Help - Search - Members - Calendar
Full Version: Shadi Ka Jora (lehanga)
HulChul.NET > Science, Arts & Culture > Fashion & Style
sahera
AOA GALS

Yeh bataye kay in ur opinion how much it must be expensive.....utna jitna aap afford kar saktay ho?

Kya lehanga in case agar aap mehanga afford kar be lo toh yeh zraoori hay woh bahoot expensive ho....aik baar toh pehnana hota hay..jitnay paisay lehangay aur makeup mey lagtay hien utnay mey aram se kisi qareeb ko karoobaar khool kar diya ja sakta hay..kitnoo ka bhala ho sakta hay...phir aisi chese par paisay kio lagaye jaye jis nay humesha kay liye suit case mey band hojana hay .......?

wot u say regarding it?
Bore Na Kar
Ws

Sirf gals kyun, boyz kyun nai de sktay answer :p

I think rent pe le lena chahye 1 din hi to kaam ana hota hy :p
Abu Adnan
QUOTE(Bore Na Kar @ Sep 26 2007, 12:17 AM) *

aap ko kiss nay mana kia hai ... aap bhi pahan lo ... chaahay rent par hi lay kar.... E9.gif E9.gif
Shoby4U
QUOTE(sahera @ Sep 25 2007, 09:53 PM) *

Sahera G! Waise Tou Aap Global Mod Hain Jahan Jee Chahe Jo Discuss Kerein Lekin Polling Booth Mein Voting Option Ka Na Hona Kuch Ajeeb Sa Lag Raha Hai, Iss Nacheeze Ki Rai Mein Aap Isse Female Gossip Mein Post Kertein Tou Zayadah Quick Aur Live Response Milti.

Secondly, Please Iss Disscusion Mein Guys Ko Bhe Shamil Kijiye K Lehnga Chahe Gals Buy Kerein Pocket Tou Guys Ki He Cut'ti Hai Na?

Ab Aaiye Aap K Topic Ki Taraf Tou Sab Se Pehle Tou Mere Khayal Mein Iss Wedding Dress Ka Naam Lehnga Nahin Mehnga Hona Chahiye K Susta Tou Aaj Tak Kabhi Na Dekha Aur Na Suna. Yeh Aur Baat Hai K Kisi K Liye 10/20 Thousands Ka Mehnga Hai Tou Kisi K Liye 3/4 Lacs Ka Bhe Mehnga Nahin.

Ab Sawal Yeh Hai K Lehnga Hona Kitne Tak Ka Chahiye Aur Mehnga Ho K Susta Tou Abhi To Sab Barh Charh Kar Bolein Gay, Aik Se Aik Dalogue Maaray Jaein Gay Lekin Hota Kia Hai K Apni Shadi Hoti Hai Tou Phir Chahe Lehnga Lena Ho Ya Make Up Kerwana Ho Ya Photographer Bhulana Ho, Venue Ka Intikhab Kerna Ho Ya Number Of Guests Ka Decide Kerna Ho Ya Phir Number Of Dishes Ka, Har Baat Mein Aap Ko Aik He Jawab Milta Hai K

AISA MAUQA KAUN SA ROZE ROZE AATA HAI.

KinZz
ye baat tu thek hai k afzol kharch hai ye

per ab koi acha lehnga hota hi expensive hai tu humara kia kasor

lehnga bana'nay walo ko price kam kerdaini chaiye na poster_oops.gif

waisay negative pointz sochay jay tu bohat say samnay atay hain

or positive point bas ye hi k her koi achi chez chata hai apnay special day per...
dunno.gif
KinZz
QUOTE(Bore Na Kar @ Sep 26 2007, 12:47 AM) *
Ws

Sirf gals kyun, boyz kyun nai de sktay answer :p

I think rent pe le lena chahye 1 din hi to kaam ana hota hy :p

haan mein nay bhi suna hai k rent per bhi milta hai unsure.gif
Bore Na Kar
QUOTE
aap ko kiss nay mana kia hai ... aap bhi pahan lo ... chaahay rent par hi lay kar....

