kiya cuz da person hit her Dad is really rich n have strong family back ground..

Aap loog buss mujhe Sharafat aur Buzdali mein difference wazih kar dein kyon ke mein bahot confuse hoon .... Kya ye sharaft thi ke aap ke Baba Jani ko koi is tarha marta choor jay aur aap poochna tak gawara na karo ...aur ye keh ke sab ko chup karwa do ke Hum Shareef hain ...

Please guide me with your replies
duas.gif
Faraz Ansab!
QUOTE(Forever Green @ Sep 25 2007, 09:45 PM) *

Well... Main buzdili aur sharafat k is farq ko wazih karne ki koshish karta hoon!!
Buzdili aur sharafat 2 alag alag cheezay hain Agar aap ki shakhsiat aap k surroundings main achaly alfaz main discuss ki jati hai aap k neighbours aur aas paas rehne wale log is baat ki gawahi dete hain k aap aik achay nature k mukhlis aur naik insan hain to it means k aap k andar sharafat pai jati hai aap koi bura kaam nahi karte aur apni hudood main rehte hue zindagi guzarte hain aur apni family friends ko un k huqooq poore dete hain to ye sharafat hai.... Lekin Bil-farz aap k ghar koi chor ya lutaira ghus aata hai aur aap k paas moqa bhi hai k aap us ko apni licensed gun se shoot kar sakte hain ya atleast usko threaten kar sakte hain lekin aap ki himmat wahan jawab de jati hai aap k hath kanpne lagte hain aur jee chahta hai k darwaza band kar loon ya kahin bhaag jaon to ye buzdili hai! agar aap k andar sharafat hogi to aap kahin par kisi se haq par hone ki waja se lar bhi lain gay to aapka impression kahin kharab nahi ho sakta agar aap shareef hain to aap haq par hi hon gay aur yaad rakhiye k agar aap haq par hon to apni jaan apna maal sab laga dain magar peechey na hatain! peechey hatna buzdili hai sharafat nahi hai... aap k case main aapki friend ki family ne sharafat nahi buzdili ka suboot dia hai sharafat isay nahi kehte, jo aap ki dost ki family ne socha hai har banda yehi soch le to is dunia main luteron aur asar-o-sokh rakhne wale logon ka hold aur barhta jaye... dats not gud at all... agar aap haq par ho to kabhi peechey mat hato as being a muslim is baray main humain buhat pakka hona chahiye izzat aur zillat dene wala khuda hai humara koi amal aur koi baat humain izzat nahi de sakti agar "woh" na chahay,
Shareef hone ka matlab ye nahi hai k zamanay k hathon aik khilona ban jao aisi soch rakhne wale logon ko ye dunia kabhi sukh nahi lene deti woh log hamesha apni sharafat qaim rakhne ki nakam koshish hi karte rehte hain, itne meethay bhi mat bano k koi tumhain shakkar samajh kar nigal lay aur itnay karway bhi mat ho k koi tumhain chakhtay hi phaink day... life is all about balance... so keep balance! sharafat ka matlab hargiz ye nahi k apne huqooq maaf kar do.. umeed hai k mere alfaz kuch na kuch clear zaroor karain gay
Regards
Faraz!
Forever Green
QUOTE(Faraz Ansab! @ Sep 25 2007, 11:09 AM) *

xtally !!!! Dats wat i believe in ....... Aap kese apne kissi Pyare ko takleef mein dekh kar chup reh sakte ho , aap kese apni izzat pe aanch aate dekh kar chup reh sakte ho .... Nahi ....sahi baat ke liye larna chahye yahi mein bhi soochti hoon .....Lekin apni frd ki baat se confuse ho gai thi ....

Aap ka bahot thanks samjhane ka ....lekin bahot se loog aese hote hain ke jab aap apni haq baat ke liye bhi laro to aap ko badtameez keh dete hain aur agar Buzdilon ki tarha chup ho jao to appriciate karte hain .... Aesa kyon karte hain loog ?
Bore Na Kar
Uskay bhaiyun ka answer theek tha aur ye buzdali ki baat na thi, 4 bhai hyn iska ye matlab nahi k wo larnay pouhanch jatay kyun k jis tarha aap ne likha hy k uskay 4 jawaan bhai thay iss se yahi nazar aa raha hy k aap kehna chah rahi hyn k uskay bhai jaa kar uss shakhs ki phainti laga detay smile.gif poochne ki jahan tak baat hy to uskay abu agar munasib samjhein gay to khud unn sahib se pooch lein gay aur agar apnay kisi betay ko le jana chahein to le jaian gay...... yakeenan ye accident wala waqaya pakistan ka ho ga (agarche aap ne mention nhi kia) well u dont know k aisay maamlay mein hath daalnay se baat kahan se kahan tak jaa pouhanchti hy, ye kehna bouhat asaan hota hy k doosray k khilaf police mein report di jaye ya muqadma kar dia jaaye lekin aaj kal ye soorat e haal hai k sharafat issi mein hoti hy k adalat tak na hi pouhancha jaaye, bcoz the consequences can be very severe.
Forever Green
QUOTE(Bore Na Kar @ Sep 25 2007, 11:58 AM) *

Thanks for ur Words..

Jee Incident to Pakistan ka hi hay cuz she is in Pak.... aur 4 bhaiyon ko mention karne ka mera maqsad ye tha ke jin ke bete nahi hote ya sirf ek hota hay to woh loog dar ke chup ho jate hain kyon ke unke saath khara hone wala doosra koi nahi hota ....

lekin ye to khud hi 4 bhai hain ek doosre ko sambhaal sakte hain naa... Aur agar aaj chup ho jaen to kya Gurantee hay ke kal ko koi aesi zyadti nahi kare ga un ke saath ...

mujhe to ye Sharafat nahi lagti ...Kam az Kam insaan ek baar pooch to le ke tum ne itni gandi harkat ki us ke baad yunhi marne ke liye choor diya hamare baba ko ....

Agar unke baba ko kuch ho jata to kon jawab deh hota?....
Bore Na Kar
Unkay baba ko agar kuch ho jata to phir wo koi iqdaam kar letay magar yakeen karein k yahan halaat aisay hyn k khamoshi mein hi insan ka bhala hy.

U know, mere sath kya hua. Mera mobile chori hua, mene ghar walon ko kaha k main poilce mein iski report darj karwa k ata hon, lekin ghar waalon ne mana kiya, maine tab kaafi sunayi sub ko k khamoshi ka naam buzdali hy aur zulm k khilaf khamosh nahi rehna chahiye etc etc.... kher police station gaya report likhwanay to unhon ne poocha k abu kya kartay hyn kahan rehtay ho etc etc, mene bataya to bolay beta g aap shareef khandan se ho to police station mein kyun aa gaye, aap jao apka mobile konsa mil jana hy aur agar mil b gaya to adalton k chakkaron mein parh saktay ho kya.....
Yahan pe wo USA ya Europe wala hisaab hy hi nahin smile.gif chahay koi issay buzdali hi kahay lekin aajkal ye khamoshi hi aqalmandi aur sharafat hy...... Farz karein k uskay bhai unn sahib k paas jatay aur wahan taqraar ho jati (jo iss case mein saaf nazar aa rhi hy k zrur hoti) to u know k yahan 10, 10 rupees k liye qatal ho jatay hyn, maamla kahan se kahan pouhanch sakta tha...... sharafat issi mein hy k agar unkay baba jaan ko nuqsaan nahin hua to khamoshi ikhtayaar kari rakhein, sabar rakhein aur Allah se dua karein k hmaray maashre mein b insaf ka bol bala ho.
Forever Green
Salaam Adnan Bhai ....

Mein ne aap ka reply parha tha aur us ke jawab mein reply bhi kiya tha lekin Unfortunatelly woh sab posts ghayab ho gai hain ..... Mein ne wahan jo kuch likha tha woh dobara to nahi likh sakti lekin summary zaroor karna chahti hoon ....