Aap kahein lehngay rent pe dene ka business to nai kartay :p
Kanch k1 gur1a
uffffffffffffff maine inna lamba reply likha thaaaaaa badtamiz sara hi urh gaya :(
Kanch k1 gur1a
QUOTE(Shoby4U @ Sep 26 2007, 01:59 PM) *
Ab Sawal Yeh Hai K Lehnga Hona Kitne Tak Ka Chahiye Aur Mehnga Ho K Susta Tou Abhi To Sab Barh Charh Kar Bolein Gay, Aik Se Aik Dalogue Maaray Jaein Gay Lekin Hota Kia Hai K Apni Shadi Hoti Hai Tou Phir Chahe Lehnga Lena Ho Ya Make Up Kerwana Ho Ya Photographer Bhulana Ho, Venue Ka Intikhab Kerna Ho Ya Number Of Guests Ka Decide Kerna Ho Ya Phir Number Of Dishes Ka, Har Baat Mein Aap Ko Aik He Jawab Milta Hai K

AISA MAUQA KAUN SA ROZE ROZE AATA HAI.
[/color][/font]

Yeh baat apki darust hai ke end of time yehi kaha jata hia.. but in baaton ke pichay bhi wajoohat hoti hian.. har kisi ko apni shadi ko le kar bahut armaan hote hain.. kuch larkiyan mehnge kapre susraliyon ki wajah se purchase karti hian or kuch apne shouq ke liye.. Kyunke mostly susrali's force karte hian ke itne ka hona chayie.. apne meyaar ka banwate hian sab kuch.. or larki ki family ko karna parhta hai.. bhalay wohi cheez woh dusre ko bol chuki hoti hai ke inna mehnga mat banwaana.. or rahi baat aise mauqe roz roz nai aatay hian to yeh sach hai.. ek din ke liye hi sahi woh shadi ka jora apke liye yaad gaar rahta hai.. bhalay woh suit case main bandh hojata hai lekin jab bhi ap usko dekho to us main woh sab rang nazar aate hian jo shadi ke ain waqt pe horahe hote hian...

n secondly yahan yeh bhi kaha gaya ke agar hum sasta jora lein ya fir kisi gareeb ki madad kardien.. to yahan aj ki life main inna koi trust worthy insan nai hia ya koi insaan inna bara dil nai rakhta hia ke woh kisi gareeb ki madad ke liye usko business chala kar de de.. ya kuch aur.. kyunke usko pata hai yeh return wapas nai aanay hian.. har koi apna mustakbil sochta hai.. agar koi sahib-e-hesiyat hai jo yeh dono kaam kar sakta hai to uske pass inna bara dil nai hia.. or agar koi ba-hesiyat sirf aik cheez ko dekh sakta hai to woh to wese hi majboor hia.. waqt or halaat hi banate hian in baaton ko.. kisi ke pass waqt nai hota to kisi ke pass halaat nai hote hian smile.gif

I hope yeh meri post ab delete nai hogi..
Airy_Princess
QUOTE(sahera @ Sep 25 2007, 09:53 PM) *
AOA GALS
Yeh bataye kay in ur opinion how much it must be expensive.....utna jitna aap afford kar saktay ho?

Kya lehanga in case agar aap mehanga afford kar be lo toh yeh zraoori hay woh bahoot expensive ho....aik baar toh pehnana hota hay..jitnay paisay lehangay aur makeup mey lagtay hien utnay mey aram se kisi qareeb ko karoobaar khool kar diya ja sakta hay..kitnoo ka bhala ho sakta hay...phir aisi chese par paisay kio lagaye jaye jis nay humesha kay liye suit case mey band hojana hay .......?

wot u say regarding it?

25.000 sey 35.000 tak ka lehnga sahi hai in my opinion smile.gif
jwellery bhi tou pehanani hoti hai shirt plain honi chaheye lehngey par kaam bareek ho aur khubsurat bhi smile.gif
Bore Na Kar
25000 ya 35000........ itni fazul kharchi :p
KHAL NAYAK
asa kam hi kuy karoo kay lehngay ki zarorat paray? simply nikah kar dia jaye tu in sab cheezon ki koi zarorat nahi hay.

Bore Na Kar
bilkul theek kaha, masjid mein simple nikah kar dia jaaye smile.gif
Laila
mere khayal main shadi aik baar hoti hai, yani ham aisay serious loug to yehi sochtay hain, adb.gif

aur utna mehna Lehnga efford kiya ja sakta hai jitna aap kay budget main ho, now it depeds on ur budget ke woh kitna hai, waisay acha lehnga to aaj kal mehnga hi milta hai, jo loug kaam kay baray main bohat specific hain, woh fir 40-50 thousand say neechay ka pasand nahin ker paatay.. 1-embaressed_smile.gif jaisay meri shadi ka jora 68 ka bana tha ..tabb... acha makeup na ho tou fotographs achi nahin aatin, aur achi fotographs kay liyay acha fotographer ka hona bhi zaroori hai, kyoon ki baad main yeh sab batain yadain ban jati hain, aur woh yadain pics aur videos ki shakal main aap kay pas reh jati hain, agar yeh sab kuch acha na ho tou main yaqeen say keh sakti hoon ke baad main pachtawa hota hai...