Aap ne apni posts mein 2 example di thin ..... jis mein aap ne last mein ye kaha tha ke Pakistan mein kuch bhi kar lo kitna bhi lar lo koi faida nahi sach ka saath koi nahi deta ... Lekin aap sab ki itni mehnat jo aap ne aur aap ki family ne First case mein ki thin ..... For ur causion Murder ..... mein sirf itna hi kahon gi ke aap loogon ne buzdili ka muzihira nahi kiya issi liye woh shakhs jis ne itn abara Gunah kiya aap loogon ne ussu majboor kar diya ke us ko sheher hi chorna para ............Agar aap loog ye sooch kar chup ho jaate ke kya faida kuch bhi karne ka to us shakhs ko aur zyada aazadi mil jaati ....

Doosre case mein jo huwa us mein bhi aap loogon ki bahudri ka saboot diya aur kuch na sahi lekin ab kam az kam woh aadmi kissi ko bhi is bedardi se hit karne se pehle sooche ga zaroor ...

yahi mera point hay bhai...... ke kam az kam Haq ke liye ek baar to bol lena chahye is se zamir bhi mutmain hota hay aur gunah karne walon ke hosle bhi kamzoor par jaate hain ....

Chup rehna Sharafat nahi balke Jaraim ko firogh dena hay aur wese bhi Zulm karne wale se Zulm sehne wala Bara gunahgaar hot ahay to hum kyon is gunah ke murtakib ho rahe hain .... Dil mein pachtawe le kar kyon jee rahe hain ......

kaash Allah jee hum sab ko himmat dein ke hum loog haq baat ke liye lar saken aamin ....

Aaap ka bahot shukrya bhai .....n i really appriciate wat eva u did for ur family
clapping3.gif
Abu Adnan
QUOTE(Forever Green @ Sep 27 2007, 08:02 AM) *

mera gum.shudah jawaab (shukar hai k aap nay gum honay say pahlay paRh lia 0-25_coolguy.gif ) pakistan ki ground realities par mabni thaa k hamaiN apnay oopar honay walay zulm k khelaaf awaaz oThaanay kaa sochnay say qabl yeh zaroor jaaizah lay lena chahiyeh k:

1. hum kahaaN tak 'moqaablah' karna hai aur kiss moqaam par moqaablay say dast.bardaar hojaanaa hai.

2. step-1 ka faislah iss bunyaad par karna chhaiyeh k hum khud ko aur apni families ko mazeed expected nuqsaanaat (jaani / maali / zehni tension / ayandah k risks etc) say bachaa sakaiN. nah k aanay k nuqsaan k azaalay k liyeh rupayya gaNwa daiN.

3. apnay ooper honay waalay zulm ka moqaablah karnay say pahlay Theek Theek apni aur madday moqaabil ki quwwatouN ka Theek Theek takhminah laga laiN. aur yeh bhi dekh laiN k baat baRhnay ki soorat maiN intezamia kiss ki taraf jasakti hai.

wazah rahay k above saari baataiN zaati / families ko kissi aik fard / group ki janib say amadan yaa bila iraadah pahochnay waalay nuqsaanaat k hawaalay say hai.... haq o baatil ki jang yaa osoolouN ki laRayee k hawaalay say naheeN hai k jahaaN inn maiN say kissi bhi 'zameeni haqaaiq' ki parwaah kiyeh beghair, anjaam ki parwaah kiyeh beghair har soorat maiN apnay osool / imaan / haq kaa saath naheeN choRna.......... aiee soorat maiN borayee / zulm ka moqaablah available quwwat say laazman karnaa hai. agar quwwat dastyaab nah ho to zobaan say zaalim / boray ko zaalim aur bora kahna hai aur agar yeh bhi nah karsakay to dil maiN ossay zaalim / boraa jaanaa hai magar yeh imaan kaa aakhri darjah hai... aik hadees ka yehi mafhoom hai.

buzdilli aur sharafat par abhi hum nay koi academic baat nahee ki k inn maiN kia faraq hai aur sharafat ki had kahaaN khatam hoti hai jahaaN say buzdilli ki had start hoti hai. aik had khatam honay aur doosray ka start honay ka exact ta'ayyun bahoot mushkil hai go k naa.mumkin naheeN. lekin iss bahas say qabal maiN nay zeyadah zaroori yeh jaanaa k zameeni haqaaiq k hawalay say kuch bataiN karli jayaiN jo viewers k liyeh zeyadah sood mand hosakti haiN. mahaz bahas mobaahisa to hota hi rahta hai.

iss aham topic ko start karnay ka shukarya. omeed hai k readers ko kuch nah kuch faaidah zaroor howa hoga.
Bore Na Kar
QUOTE
Chup rehna Sharafat nahi balke Jaraim ko firogh dena hay aur wese bhi Zulm karne wale se Zulm sehne wala Bara gunahgaar hot ahay

Ye kehna asaan hy lekin karna bouhat mushkil .... aur baaz aukaat na mumkin

Aap batain k ek wadeeray ka beta gaoz k ek maamooli shakhs ko thapar maar deta hy to kya wo mamooli shakhs uss wadeeray k betay ko thapar maarne ya badla lenay uski haveli mein jaaye ya khomash rahay?? khamosh rahay ga to khud b masaail se bacha rahay ga aur biwi aur beti k i izzat b mehfooz rahay gi , aur agar kuch karay ga to jo jo kuch ho sakta hy uskay khandaan k saath wo to wohi bhugtay ga aur hum ye falsafa sunatay rahein gay k khamoshi buzdili hoti hy. isnt it?
Kashif
mera reply kahan gaya ? crying_anim.gif
Forever Green
QUOTE(Abu Adnan @ Sep 26 2007, 07:23 PM) *

Aap ne theek kaha Bhai ..jis tarha ka Mahool aap ne bataya hay pakistan mein us ko to sooch kar bhi dar lagta hay afrd.gif Aur Kitni Khoobsoorti se aap ne Un loogon ki Baton ko 3 points mein Paish kiya hay jin ki Families hoti hain ...Bahot khoob 0-headbang.gif

lekin Bhai .mein abhi bhi Buzdili aur Sharafat mein farq jan'na chahon gi ....Kahan tak hoti hay Sharafat ki Limit aur phir kahan se Buzdili shuroo ho jati hay ... mein jan'na chahti hoon ke kon loog hote hain jo Sharafat ki Aar mein Buzdili ko Chupate hain ...

Waiting for ur words Bhai
smile.gif
Forever Green
QUOTE(Bore Na Kar @ Sep 26 2007, 07:45 PM) *
Ye kehna asaan hy lekin karna bouhat mushkil .... aur baaz aukaat na mumkin

Aap batain k ek wadeeray ka beta gaoz k ek maamooli shakhs ko thapar maar deta hy to kya wo mamooli shakhs uss wadeeray k betay ko thapar maarne ya badla lenay uski haveli mein jaaye ya khomash rahay?? khamosh rahay ga to khud b masaail se bacha rahay ga aur biwi aur beti k i izzat b mehfooz rahay gi , aur agar kuch karay ga to jo jo kuch ho sakta hy uskay khandaan k saath wo to wohi bhugtay ga aur hum ye falsafa sunatay rahein gay k khamoshi buzdili hoti hy. isnt it?

aap ko Pata hay In waderon ko Ye aazadi issi waja se mili hay ke woh apni fironiyat se loogon ko darate hain aur loog Darte rehte hain ....Kaash hum sab mein itni Unity hoti ke kissi ek per Zulm ka jawab sab mil kar dete to aaj rona kis baat ka tha...

Theek hay Bahot choote Choote Ilaqon mein aesa karna na mumkin hay ....lekin un loogon ke bare mein kya kaha jay jo Hasiyet mein Taqreeban barabar hote hain lekin apni Buzdili ke haton majoor hokar chup bethe rehte hain aur ek lafz bhi nahi bolte ... Aur Jawab talabi per keh dete hain ke Hum to shareef hain in pangon mein nahi parte ...

U know ...west ka system itna strong kyon hay ...Kyon ke yahan Laws hain yahan Unity hay yahan Rights ka pata hay ...yahan Panalty hay ....yahan Jurm ko paida hone se Pehle hi Khatam kar diya jata hay ..

kitne afsoos ki baat hay jo khoobiyan ek Muslim mulk mein honi chahye woh ek Non Muslim mulk mein hain aur hum aaj inhi ke haaton khilona bane Zulm seh rahe hain ...
Forever Green
QUOTE(M Kashif Nisar @ Sep 26 2007, 08:02 PM) *
mera reply kahan gaya ? crying_anim.gif

replies to bahot se loogon ke Ghayab huwe hain jee ...jin mein ek Bechari mein bhi hoon crying_anim.gif

Koi baat nahi naa... aap dobara reply karo hum dobara jawab dein ge
yes.gif
Bore Na Kar
QUOTE
U know ...west ka system itna strong kyon hay ...Kyon ke yahan Laws hain yahan Unity hay yahan Rights ka pata hay ...yahan Panalty hay ....yahan Jurm ko paida hone se Pehle hi Khatam kar diya jata hay ..

kitne afsoos ki baat hay jo khoobiyan ek Muslim mulk mein honi chahye woh ek Non Muslim mulk mein hain aur hum aaj inhi ke haaton khilona bane Zulm seh rahe hain ...

Pyari Behna: West ka system wahan k logon ya unity ki wajah se nahin mazboot balkeh iss wajah se mazboot hy k wahan JAWAB TALBI hoti hy, koi mujrim bach nahi paata, wahan par laws enforcement hoti hy........aur yahan iss mein se kuch bhi nahin hy, jab police, intezamiya aur adaltein insaf ki rah mein rakawat hyn to ek ghareeb shakhs police k pangon mein parr kar apna sub kuch ganwa bethay ga.......

U r in USA, wahan beth kar esi baatein aur haq aur insaf k liye larnay ki baatein karna bouhat asaan hy, kyun k uss maashray mein reh reh kar insan pakistan ki ground realities ko nahin samajh sakta.......

Agar farz karein k barabar k bhi loag hyn to phir kya ho ga?? yahan beshumaar aisay cases hyn jahan dono parties barabar ki thi aur unki naslon ki naslein khatam ho gai......

U know yahan kisi ghareeb par zulm ho jaaye to wo FIR tak darj nahin karwa sakta kisi nazim ya waderay k khilaf. FIR k liye 20, 25 hazaar rishwat talb ki jati hy aur kisi ghareeb ki beti ki izzat lut-ti hy to agar wo insaf k liye police k paas jaaye to ulta uss par bud-kaari ka muqadma bana diya jata hy.....

Europe america k drawing rooms mein beth kar ye baatein karna aur aisay maamlon mein na parnay waalon ko buzdil kehna yakeenan bouhat asaan hy lekin yahan aa kar 10, 10 saal tak muqadmay bhugatna aur apnay ghar waalon ka qatal karvana bouhat mushkil......

Kuch arsa pehle ek shakhs ek muqadma jeet gaya, uskay dost ne uska cycle chori keya tha, wo insaf k liye adalat gaya aur case jeet gaya, jaanti hyn aap k wo cycle kab chori hua tha?? 1982 mein aur case ka faisla hua 2006 mein. Becharay ne cycle k case mein itne pesay lagaye jin se wo motor cycle khareed sakta tha smile.gif

Insan zulm k khilaf awaz to tub uthaye jab kahin se uskay zulm ka madawa ho sakay lekin jab muhafiz hi luteray bun jaain to phir kahan jaaya jaaye?

Aaj agar amerca mein log fauran k police k paas jatay hyn to unko pata hota hy k unki baat suni jaye gi aur azala keya jaaye ga unkay nuqsan ka...... lekin agar unko pata ho k police station janay ka b koi faida nahi balkeh ulta nuqsan hy to kya koi jaaye ga??

Aur aisa sirf pakistan k chhotay ilaaqon mein nahin hota jesa k aap ne likha balkeh baray baray ilaaqon mein aisa hota hy smile.gif

Apko ek wakaya sunata hon, LAhore ka hy, Wazeer e Aala Punjab ka bhateeja car mein ja raha tha k usne ek larki ki car ko takkar maar di, larki ne car se baahir aa kar ghussay se usay kaha k tumne kyun takkar maari to uss larkay ne car back ki aur zor se aik aur takkar uski car ko m aar di aur bola main wazir e aala ka beta hon kya kar lo gi, larki ne mobile se call ki, wo kisi Army Brigadier ki beti thi, ussi waqt kuch army waalay aaye aur larkay ko utha kar le gaye aur us larkay k ghar walay dhondtay reh gaye k wo larka gaya kahan, ab fauj se kon poochay smile.gif
Ye hai yahan ki soorat e haal smile.gif Pakistan mein rahein gi aur aisay do chaar wakayaat ka saamna karein gi to lug pata jaaye ga, USA hota to wo larki police mein ja kar complaint kerti aur larkay ko wair e aala ka bhateeja hone k bawajood saza milti lekin yahan wo larki police k paas jaati b to na mumkin tha k police ek raat bhi uss larkay ko police station mein rakh paati... Ground realities ko b dekhiye na smile.gif

Haan hum ye baat keh saktay hyn k yahan ka system kharab hy, isko kese sahi keya jaaye lekin iss system talay dub janay waalay logon ko buzdil kehna yakeenan ek sangeen mazak hy smile.gif
Forever Green
QUOTE(Bore Na Kar @ Sep 27 2007, 09:10 AM) *

Aap ki sari Baten bilkul sahi hain .....mein in mein se kissi se bhi Inkaar nahi kar rahi kyon ke mein jaanti hoon ke yahi haqeqat hay ...

Lekin Jahan tak baat hay ke USA ke drawingrooms mein beth kar aesi baten karna to aap ko bata doon ke meri Poori ki Poori family USA mein nahi hay ...hamare bahot se reletives aaj bhi Pakistan mein hain ....Unki taklefen hamari taklefen hain .....aur aesa kitni dafa huwa hay ke Mere Baba un loogon ke liye lare hain kissi bhi na insafi hone per ....

Ye sirf USA ki baat nahi ....Ke USA aake mein aesi baaten kar rahi hoon ....Haq ke liye bolna mein ne apne baba se seekha hay Jo hamesha Khare ho jaate the sahi baat ke liye aaj bhi woh aese hi hain aur tab bhi woh aese hi the jab Pakistan mein the aur Tab unke paas itne wasael nahi the

I still remember I was so young at dat time may b of 6 or 7 Lekin ye baat aaj tak nahi bhooli ...We were in pak dat time....... Mere Baba Apne Office ja rahe the .... Hamari Street ke aakhir mein Ek Steel wale ki Shop thi ...mere baba ki buss salaam dua thi us se koi jaan pechaan nahi thi iske ilawa.... Mere Baba ne dekha Ke Us aadmi ki Shop ka Shutter down tha poora nahi aadha aur kuch loog uski shop ke bahir Khare the .... Tamasha karne ...Mere baba ne Gari rooki aur poocha ke kya huwa to kissi ne bataya ke Koi 3 aadmi the aur is ka gala kaat diya hay aur baqi bhi Zakhmi hay Lekin abhi Zinda hay .... Mere baba ne Ek min ki Dair kiye Baghair Shop ka Shutter Uthaya aur us aadmi ki Haalat bahot Kharaab thi sirf khoon hi khoon .... Mere baba ne us ko Apni gari mein Dala.... Loog mana karne lage ke kyon panga Lete ho ...per baba ne kissi ki nahi suni aur usko Doctor ke pass le gay ...Us ko bahot se stiches aaye aur woh Aadmi Bach gaya:) ............ Baad mein pata Chala Kuch loog us aadmi se paise cheene aay the aur Ehtejaj per uska ye haal kiya....