to yoon samajhiyay ke yeh sab lazim-o-malzoom ho jata hai aik achi aur SHOKEEN shadi kay liyay. iss liyay baad main pachtanay kay pehlay shadi hi apni pasand ki ker li jaye,

aur lehnga hi kyoon, lerkon ki sherwanis bhi aaj kal kuch kam sasti nahin, 20-22 thousand ki to araam say banti hai.
Laila
QUOTE(DarK AnGeL @ Sep 26 2007, 11:41 PM) *
Yeh baat apki darust hai ke end of time yehi kaha jata hia.. but in baaton ke pichay bhi wajoohat hoti hian.. har kisi ko apni shadi ko le kar bahut armaan hote hain.. kuch larkiyan mehnge kapre susraliyon ki wajah se purchase karti hian or kuch apne shouq ke liye.. Kyunke mostly susrali's force karte hian ke itne ka hona chayie.. apne meyaar ka banwate hian sab kuch.. or larki ki family ko karna parhta hai.. bhalay wohi cheez woh dusre ko bol chuki hoti hai ke inna mehnga mat banwaana.. or rahi baat aise mauqe roz roz nai aatay hian to yeh sach hai.. ek din ke liye hi sahi woh shadi ka jora apke liye yaad gaar rahta hai.. bhalay woh suit case main bandh hojata hai lekin jab bhi ap usko dekho to us main woh sab rang nazar aate hian jo shadi ke ain waqt pe horahe hote hian...

n secondly yahan yeh bhi kaha gaya ke agar hum sasta jora lein ya fir kisi gareeb ki madad kardien.. to yahan aj ki life main inna koi trust worthy insan nai hia ya koi insaan inna bara dil nai rakhta hia ke woh kisi gareeb ki madad ke liye usko business chala kar de de.. ya kuch aur.. kyunke usko pata hai yeh return wapas nai aanay hian.. har koi apna mustakbil sochta hai.. agar koi sahib-e-hesiyat hai jo yeh dono kaam kar sakta hai to uske pass inna bara dil nai hia.. or agar koi ba-hesiyat sirf aik cheez ko dekh sakta hai to woh to wese hi majboor hia.. waqt or halaat hi banate hian in baaton ko.. kisi ke pass waqt nai hota to kisi ke pass halaat nai hote hian smile.gif

I hope yeh meri post ab delete nai hogi..

i totally aggreed with urfirst Paragraph related to shadi, waqai yeh din roz roz nahin aata.

aur jahan takk rahi baat kisi i madad kerny ki, to waqai kis ki madad kero gay,?? aaj kal loug itnay selfish hain ke agar aap ki haisiyat aik waqt roti khlana y ki hai, aur aap nay kisi ko aik waqt ki roti khilaa di, second time woh bunda fir aa jaye ga, aur agar aap us ko nahin khilaa paao gay to woh aap ko Galiyan day ker chala jaye ga. woh aap ki pehlay wali help ko bilkul bhula day ga. aur kuch logon ko aisay hi talkh tajrubbay ho chukay hotay hain, jo ab khud bhi selfish ho gaye hain.
Bore Na Kar
Laila 68 thousand ka lehnga :p

sirf chand ghantay pehan-ne k liye smile.gif

pasand apni apni wese me ko ye baat pasand nai aayi smile.gif
Shoby4U
QUOTE(Laila @ Sep 28 2007, 08:22 PM) *
jaisay meri shadi ka jora 68 ka bana tha ..tabb...

JO LEHNGA 15/20 SAAL PEHLE 68 THOUSAND KA AYA THA, AB TOU KAM AZ KAM 4/5 LAC KA TOU ZAROOR HO GA NA LAILA G!
sahera
BG kI khawahish par yeh post FAshIOn n styLe section mey move kar rAHI hON...
sahera
Iam LIttle bit shocked to read the above comments....

SHadi aik baar he hoti hay magar fazool kharchi karnay se pehlay yeh sooch lein kay zindagi bhi aik baar kay lye he mile hay....mehangay lehangay lay kar aap kay pass sewaye usko sambhal sambhal kar rakhnay kay ilawa chaara kya rehta hay?

aur na he kisi ko dena ka dil karta hay kay akhir itnay paisay kharch kiye hien...majmoye tor par agar yehi sooch rahi thi wot we are going to give our next generation?

woh generation ya us sooch wali generation kaisay aaye gi jis kay lye kaha gaya hay kay naik aulad sadqa jaria hoti hay......jab humari ab yeh sooch hay kay bahoot saray humaray talkh tajurbaat hien etc aur jab yeh sooch ho kay kisi ko rozgaar khool kar denay se humein kya milna hota hay as aitbaar bhi toh nahi kiya ja sakta...