Jab woh aadmi theek huwa to poore khaandan ke saath baba ko thanks kehne aaya .... Aap ko ye bata doon ke mere baba koi bahot bare Aadmi nahi the jab Pak mein the Bahot aam se aadmi the Lekin kabhi bhi Ghalat baat per na hi chup huwe na hi bardasht kiya ..... aur kissi ki Himat nahi huwi ke koi un per ungli uthay ....

Ye sab mein ne apne baba se seekha hay .... Bahot si aesi misalen hain .... Mera kehne ka matlab ye hay ke Hum Bolte huwe kyon darte hain ....aap ne jo kuch system ke bare mein kaha sab theke hay lekin jahan jaan ka khatra na ho Izzat ka khatra na ho ....Hum phir bhi wahan kyon chup reh jaate hain ...

meri samajh nahi aata ke isko Kon si Sharafat kaha jay ...?
Abu Adnan
QUOTE(Forever Green @ Sep 27 2007, 08:48 PM) *

replies to bahot se loogon ke Ghayab huwe hain jee ...jin mein ek Bechari mein bhi hoon crying_anim.gif
Koi baat nahi naa... aap dobara reply karo hum dobara jawab dein ge
yes.gif

saaf saaf yaa .... cut.gif

E9.gif E9.gif
Kashif
QUOTE(Forever Green @ Sep 27 2007, 08:48 PM) *

replies to bahot se loogon ke Ghayab huwe hain jee ...jin mein ek Bechari mein bhi hoon crying_anim.gif
Koi baat nahi naa... aap dobara reply karo hum dobara jawab dein ge
yes.gif

acha......to yeh baat thi

khair
main iss mamlay mein itna kehna chahon ga kay un larrkon kay samnay koi wadera nahin tha bulkay aik jan-nay wala shakhs tha.......iss liyay woh beshak jhaggra na kartay laikin unhain us aadmi say ja kar pochna zaroor chahiyay tha .......beyshak humara system aisa bana huwa hay kay aik 2 banday agar kisi power walay banday kay khilaf aawaz uthana chahhein to un ka hi nuqsan hota hay .......iss liyay woh khamosh rehna hi betar samajhtay hain ...yeh masla to us waqt tak hal nahin ho sakta jab tak saray mazloom mil kar us zalim kay khilaf ho jayein ...laikin aisa hota nahin hay kiyonke insan ko apnay rishtay kamzoor bana detay hain...jab us kay ghar walon ko nuqsan pohanchnay ka khatra hota hay to woh majboor ho kar khamosh ho jata hay
Abu Adnan

ok. itry my best .... yaad rakhiyeh k aksar insaanouN maiN bahaduri / buzdilli (jissay sharafat k parday maiN bhi chupa kar pesh kia jata hai) 'by-default' hoti haiN...... yeh by-default bahaduri agar +ve use ki jaye to aik musbat step hai aur agar -ve use ki jaye to yeh quwwat 'badmaashi' ki taraf lay jati hai. aksar bad.maash by nature 'bahadur' hotay haiN. jinn logouN maiN bahaduri 'in built' nahi hoti woh kharji awamil say jaisay iqtedaar, daulat, bairooni support etc say hasil kartay haiN ... aur jinhaiN yeh 'wasaail' moyassar nah ho aur woh 'khatraat' ka sahi idraak bhi rakhtay houN to aisay log +vely sahareef aur -vely buzdil banjatay haiN.

hazart Umar RA aik bahadur insaan thay by-default.... islam laanay say qabl bhi aur islam laanay k baad bhi... qabl azeeN woh apni iss quwwat ko -vely bhi use kartay thay lekin islam laanay k baad woh issay +vely hi use kia ... lekin woh har 2 sooratay haal maiN bahadur hi thay jo buzdilli ki zidd hai.

hazrat usmaan ghani RA aik 'shareef' insaan thay woh hazrat umar RA ki tarah 'bahadur' nah thay. woh aik aalaa khaandaan k fard aur intehayee ameer honay k bawajood hazrat umar RA jaisi 'bahaduri' dekhanay say qaasir thay. hatta k khalaeefah e waqt bannay k bawajood iqtedaar ki quwwar onhaiN 'bahadur' nah bana saki. aur jab onhaiN quran paRhtay howay shaheed kia gaya to onhouN nay shahadat say qabal apnay saathiyouN ko apnay qatal ka badlah lenay say mana farmaa diaa ... halaankay k yeh onka HAQ tha ... khoon ka badlah khoon hota hai. aur aik hukmraan k qaatil ko iss dunyaa maiN kaun choR deta hai.... kia yeh aap ki sharafat thee yaa buzdilli ... aap jo bhi naam day laiN .... amalan woh aik 'ghair-bahadur' insaan thay........ hamaray piyaray Nabi PBUH nay kabhi bhi hazrat usman ki iss sharafat / buzdili ki mazammat nahi ki aur nah hi onhaiN hazrat umar RA ki misaal di.

agar apni zaat / families par honay walay mazaalim par badlah nah lia jaye balkay maaf kardia jaye yaa maamlah Allah par choR dia jaye k wohi insaaf karay to yeh to sad feesad 'sharafaat' hai. issay 'buzdilli' nahi gardaanaa jasakta. aur agar koi fard / family yeh 'behaviour' opt karay to islam issay discourage nahi karta. aur agar theek theek badla lay to islam mana bhi nahi karta. it's upto the person k woh apni soch / salahiyyat k motabiq kaun see raah opt karta hai.......... doosri taraf agar zulm kissi doosray par horaha ho aap ki maujoodgi maiN to iss zulm / haqooq salbi k khelaaf awaaz oThanaa 'farzay kifaayaa' ki maanind hai. agar chand nay bhi yeh farz adaa kardia to sab par say farz adaa hogaya. aur agar kissi nay bhi awaaz boland nah ki to sab (haazir) mujrim hongay..... doosrouN k haq k liyeh awaaz oThanay k wohi 3 tareeqah hai 1. taqat say zaalim ka haath rokna 2 zobaan say awaaz oThana 3 dil maiN boraa jaanaa............. ab yeh har indivisual par depend karta hai k qudrat nay ossay kahaaN tak ki salahiyyat di hai. agar ossay taqat-1 hasil hai aur issay use nahi karta to mujrim hai buzdil hai. agar koi taqat-2 rakhta hai aur awaaz bhi boland nahi karta to yeh yaqeenan buzdil hai. aur agar dil maiN bhi bora nahi jaanta to nah sirf yeh k imaan say kharij hai balkay past tar buzdil hai.

'sharafat' .... taqat rakhnayk bawajood apnay haqooq ghazab honay k khelaaf action nah lenay ko kahtay haiN ... majbooran action nah lia jaye to issay majboori kahtay haiN, sharafat nahi.

'buzdili' .... taqat rakhnay k bawajood (kissi bhi category maiN) ... apnay saamnay doosrouN k haqooq ghazab honay k khelaaf koi action nah lenay ko kahtay haiN.

Allah nay agar kissi ko by-default bahaduri ka jazbah nahi dia hai to aisay fard say 'bahaduri' ki tawaqqah Allah bhi nahi rakhta. hum aur aap ko bhi nahi rakhna chahiye. bahudiri / niDar aik andarooni jazbay ka naam hai jissay jissmani quwwat, aur khaarji wasaail support faraham kartay haiN.... aik kamzore aur bay wasaail magar bahadur' fard har zulmk khelaaf seenah super hojata hai. sirf bahaduri k jazbay k tehat. aur iss jazbay say mahroom kharji wasaail k bawajood buzdili kamuzahira karta hai.

omeed hai k sharafat aur buzdilli dounouN ki hadood wazah hogayee houngi. yeh bazahir apas maiN miltay jultay haiN lekin amalan bilkul alag alag haiN. bus inki shanaakht k liyeh basarat k saath saath baseerat ki bhi zaroorat hai.