kIo bhool jatay hien hum sab yeh likhtay hoye kay hur baat ka ajaar ALLAH nay dena hota hay ...banday nay diya bhi toh kya diya....

maine aisi larkiyan bhi dekhi hien jo 5-5 lakh ka lehanga bhi afford kar sakti hien....magar apni shadi par mangani wala dress khareeda kay yeh paisay ka zeyaa hay ...larka aam se jeans aur shirt mey aaya....koi haar nahi pehnay kuch nahi....woh jin ki properties ka hisaaab nahi....unki zindagi mey bhi yeh din aik he baar aaya tha....kya woh isko enjoy karnay ka haq nahi rakhtay thay?

baat yahaN kunjoosi ki nahi hay......agar maa baap kay pass paisa hay magar woh sirf sur par haath phair kar bejh dein toh yeh zayadati hay.....beti ka haq hay...laikin baat yahaN zeyaa ki horahi hay....itni mehangay lehangoo ki resale 5% bhi nahi hoti....

aur logoN ki parwa wohi kartay hien jo logoN kay saath mil kar rasmein na poree karnay waloN ko baatien kartay hien.....chahey koi sunay na sunay aap ko apni baat par datay rehna hay...bashartakay aap ki neyat saaf ho ALLAh khud ba khud madad karta hay....

NAIKI kar darya mey daal.....shaitan ko khush hona ka moka na diya karay.
sahera
QUOTE(Shoby4U @ Sep 26 2007, 08:59 AM) *
QUOTE(sahera @ Sep 25 2007, 09:53 PM) *

Sahera G! Waise Tou Aap Global Mod Hain Jahan Jee Chahe Jo Discuss Kerein Lekin Polling Booth Mein Voting Option Ka Na Hona Kuch Ajeeb Sa Lag Raha Hai, Iss Nacheeze Ki Rai Mein Aap Isse Female Gossip Mein Post Kertein Tou Zayadah Quick Aur Live Response Milti.

Secondly, Please Iss Disscusion Mein Guys Ko Bhe Shamil Kijiye K Lehnga Chahe Gals Buy Kerein Pocket Tou Guys Ki He Cut'ti Hai Na?

Ab Aaiye Aap K Topic Ki Taraf Tou Sab Se Pehle Tou Mere Khayal Mein Iss Wedding Dress Ka Naam Lehnga Nahin Mehnga Hona Chahiye K Susta Tou Aaj Tak Kabhi Na Dekha Aur Na Suna. Yeh Aur Baat Hai K Kisi K Liye 10/20 Thousands Ka Mehnga Hai Tou Kisi K Liye 3/4 Lacs Ka Bhe Mehnga Nahin.

Ab Sawal Yeh Hai K Lehnga Hona Kitne Tak Ka Chahiye Aur Mehnga Ho K Susta Tou Abhi To Sab Barh Charh Kar Bolein Gay, Aik Se Aik Dalogue Maaray Jaein Gay Lekin Hota Kia Hai K Apni Shadi Hoti Hai Tou Phir Chahe Lehnga Lena Ho Ya Make Up Kerwana Ho Ya Photographer Bhulana Ho, Venue Ka Intikhab Kerna Ho Ya Number Of Guests Ka Decide Kerna Ho Ya Phir Number Of Dishes Ka, Har Baat Mein Aap Ko Aik He Jawab Milta Hai K

AISA MAUQA KAUN SA ROZE ROZE AATA HAI.

AIk pal ko koi kaam karnay se pehlay insaan is dunia ki haqeekat ko yaad kat liya karay sab namod o numaish khatam hoti aur uski khwahish duwan hoti nazar aty hay phir.....thik hay humari society mey yeh sab exist karta hay bahoot.....laikin larkay walay is baat kay liye zayad zimaydaar hotay hien...hur koshish aap ko mujh ko pehlay apnay ghar se shuru karni hay...aaj kal kay jo halaaat hien...choti se naiki kitna bara ajaar deti hay...yehi sooch lein toh kitna munafa hay akhraat kay lye.....yeh zindagi bhi aik he baar kay lye hay....i hate these photograhers.......
sahera
QUOTE(KinZz @ Sep 26 2007, 10:27 AM) *
ye baat tu thek hai k afzol kharch hai ye

per ab koi acha lehnga hota hi expensive hai tu humara kia kasor

lehnga bana'nay walo ko price kam kerdaini chaiye na poster_oops.gif

waisay negative pointz sochay jay tu bohat say samnay atay hain

or positive point bas ye hi k her koi achi chez chata hai apnay special day per...
dunno.gif

zindagi ka hur din he special hota hay dear....shadi bhi special hoti hay....magar fazol kharchi se nahi balkay is ehsaas kay saath kay naye zindagi mey kadam rakhnay ja rahey hien...hum nay us ko kaisay sanwarna.
Bore Na Kar
Boht khob Sahera, shukr hy mere khyalat ki tarjumani kerne b koi aya yahan :p warna koi 30 hazar aur koi 70 hazar k lehngay ki baat kar rha tha jo sirf chand hours use honay hotay hain , wese 70 hazaar koi mamloi raqam nahin, itni raqam se kisi shakhs ko koi karobar ya shop shuru karwa kar uskay saray khandan ki roti rozi ka bandobast keya ja skta hy.
Ye kehna k zindagi mein ye mauqa sirf ek baar ata hy to kya as a muslim hum koi bhi ghalat kaam ye keh k kar saktay hyn k sirf ek bar hi to krna hy zindagi mein. Chahay kisi mein istetaat hi kyun na ho ye fazool kharchi hi rahay gi, koi chahay mercedez le lay ussay accept keya ja sakta hy k ye cheez uskay kaam aye gi lekin jo cheez sirf chand hours k liye use honi hy uss par itne pesay urana fazul kharchi nahi to aur phir fazul kharchi kis balaa ka nam hy?
Airy_Princess
QUOTE(sahera @ Sep 30 2007, 03:40 PM) *
Iam LIttle bit shocked to read the above comments....

SHadi aik baar he hoti hay magar fazool kharchi karnay se pehlay yeh sooch lein kay zindagi bhi aik baar kay lye he mile hay....mehangay lehangay lay kar aap kay pass sewaye usko sambhal sambhal kar rakhnay kay ilawa chaara kya rehta hay?

aur na he kisi ko dena ka dil karta hay kay akhir itnay paisay kharch kiye hien...majmoye tor par agar yehi sooch rahi thi wot we are going to give our next generation?

woh generation ya us sooch wali generation kaisay aaye gi jis kay lye kaha gaya hay kay naik aulad sadqa jaria hoti hay......jab humari ab yeh sooch hay kay bahoot saray humaray talkh tajurbaat hien etc aur jab yeh sooch ho kay kisi ko rozgaar khool kar denay se humein kya milna hota hay as aitbaar bhi toh nahi kiya ja sakta...

kIo bhool jatay hien hum sab yeh likhtay hoye kay hur baat ka ajaar ALLAH nay dena hota hay ...banday nay diya bhi toh kya diya....
maine aisi larkiyan bhi dekhi hien jo 5-5 lakh ka lehanga bhi afford kar sakti hien....magar apni shadi par mangani wala dress khareeda kay yeh paisay ka zeyaa hay ...larka aam se jeans aur shirt mey aaya....koi haar nahi pehnay kuch nahi....woh jin ki properties ka hisaaab nahi....unki zindagi mey bhi yeh din aik he baar aaya tha....kya woh isko enjoy karnay ka haq nahi rakhtay thay?

baat yahaN kunjoosi ki nahi hay......agar maa baap kay pass paisa hay magar woh sirf sur par haath phair kar bejh dein toh yeh zayadati hay.....beti ka haq hay...laikin baat yahaN zeyaa ki horahi hay....itni mehangay lehangoo ki resale 5% bhi nahi hoti....

aur logoN ki parwa wohi kartay hien jo logoN kay saath mil kar rasmein na poree karnay waloN ko baatien kartay hien.....chahey koi sunay na sunay aap ko apni baat par datay rehna hay...bashartakay aap ki neyat saaf ho ALLAh khud ba khud madad karta hay....

NAIKI kar darya mey daal.....shaitan ko khush hona ka moka na diya karay.

well sis apny apny views hain par main kuch kehna chahongi lehngas kou lekar hi
main ne aik jagah perha tha k appki shaadi ho chuki hai aur agher nahi hui hai tou pardon me smile.gif
well shayad apki shaadi kafi years pehly huyi hai kyunki abb main jiss kaam k lehngy ki baat kar rahi hon woh kaam hota hi itna mehnga hai smile.gif ajjkal mehgayi kou dekhty huye abhi recently hi family ki aik wedding hai uss par yeh sab batien main ne janien