PS: koi aik reply to baqi rahega ab saray to 'laa.patah' honay say rahay.... E9.gif E9.gif
Forever Green
QUOTE(Abu Adnan @ Sep 27 2007, 08:19 PM) *

Thank u sooo Much bhai ... For such a wonderful Reply ...ye sirf aap hi Kar sakte ho n Mein aap ki explanation ke baad ab to Wazih Alfaaz mein Keh sakti hoon Ke aap " Eik Bahudur Insan Hain " clapping3.gif

Achaa leme Explain jo Mujhe samajh aaya hay ...

Yani ke Agar koi Shakhs Khud per zyadti hone per bhi Chup rahe aur Maaf kar de to Woh shakhs "Shareef" Huwa

Aur Koi Shakhs Taqat hone ke Bawajood kissi per bhi Zulm hote dekh kar bhi Chup rahe to woh "Buzdil" Huwa..

Ab Yahan ek aur Question mere demagh mein aaraha hay bhai 1-embaressed_smile.gif

Woh ye ke ...Kya Shareef Insan Apne per Zulm hote waqt to chup rehta hay Lekin kissi aur per Zulm hote dekh kar Mazloom ka saath deta hay ?

Aur kya "Buzdil" Insan doosron per Zulm hote dekh to chup rehta hay Lekin apne per Aaye to kya tab woh Bolta hay ya Tab bhi chup rahe ga woh ...

Agar dono cases mein Jawab nahi hay to phir to Koi Farq hi na huwa na In dono baton mein ... Please Bhai ye bhi Clear kar dein naaaa poster_oops.gif

Thanks again ke aap itne aaram se aur Tafsil se meri baton ka jawab de rahe ho ...... tusi Great ho bhai
thumbup.gif
Abu Adnan
QUOTE(Forever Green @ Sep 28 2007, 06:54 PM) *
Thank u sooo Much bhai ... For such a wonderful Reply ...ye sirf aap hi Kar sakte ho n Mein aap ki explanation ke baad ab to Wazih Alfaaz mein Keh sakti hoon Ke aap " Eik Bahudur Insan Hain " clapping3.gif
Achaa leme Explain jo Mujhe samajh aaya hay ...

Yani ke Agar koi Shakhs Khud per zyadti hone per bhi Chup rahe aur Maaf kar de to Woh shakhs "Shareef" Huwa

Aur Koi Shakhs Taqat hone ke Bawajood kissi per bhi Zulm hote dekh kar bhi Chup rahe to woh "Buzdil" Huwa..

Ab Yahan ek aur Question mere demagh mein aaraha hay bhai 1-embaressed_smile.gif

Woh ye ke ...Kya Shareef Insan Apne per Zulm hote waqt to chup rehta hay Lekin kissi aur per Zulm hote dekh kar Mazloom ka saath deta hay ?

Aur kya "Buzdil" Insan doosron per Zulm hote dekh to chup rehta hay Lekin apne per Aaye to kya tab woh Bolta hay ya Tab bhi chup rahe ga woh ...

Agar dono cases mein Jawab nahi hay to phir to Koi Farq hi na huwa na In dono baton mein ... Please Bhai ye bhi Clear kar dein naaaa
poster_oops.gif

Thanks again ke aap itne aaram se aur Tafsil se meri baton ka jawab de rahe ho ...... tusi Great ho bhai
thumbup.gif

  • agar dounouN cases maiN chup rahay to woh 'shareef-buzdil' hoga. E21.gif
  • agar woh apnay case maiN to bolay aur doosrouN k cases maiN chup rahay to woh 'khud-gharz' hoga.
  • agar woh apnay case maiN chup rahay aur doosrouN k cases maiN bolay to woh 'sahreef-n-bahadur' hoga.
  • agar woh dounouN cases maiN bolay to woh 'niDer-o-bebaak' hoga.

wazah rahay k 'buzdil' aur 'bay.hiss' maiN bhi aik bareek saa farq hota hai. 'bay.hiss' woh hota hai jo apnay yaa doosrouN par honay walay zulm par koi reaction / ghussa zaahir nahi karta. apni / doosrouN ko milnay waali takleef ko bus sah leta hai. yaa zeyadah say zeyadah 'woh-raastah' badal leta hai jahaaN oss par zulm howa thaa........ aisaa fard 'majboor' kahlaa sakta hai. issay bay.hiss yaa bay.waqoof kah saktay haiN magar issay buzdill nahi kah saktay.

'buzdil' fard dar asal 'aqalman' hota hai yaa youN kah laiN k 'chalaak' hota hai. woh aanay waalay waaqe'aat ko 'imagine' karsakta hai.... aur agar aanay waalay waaqe'aat ossay apnay / apnouN k liyeh nuqsaan dah nazar aayaiN aur woh iss expected nuqsaan par 'khauf.zadah' hokar zaalim ko jawaab nah day tab yeh 'buzdill' kahlaayegaa. yaani 'bakri-jaisay-dill-walaa'. buzz means bakri. aur animals maiN bakri bahoot hi darpoke hoti hai. har khatray ko dekh kar dum daba kar bhaag jati hai.

agar aap ko koi bachcha 'buzdil' nazar aaye to fauran analyze karaiN k woh kaheeN bay.waqoof, bay.hiss to naheeN. coz aik 'real buzdil bachchaa' ... aqalmand yaa kam az kam chaalaak hota hai, near-future ko imagine karnay ki salahiyyat rakhta hai aur apnay environment k musbat /manfi asraat say bah khoobi agaah hota hai. aur apnay liyeh khatraat paa kar hi 'buzdilli' yaa apni 'laachaari' ka izhaar karta hai. aisay kidz ko proper guidance / tips faraham karnay ki zaroorat hoti hai. jab ossay 'safe-passage' nazar aajaye to phir oski 'buzdilli' ghaib hojati hai.

masalan aik real buzdil bachcha kabhi bhi knife, match, yaa patakhouN ko bay.ihteyaati say 'handle' nahi karega. aur 'ehteyaat' ka raastah nazar aanay ki soorat maiN aisee cheezouN say door bhagega jissay 'buzdilli' ka naam dia jata hai. aur hum log oska mazaaq oratay haiN k lo Dar gaya............. jabkay bay.khatar har cheez ko otha lenay aur use karnay ki koshish karnay walay bachay ko hum bahadur kahtay haiN halaaNkay woh bay.waqoof yaa kam az kam bay.ihteyaat / un.aware hota hai risks say. hamaiN aisay bachouN ko risk-education deni chahiyeh takay nah to woh knife say Daray, khauf khaye.... knife say kaam lenaa bhi aajaye aur knife k risks say agaah bhi rahay aur khud ko zakhmi nah karlay.................. issi example ko elders par bhi muntabiq kia jasakta hai.
Abu Adnan
Aik 'buzdil' maaN ki 'buzdilli' molaaheza ho. breakface1.gif

bank say 2.5 lac rupee nikaal kar lay.jaatay howay betay ko police nay pakaR ka thaanay maiN band karkay tashaddud kia aur maaN say betay ki rehayee k liyeh 5 lac rupee maangay. maan nay buzdilli ka mozaahirah kartay howay 5 lac rupee day kar betay ko reha karwayaa ... yeh 20 sept ko karachi maiN pesha aayaa. see jang news.

Forever Green
QUOTE(Abu Adnan @ Sep 28 2007, 08:00 PM) *

Bahot khoob, zabardast Bhai clapping3.gif

itner achee tareqe se aap ne itne sare farq wazih kiye hain ke har baat clear ho gai hay...thanks Much bhai adb.gif

Ye baat aap ne bilkul theek kahi ke Bahadur loog waqi hi bewaqoof hote hain jo aane wale nataij se bekhabar har khatre mein kood parte hain .... Lekin woh bhi kya karen apne Nidar tabyet aur hasas dil ke haton majboor hote hain ...

Is se ek baat ye bhi wazih hoti hay bhai ke Bahadur loog intehai saaf dil ke malik hote hain ek hasas dil rakhte hain jo apni parwa kiye baghair zulm ke khilaaf chae woh koi bhi ho bare se bara risk lene ko tayar ho jate hain ...