Jahan tak fazool kharchi n this n that baat hai
tou itni hi sasti shaadi karni hai tou woh loag wahan ja sakty hain jahan woh punjab ki joint marriages hoti hain chand paise le kar E9.gif sorry but really m shocked k kahan hain sab k aik dulhan k lehngy k pechy par gaye hain mera tou khayal hai k dulhy ko bhi kuch acha hi pehnana chaheye E9.gif

dulhan ko fakeer bana kar saadgi se tou bitha nahi sakty dont knw k app kis city se ho par isb main mehngyi ko dekhty main ne shops se patah kar k sab se sasty lehgas k price bataye thay aur uss par bhi baat ho gayi k yeh zyada hain blink.gif m really amazed ...han isb se bahar k cities k prices i dont knw k wahan itny main kitna n kesa mily ga

another thing ju main ne perhi k g paise kisi ko de dou well ju loag itna mehnga lehnga afford kar sakty hongy what do u think k woh loag apni beti ki khushiyun ki nazar utar kar na dety hon kisi ghareeb ki jholi main aur agher aik ghareeb ki jhouli bhar sakty hain tou apni beti ko woh 5 thousand main farigh kar dien???

sis sorry to say par ajj kal aik acha halka kaam wala suit bhi jis par thora necklace work jisko kehty hain huava hou tou usski price hai 6000 only so ...

well meko tou really amazed laga k shaadi k din bhi insaan sadaa rahy han ager woh 5-6 karvana chahta hai tou zarooor E9.gif

No-Offense par thats wot i think k mehngayi hi itni hai tou iss mian itna shocking kyun hona ????

Airy_Princess
and m amazed k app konsi shadiyun ki baat kar rahy hou k larka jeans n shirt main aya ????

ya tou I must say k woh shadiyan bhag kar hi hui hongien sisi ya phir woh ju joint hotien hain

aur hairat hai meko unpar k jinho ne apni hi shaadi ko enjoy na kia E9.gif
Airy_Princess
Aur han shaadi ka jora aik hi dafa nahi pehanty iski koi limitations nahi hotein hain

shaadi k baad jab bhi husband ya apni family main se kisi ki shaadi hoti hai tou tail mehndi par dulhan apny lehngy ka duppata mostly use karti hai

mery lye tou i think shaadi ka din buht special hota hai aur rose red color ka lehnga hi hona chahiye mehronish red woh buht cute lagta hai aik color ka

baki sab apna sochien 1-afsana.gif
Bore Na Kar
QUOTE
No-Offense

Hahaha wese ye acha tareka hy k offence se bhari post kr akhir mein likh dia jaye "No Offence" :d :d
Bore Na Kar
Sahera g kuch logon ko samjhanay ka koi faida nahin hota, unkay paas hazaar bahanay kisi kaam k karne ko aur hazaar bahanay kisi kaam k na karne ko smile.gif

So i must ask everyone what are the teachings of islam in this matter ? Fazool kharchi se bachnay ka kehnay ka ye matlab hargiz nahi hy k naukrani bun kr raha jaye jesa k kuch logon ne kehne ki aur apni taraf se tanz maarne ki koshish ki hy, Wese herat hy k shadi ki enjoyment sirf mehnga tareen lehnga pehan-ne mein hy :d Ab har ek ki apni apni soch hy na jahan tak ja sakay, kuch ye bhi kahein gay k hawai firing bhi honi chahiye enjoy nahin karni apni shadi bhala smile.gif aur aatish baazi ka azeem tareen muzahira bhi to karna chahiye ta k shadi enjoy ho sakay, Bus shadi enjoy ho jaye kyun ke ye ek hi baar honi hoti hy, aur agar kisi dance wali ko bhi bula liya jaaye to enjoyment to tub ho gi akhir apni shadi bhi enjoy nahin karni bhala :p mehndi pe bhi khob hallagulla aur dance shance hona chahiye akhir ek hi baar to mehndi honi hoti hy to enjoy na karein bhala :p

kyunke jab ek ghair islami harkat karni hy to phir baki bhi kartay jao iss naam par k chalo ek baar hi to honi hy shadi :d

Keep up the good work and enjoy ur marriages :d :d

Gud Bye
sahera
Airy princess !

JIs kisam ka reply apnay pehlay diya ya baki sab larkioN nay aur even meray reply kay baad bhi woh shocking hi hien....YAHAN baat sirf lehangay ki nahi shadi se related tamam fazol kharchioN ki hay.....

HUr buraye aur ghalat rasmON ki shuraAT aik baar karnay se he hoti hay aur woh bharhti bharhti un logoN kay liye jaan lewa ban jati Hay jo afford nahi kar saktay.

Magar yahAN baat afford karnay ki bhi nahi...mazeed is huwalay se jo kehna tha woh mey pehlay he keh chuki hoN...

yakeenan aap apna he soochay aur saath yeh dua bhi apnay karti raha karay kay aap ki sooch humesha aisI he halaat mey panapati rahey.

sahera
QUOTE(Bore Na Kar @ Oct 1 2007, 01:48 AM) *

KISI ko toh baat ab nahi karONgi....coz hur woh kaam jis kay lye aap dosarON ko mana karO pehlay us ka ehtesaab khud se shuru karna parta hay....

Isliye humesha yehi dua honi chahiye... kay ALLAH apni rehmat se sab ko apnay hifz o emaan mey rakhay...

TAKe care.
MJB
QUOTE(Laila @ Sep 28 2007, 05:22 PM) *
mere khayal main shadi aik baar hoti hai, yani ham aisay serious loug to yehi sochtay hain, adb.gif

aur utna mehna Lehnga efford kiya ja sakta hai jitna aap kay budget main ho, now it depeds on ur budget ke woh kitna hai, waisay acha lehnga to aaj kal mehnga hi milta hai, jo loug kaam kay baray main bohat specific hain, woh fir 40-50 thousand say neechay ka pasand nahin ker paatay.. 1-embaressed_smile.gif jaisay meri shadi ka jora 68 ka bana tha ..tabb... acha makeup na ho tou fotographs achi nahin aatin, aur achi fotographs kay liyay acha fotographer ka hona bhi zaroori hai, kyoon ki baad main yeh sab batain yadain ban jati hain, aur woh yadain pics aur videos ki shakal main aap kay pas reh jati hain, agar yeh sab kuch acha na ho tou main yaqeen say keh sakti hoon ke baad main pachtawa hota hai...

to yoon samajhiyay ke yeh sab lazim-o-malzoom ho jata hai aik achi aur SHOKEEN shadi kay liyay. iss liyay baad main pachtanay kay pehlay shadi hi apni pasand ki ker li jaye,

aur lehnga hi kyoon, lerkon ki sherwanis bhi aaj kal kuch kam sasti nahin, 20-22 thousand ki to araam say banti hai.

Laila,,, apki baat kissi had tak durust hey,,, lekin kya apki movie aur photographs main apka lehnga 100% reproduce hua hey,,, aur movie aur photographs main bhi 100% na sahih 50% tak waisa hi lagta hey,,, jitni iski price thi
barish aur gulab
QUOTE(Abu Adnan @ Sep 26 2007, 03:50 AM) *
aap ko kiss nay mana kia hai ... aap bhi pahan lo ... chaahay rent par hi lay kar.... E9.gif E9.gif

bohat khoob Master jee 1-jokes.gif

barish aur gulab
QUOTE(sahera @ Sep 29 2007, 09:36 AM) *
BG kI khawahish par yeh post FAshIOn n styLe section mey move kar rAHI hON...

bohat khush rahiye duas.gif

*Kainaat*
Hmmm..
mera tu koi exerience nahi
But... shadi ke dress aur function ke baare mein itna kuch discussion dekh ker, mere knowlewdge meein izaafa hua hai..

and i will definately keep in mind...

BNK and sahera ..got the valid point *Fazool kharchi* / U r right!!!
baqi maine ziada pakistani shadiaN nahi dekhi iss liye kuch keh nahi sakti
Airy_Princess
QUOTE(sahera @ Oct 1 2007, 02:48 PM) *
Airy princess !

JIs kisam ka reply apnay pehlay diya ya baki sab larkioN nay aur even meray reply kay baad bhi woh shocking hi hien....YAHAN baat sirf lehangay ki nahi shadi se related tamam fazol kharchioN ki hay.....
HUr buraye aur ghalat rasmON ki shuraAT aik baar karnay se he hoti hay aur woh bharhti bharhti un logoN kay liye jaan lewa ban jati Hay jo afford nahi kar saktay.

Magar yahAN baat afford karnay ki bhi nahi...mazeed is huwalay se jo kehna tha woh mey pehlay he keh chuki hoN...

yakeenan aap apna he soochay aur saath yeh dua bhi apnay karti raha karay kay aap ki sooch humesha aisI he halaat mey panapati rahey.

thankyou dear sis smile.gif
Airy_Princess
QUOTE(*Kainaat* @ Oct 1 2007, 08:04 PM) *
Hmmm..
mera tu koi exerience nahi
But... shadi ke dress aur function ke baare mein itna kuch discussion dekh ker, mere knowlewdge meein izaafa hua hai..

and i will definately keep in mind...