Beshak Buzdil insan samajhdaar ho aane wale khatraat ke pesh-nazar rah-e-farar ikhteyaar kare lekin mein phir bhi yahi kahon gi ke aese selfish, aur behis loogon ka saath na hi ho to achaa hay to aap ko beech maidaan mein choor kar nikal paren aur aap jo un per bharosa kiye bethe the tun-o-tanha reh jao ....

Woh kya kehte hain ke "Gidar ki hazaar sala zindagi se Sher ki ek din ki Zindagi behtar hay" marna to hay hi phir dar dar kar kyon raha jay ..... jo Hoga dekha jay ga buss Aap ke apnon per aanch bhi na aane pay mera to yahi asool hay 1-kahani.gif

Aap ka bahot Dhair sara thanks Bhai aap ne ye baat bahot achee se clear ki ...

Khush rahen hameshaa ....kyon ke aap bhi to ek bahadur insan ho
1-kahani.gif
Forever Green
QUOTE(Abu Adnan @ Sep 28 2007, 09:16 PM) *
Aik 'buzdil' maaN ki 'buzdilli' molaaheza ho. breakface1.gif

bank say 2.5 lac rupee nikaal kar lay.jaatay howay betay ko police nay pakaR ka thaanay maiN band karkay tashaddud kia aur maaN say betay ki rehayee k liyeh 5 lac rupee maangay. maan nay buzdilli ka mozaahirah kartay howay 5 lac rupee day kar betay ko reha karwayaa ... yeh 20 sept ko karachi maiN pesha aayaa. see jang news.

Doob Marne ka Muqam hay ye ....ye sab sirf aur sirf is liye ho rah ahay ke Aakhrat bhool gay hain hum , Azab-e-Qabar se beparwa ...apni do din ki zindagi ke liye Jama kiye ja rahe hain Na khatam hone wale Azaab ............ Afsoos ..........Mein to kehti hoon ke jaldi se Hazrat Esa E.S aajaen Aur aesi Behis Kamino ke sar kalam kar dein .....i swear bhai khoon khol uthta hay mera ......Allah paak hum sab ki Hidayat dein ...Aamin Suma Aamin
duas.gif
Forever Green
QUOTE(M Kashif Nisar @ Sep 27 2007, 09:12 PM) *
acha......to yeh baat thi

khair
main iss mamlay mein itna kehna chahon ga kay un larrkon kay samnay koi wadera nahin tha bulkay aik jan-nay wala shakhs tha.......iss liyay woh beshak jhaggra na kartay laikin unhain us aadmi say ja kar pochna zaroor chahiyay tha .......beyshak humara system aisa bana huwa hay kay aik 2 banday agar kisi power walay banday kay khilaf aawaz uthana chahhein to un ka hi nuqsan hota hay .......iss liyay woh khamosh rehna hi betar samajhtay hain ...yeh masla to us waqt tak hal nahin ho sakta jab tak saray mazloom mil kar us zalim kay khilaf ho jayein ...laikin aisa hota nahin hay kiyonke insan ko apnay rishtay kamzoor bana detay hain...jab us kay ghar walon ko nuqsan pohanchnay ka khatra hota hay to woh majboor ho kar khamosh ho jata hay

bilkul theek kaha aap ne ........ Hum ko hi awaz uthani pare gi .....lekin kya karen .....100 mein se mushkil se 5 loog honge jo ek zulm ke khilaaf khare honge aur aakhir mein un 5 mein se bhi sirf 1 tan-o-tanha reh jay ga baqi usko choor ke chale jaen ge ..... Hum zulm ke khilaaf isliye nahi khare hote kyon ke zindagiyan hamen bahot aziz ho gaen hain ....

Kuch din pehle GEO news per ek News de rahe the ...Ek Village mein Pakistan mein Ek Wadere ke 2 bete ek kisaam ke ghar mein ghus aaye aur uski beti ke saath zabardesti karne lage ...us larki ka Bhai chaat per patang ura raha tha us ne jab dekha to woh apni Behan ko Bachane ke liye bhaagta huwa aaya to us Ghatya Wadero ke beton ne us ko Shoot kar diya aur us ka khoon karne ke baad us ko Stairs se ghasette huwe le kar aaye aur phir uski laash ko poore Village mein gheesete rahe ke aainda kissi ki Jurat na ho un ko kissi kaam se rokne ki ....

Jab us larki ke parents ko dekhaya to dil cheer ke reh gaya mera .. Woh iklota beta tha apne parents ka ....aur Stairs per khoon abhi tak para huwa tha uske maa baap keh rahe the ke kese dho dein hum apne iklote bete ka khoon ...

Jo kuch us larki ke bhai ne apni behan ki izzat bachane ke liye kiya kya woh surkh ru nahi ho gaya apne maa baap ke samne Allah paak ke samne ...agar woh chup rehta to kya woh khud ko maaf ka paata ....aaj Woh Allah paak ke haan Onche darje per Faiz hoga ... marna sab ne hay to kyon na hamesha ka sakoon apne saath le kar jaen ... Uske maa baap ko takleef hay aaj lekin woh is baat per bhi pursakoon ho jate honge ke ek bahudur Aulad ko janum diya Unhon ne...

Ye hallat dekh kar to dil karta hay ke Zameen phate aur sab usmein sama jaen .... taake phir na koi zulm karne wala ho aur na zulm sehne wala....
Abu Adnan
QUOTE(Forever Green @ Sep 30 2007, 10:02 PM) *

Bahot khoob, zabardast Bhai clapping3.gif

itner achee tareqe se aap ne itne sare farq wazih kiye hain ke har baat clear ho gai hay...thanks Much bhai adb.gif

Ye baat aap ne bilkul theek kahi ke Bahadur loog waqi hi bewaqoof hote hain jo aane wale nataij se bekhabar har khatre mein kood parte hain .... Lekin woh bhi kya karen apne Nidar tabyet aur hasas dil ke haton majboor hote hain ...

Is se ek baat ye bhi wazih hoti hay bhai ke Bahadur loog intehai saaf dil ke malik hote hain ek hasas dil rakhte hain jo apni parwa kiye baghair zulm ke khilaaf chae woh koi bhi ho bare se bara risk lene ko tayar ho jate hain ...

Beshak Buzdil insan samajhdaar ho aane wale khatraat ke pesh-nazar rah-e-farar ikhteyaar kare lekin mein phir bhi yahi kahon gi ke aese selfish, aur behis loogon ka saath na hi ho to achaa hay to aap ko beech maidaan mein choor kar nikal paren aur aap jo un per bharosa kiye bethe the tun-o-tanha reh jao ....

Woh kya kehte hain ke "Gidar ki hazaar sala zindagi se Sher ki ek din ki Zindagi behtar hay" marna to hay hi phir dar dar kar kyon raha jay ..... jo Hoga dekha jay ga buss Aap ke apnon per aanch bhi na aane pay mera to yahi asool hay 1-kahani.gif

Aap ka bahot Dhair sara thanks Bhai aap ne ye baat bahot achee se clear ki ...

Khush rahen hameshaa ....kyon ke aap bhi to ek bahadur insan ho
1-kahani.gif

wazah rahay k maiN nay sirf bahaduri, buzdilli aur sharafat k meaning explain kiyeh haiN aur yeh batlaanay ki koshish ki hai k kaun log kab aur kiyouN buzdilli dekhatay haiN. maiN buzdilouN ki hamayat nahi karta aur nah hi bahadorouN ki bahadudiri k khelaaf houN. bahadur log to iss society k chaand taaray haiN. inhi k dam say society k mazloom logouN ko kuch nah kuch aas hoti hai. magar afsos k inki tadaad 'zameeni haqaiq' ki wajah say kam say kam hoti jarahi hai.

aik baat aur ... bahadur log 'bay.waqoof' to hosaktay haiN lekin kam az kam monafiq nahi hotay. eusa_naughty.gif
jabkay buzdil / shareef log 'agaqmand' aur door andesh honay k saath saath kissi nah kissi had tak 'monafiq' bhi hosaktay haiN.

aap ka shukarya k aap nay meri 'defination' ko bila choon o chara accept karlia.... Thanku.gif waisay koi inn maiN tarmeem o ezaafaah karna chahay to mujhay khushi hogi.
Abu Adnan
QUOTE(Forever Green @ Sep 30 2007, 10:10 PM) *

Doob Marne ka Muqam hay ye ....ye sab sirf aur sirf is liye ho rah ahay ke Aakhrat bhool gay hain hum , Azab-e-Qabar se beparwa ...apni do din ki zindagi ke liye Jama kiye ja rahe hain Na khatam hone wale Azaab ............ Afsoos ..........Mein to kehti hoon ke jaldi se Hazrat Esa E.S aajaen Aur aesi Behis Kamino ke sar kalam kar dein .....i swear bhai khoon khol uthta hay mera ......Allah paak hum sab ki Hidayat dein ...Aamin Suma Aamin
duas.gif

maiN aap kay jazbah e imaani ki qadar karta houN ... iski root cause yeh hai k hamaray hukmraan hi aisay kameenouN par mushtamil haiN jo apnay hi shahryouN par khud bhi bombing kartay haioN aur dushman ko bhi yeh asaani faraham kartay haiN k woh bhi carpet bombing karay. khud masjid o madarsah ko bamouN say Ora kar deeni students ko quran o ahadees ki books samait jala detay haiN.... onhi k nomainday / intezamia nichli satah tak apnay mazalim apnay boss ki copy kartay howay kartay haiN.
Forever Green
QUOTE(Abu Adnan @ Sep 30 2007, 07:47 PM) *
wazah rahay k maiN nay sirf bahaduri, buzdilli aur sharafat k meaning explain kiyeh haiN aur yeh batlaanay ki koshish ki hai k kaun log kab aur kiyouN buzdilli dekhatay haiN. maiN buzdilouN ki hamayat nahi karta aur nah hi bahadorouN ki bahadudiri k khelaaf houN. bahadur log to iss society k chaand taaray haiN. inhi k dam say society k mazloom logouN ko kuch nah kuch aas hoti hai. magar afsos k inki tadaad 'zameeni haqaiq' ki wajah say kam say kam hoti jarahi hai.

aik baat aur ... bahadur log 'bay.waqoof' to hosaktay haiN lekin kam az kam monafiq nahi hotay. eusa_naughty.gif
jabkay buzdil / shareef log 'agaqmand' aur door andesh honay k saath saath kissi nah kissi had tak 'monafiq' bhi hosaktay haiN.

aap ka shukarya k aap nay meri 'defination' ko bila choon o chara accept karlia.... Thanku.gif waisay koi inn maiN tarmeem o ezaafaah karna chahay to mujhay khushi hogi.

Are bhai Aap ki batai huwi defination kese na accept karon .........Jo baat mujhe nahi pata thi yahan mein ne sab se poocha ....Lekin kissi ne bhi meri rahnumai karne ki koshish na ki siway aap 3 loogon ke aur aap ne to bahot achi tarha har baat ko wazih kiya to kyon na maan loon ke jo aap ne kaha sahi hay ke aap ki har kahi huwi baat ki logic bhi banti hay ...smile.gif

Ek aur bahot pate ki baat kahi aap ne yahan ke Bahadur loog munafiq nahi hote ....Mere khayal se Bahadur wohi hote hain jo har baat ka Foran reaction karte hain chahe woh Haaton ke istemaal se hi chahe woh Zabaan ke istemaal se ho (haq baat ke liye) Aur zahir hay jo bhi koi shakhs ek dam se react kare ga woh zyada sooche ga nahi aur Zyada soochne wale to nafa aur nuqsaan ki jama tafreeq mein lag jate hain aur zarorat parne per apna haath khench lete hain ..... Bahot pate ki baat kahi ye bhi aap ne ...Appriciated
1-kahani.gif
Forever Green
QUOTE(Abu Adnan @ Sep 30 2007, 07:54 PM) *
maiN aap kay jazbah e imaani ki qadar karta houN ... iski root cause yeh hai k hamaray hukmraan hi aisay kameenouN par mushtamil haiN jo apnay hi shahryouN par khud bhi bombing kartay haioN aur dushman ko bhi yeh asaani faraham kartay haiN k woh bhi carpet bombing karay. khud masjid o madarsah ko bamouN say Ora kar deeni students ko quran o ahadees ki books samait jala detay haiN.... onhi k nomainday / intezamia nichli satah tak apnay mazalim apnay boss ki copy kartay howay kartay haiN.

Bilkul sahi kaha aap ne ..... Apne Iman ko choorne ke baad hum Allah paak se uski rehmat ki umeed bhi karte hain ... Gunahon mein sar se paon tak doobe huwe hain aur phir ye bhi kehte hain ke Allah paak bahot Ghafoor-o-raheem hain hamen maaf kar dein ge ....Hum ye bhool gay hain ke Allah paak agar Ghafoor-o-raheem hain to Qhaar bhi to hain ... Kese maaf karen ge hum Gunah garon ko ..... Allah paak hum sab ko Apne Azaab se bachaen .... Aamin suma aamin
duas.gif
Abu Adnan
QUOTE(Forever Green @ Oct 2 2007, 06:48 AM) *
Are bhai Aap ki batai huwi defination kese na accept karon .........Jo baat mujhe nahi pata thi yahan mein ne sab se poocha ....Lekin kissi ne bhi meri rahnumai karne ki koshish na ki siway aap 3 loogon ke aur aap ne to bahot achi tarha har baat ko wazih kiya to kyon na maan loon ke jo aap ne kaha sahi hay ke aap ki har kahi huwi baat ki logic bhi banti hay ...smile.gif

Ek aur bahot pate ki baat kahi aap ne yahan ke Bahadur loog munafiq nahi hote ....Mere khayal se Bahadur wohi hote hain jo har baat ka Foran reaction karte hain chahe woh Haaton ke istemaal se hi chahe woh Zabaan ke istemaal se ho (haq baat ke liye) Aur zahir hay jo bhi koi shakhs ek dam se react kare ga woh zyada sooche ga nahi aur Zyada soochne wale to nafa aur nuqsaan ki jama tafreeq mein lag jate hain aur zarorat parne per apna haath khench lete hain ..... Bahot pate ki baat kahi ye bhi aap ne ...Appriciated
1-kahani.gif

yahaaN 'monafiq' say moraad 'dunyawi-monafiq' hai nah k deeni.

deen.e.islam maiN 'monaafiq' say moraad aisaa fard hai jo zobaan o amal say to 'islaam ka iqraar' karta ho lekin dil say imaan nah rakhta ho ... aisay jumlah 'monaafeqeen' jahannami haiN.

dunyawi maamlaat maiN jo log kissi bhi issue / maamlaat maiN agar 'nazarya.e.zaroorat' aur 'zaati mofaad' k tehat apnay dilli jazbaat k bar.aks baat karaiN aur apnay dil ki baat ko chopayaiN to hum tanzan issay bhi 'monaafiq' kahtay haiN. yaqeenan yeh fail bhi mostahsan nahi. lekin iski justification juda juda hai. koi issay bora samajhta hai aur koi nahi ... lekin agar yeh bora bhi hai to aisaa karnay waalaa fard mahaz gonah.gaar hoga..... above type k deeni-monafiq ki tarah 'jahannami naheeN.
Forever Green
QUOTE(Abu Adnan @ Oct 1 2007, 08:34 PM) *

Baat to aap ki sahi hay bhai .... lekin ek baat mere demagh mein aarahi hay abhi 1-think.gif woh ye ke jo aadmi dunyawi lehaaz se munafiq ho (jo examples aap ne di hain) woh deen'i aetebaar se bhi itna mazboot to nahi hoga naa.... kyon ke jis shakhs mein deeni samajh boojh hoti hay woh kabhi bhi Dunyawi Munafqat bhi nahi karta balke har jaga haq ka saath deta hay ..... to phir Deeni aur dunyawi munafqat mein zyada farq to na huw naa... mera kehne ka matlab hay ke ek Momin shakhs kissi bhi tarha ki Munafqat nahi kar paata ...aur jo aesa karta hay woh momin nahi hota..... Phir farq kyon dono mein ?
Kashif
QUOTE(Forever Green @ Sep 30 2007, 10:20 PM) *
bilkul theek kaha aap ne ........ Hum ko hi awaz uthani pare gi .....lekin kya karen .....100 mein se mushkil se 5 loog honge jo ek zulm ke khilaaf khare honge aur aakhir mein un 5 mein se bhi sirf 1 tan-o-tanha reh jay ga baqi usko choor ke chale jaen ge ..... Hum zulm ke khilaaf isliye nahi khare hote kyon ke zindagiyan hamen bahot aziz ho gaen hain ....

Kuch din pehle GEO news per ek News de rahe the ...Ek Village mein Pakistan mein Ek Wadere ke 2 bete ek kisaam ke ghar mein ghus aaye aur uski beti ke saath zabardesti karne lage ...us larki ka Bhai chaat per patang ura raha tha us ne jab dekha to woh apni Behan ko Bachane ke liye bhaagta huwa aaya to us Ghatya Wadero ke beton ne us ko Shoot kar diya aur us ka khoon karne ke baad us ko Stairs se ghasette huwe le kar aaye aur phir uski laash ko poore Village mein gheesete rahe ke aainda kissi ki Jurat na ho un ko kissi kaam se rokne ki ....

Jab us larki ke parents ko dekhaya to dil cheer ke reh gaya mera .. Woh iklota beta tha apne parents ka ....aur Stairs per khoon abhi tak para huwa tha uske maa baap keh rahe the ke kese dho dein hum apne iklote bete ka khoon ...

Jo kuch us larki ke bhai ne apni behan ki izzat bachane ke liye kiya kya woh surkh ru nahi ho gaya apne maa baap ke samne Allah paak ke samne ...agar woh chup rehta to kya woh khud ko maaf ka paata ....aaj Woh Allah paak ke haan Onche darje per Faiz hoga ... marna sab ne hay to kyon na hamesha ka sakoon apne saath le kar jaen ... Uske maa baap ko takleef hay aaj lekin woh is baat per bhi pursakoon ho jate honge ke ek bahudur Aulad ko janum diya Unhon ne...

Ye hallat dekh kar to dil karta hay ke Zameen phate aur sab usmein sama jaen .... taake phir na koi zulm karne wala ho aur na zulm sehne wala....

bohat afsoos nak waqia sunaya aap nay
aur aisay zulm hotay rahein gay jab tak qanon sahi tarah naafiz nahin hoga

bas Allah say dua hi kar saktay hain kay humein iman par qaim rehnay ki taufeeq ata farmayay
Abu Adnan
QUOTE(Forever Green @ Oct 2 2007, 08:46 AM) *

Baat to aap ki sahi hay bhai .... lekin ek baat mere demagh mein aarahi hay abhi 1-think.gif woh ye ke jo aadmi dunyawi lehaaz se munafiq ho (jo examples aap ne di hain) woh deen'i aetebaar se bhi itna mazboot to nahi hoga naa.... kyon ke jis shakhs mein deeni samajh boojh hoti hay woh kabhi bhi Dunyawi Munafqat bhi nahi karta balke har jaga haq ka saath deta hay ..... to phir Deeni aur dunyawi munafqat mein zyada farq to na huw naa... mera kehne ka matlab hay ke ek Momin shakhs kissi bhi tarha ki Munafqat nahi kar paata ...aur jo aesa karta hay woh momin nahi hota..... Phir farq kyon dono mein ?

I already told k 'dunyawi monafiqat' go k koi +ve behaviour nahi hai. lekin yeh deeni term wali 'monaafiqat' hargiz nahi hai. deeni monaafiqat ka talluq Imaan (i.e. Allah aur oskay aakhri rasool ki shariyat ko dill say maanna) say hai k zobaan say to 'imaan' ka iqrar karay aur dikhaway k liyeh zarooratan amal bhi karay lekin dil say imaan nah laaye. aisaa fard asal maiN 'kaafir' hi hota hai aur kfir hi ki tarah jahannami bhi. lekin chouNkay kissi k 'dilli Imaan' ko measure katnay ka koi paimaanah nahi hai hai. lehaza agar koi fard zobaan say islam par imaan laanay ka iqraar karta hai to koi mufti / faqeeh ossay kafir / monfiq declare nahi karsakta........ tawaqtekay baad k halaat yeh saabit nah kardaiN k falaaN fard monaafiq thaa ... like meer saadiq o meer jaafer ... baad maiN saabit hogaya k woh monaafiq thay.....

'dunyawi monaafiqat' aik maamooli baat bhi hosakti hai aur bahoot bori shaii bhi ... iski shiddat depend karti hai. aisa fard gonah.gaar to hosakta hai lekin jahannami hargiz nahi. aur kabhi kabhi to gonah.gaar bhi nahi hota........ jaisay maiN dil say samajhta houN / yaqeen rakhta houn / 'imaan' rakhta houN k HC par kaii aisay members haiN jo roop badal kar new nick say, new personality say, even yeh k larka laRki k roop maiN aur laRki, laRkay k roop maiN appear hotay haiN........... lekin maiN apnay dil ki iss baat ko bawajooh zaahir nahi karta aur 'amalan' onn 'bahroopiyouN' k bahroop ko 'accept' karkay onn say HC par 'deal' karta houN......... zaahir hai k yeh bhi aik tarah say 'monaafiqat' hai. magar mera nahi khayaal k meri yeh monafiqat koi bahoot zeyadah bori shaii hai .... taham logouN ka .... bilkhasoos mazkoorah logouN ka meri isss roy say muttafiq hona zaroori naheeN.
Forever Green
QUOTE(Abu Adnan @ Oct 1 2007, 10:34 PM) *

Aap jab baat karte ho na bhai ....To ye na mumkin hay ke doosra banda Qail na ho ... Allah paak ne aap ko woh Taqat di hay ke aap ko achi tarha pata hota hay aap ko kab kis waqt kis se kya baat karni hay .......Simply Awsome clapping3.gif

Mujhe aap ki di huwi Example bahot Pasand aai .....Mujhe bhi kabhi kabhi Shak hot ahay lekin yaqeen nahi .... per kya kar sakte hain siway deal karne ke ...LolZzz ye Deal ka lafz bhi bara Mashahoor ho gaya hay E9.gif

Allah paak aap ko is ka ajar dein ....aap ne mere mind ki har confusion ko Glass ki tarha clear kar diya hay .....koi bhi aur baat mere demagh mein aai jo ke mujhe pareshan kare i will contact u .......... Thanks Bhai for all ur Wordss
smile.gif
Abu Adnan
QUOTE(Forever Green @ Oct 2 2007, 09:29 PM) *

woh kia shair hai k ....chalo acha howaa k aap pahchaanay gaye ... warnah hum saaray zamanay ko samjhanay kahaaN jaatay ... kuch aisaa hi shair hai. agar kissi ko sahi yaad ho to yahaaN darj karay aur sawabay daarain haasil karay..... 1-jokes.gif 1-jokes.gif
Forever Green
QUOTE(Abu Adnan @ Oct 2 2007, 08:05 PM) *
woh kia shair hai k ....chalo acha howaa k aap pahchaanay gaye ... warnah hum saaray zamanay ko samjhanay kahaaN jaatay ... kuch aisaa hi shair hai. agar kissi ko sahi yaad ho to yahaaN darj karay aur sawabay daarain haasil karay..... 1-jokes.gif 1-jokes.gif

LolZZzzz mujhe to nahi aata ye sher Bhai 1-afsana.gif

Kya pata kissi Allah ke Bande/Bandi ko pata ho to wohi bata de imslow.gif

Wese is mein meri Samajh ka koi Kamaal nahi bhai aap ke samjhane ka style bahot Umda hay
yes.gif
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.
Invision Power Board © 2001-2008 Invision Power Services, Inc.