BNK and sahera ..got the valid point *Fazool kharchi* / U r right!!!
baqi maine ziada pakistani shadiaN nahi dekhi iss liye kuch keh nahi sakti

kyun kino siso app ne kyun nahi dekhien :o
Forever Green
Lehnga 0-heartbeat.gif Woh bhi Shadi ka 0-heartbeat.gif 0-heartbeat.gif

Mujhe baqi to pata nahi Lekin Apne un se yahi kaha hay jo aap ko pasand ho aur jo aap ko lage mujh per Suit kare woh aap le lena ( ab zahir hay woh achaa hi lein ge E9.gif
)

Hamare haan Baraat ka jora larke walon ki taraf se aata hay is liye meinne un per ye Zimedaari daal di
imslow.gif
Kanch k1 gur1a
QUOTE(Bore Na Kar @ Sep 28 2007, 04:37 PM) *
bilkul theek kaha, masjid mein simple nikah kar dia jaaye smile.gif

hehehe jab tumhari shadi hogi na tab tumse puchoongi.. agar tab tumhara mera samna is forum pe hota raha to.. nikkah karte ho ya fir phir puray dhol dhamakay bajatay ho
Kanch k1 gur1a
QUOTE(Laila @ Sep 28 2007, 08:26 PM) *
i totally aggreed with urfirst Paragraph related to shadi, waqai yeh din roz roz nahin aata.

aur jahan takk rahi baat kisi i madad kerny ki, to waqai kis ki madad kero gay,?? aaj kal loug itnay selfish hain ke agar aap ki haisiyat aik waqt roti khlana y ki hai, aur aap nay kisi ko aik waqt ki roti khilaa di, second time woh bunda fir aa jaye ga, aur agar aap us ko nahin khilaa paao gay to woh aap ko Galiyan day ker chala jaye ga. woh aap ki pehlay wali help ko bilkul bhula day ga. aur kuch logon ko aisay hi talkh tajrubbay ho chukay hotay hain, jo ab khud bhi selfish ho gaye hain.

yes I agree wid u laila.. ke yeh hota aya hia.. or yeh hota rahega.. thats why i said no one has such guts to give someone sum of rupees to start a business or do something else.. or aj kal ki fast life main kisi dusre pe trust karna its very impossible
Kanch k1 gur1a
QUOTE(sahera @ Sep 30 2007, 03:40 PM) *
Iam LIttle bit shocked to read the above comments....

SHadi aik baar he hoti hay magar fazool kharchi karnay se pehlay yeh sooch lein kay zindagi bhi aik baar kay lye he mile hay....mehangay lehangay lay kar aap kay pass sewaye usko sambhal sambhal kar rakhnay kay ilawa chaara kya rehta hay?

aur na he kisi ko dena ka dil karta hay kay akhir itnay paisay kharch kiye hien...majmoye tor par agar yehi sooch rahi thi wot we are going to give our next generation?

woh generation ya us sooch wali generation kaisay aaye gi jis kay lye kaha gaya hay kay naik aulad sadqa jaria hoti hay......jab humari ab yeh sooch hay kay bahoot saray humaray talkh tajurbaat hien etc aur jab yeh sooch ho kay kisi ko rozgaar khool kar denay se humein kya milna hota hay as aitbaar bhi toh nahi kiya ja sakta...

kIo bhool jatay hien hum sab yeh likhtay hoye kay hur baat ka ajaar ALLAH nay dena hota hay ...banday nay diya bhi toh kya diya....
maine aisi larkiyan bhi dekhi hien jo 5-5 lakh ka lehanga bhi afford kar sakti hien....magar apni shadi par mangani wala dress khareeda kay yeh paisay ka zeyaa hay ...larka aam se jeans aur shirt mey aaya....koi haar nahi pehnay kuch nahi....woh jin ki properties ka hisaaab nahi....unki zindagi mey bhi yeh din aik he baar aaya tha....kya woh isko enjoy karnay ka haq nahi rakhtay thay?

baat yahaN kunjoosi ki nahi hay......agar maa baap kay pass paisa hay magar woh sirf sur par haath phair kar bejh dein toh yeh zayadati hay.....beti ka haq hay...laikin baat yahaN zeyaa ki horahi hay....itni mehangay lehangoo ki resale 5% bhi nahi hoti....

aur logoN ki parwa wohi kartay hien jo logoN kay saath mil kar rasmein na poree karnay waloN ko baatien kartay hien.....chahey koi sunay na sunay aap ko apni baat par datay rehna hay...bashartakay aap ki neyat saaf ho ALLAh khud ba khud madad karta hay....

NAIKI kar darya mey daal.....shaitan ko khush hona ka moka na diya karay.

I am not shocked on your reply coz I do understand the phase you are talking about .. but the thing is har chez per waqt aur halaat mukhtalif hote hian. if you got the money you are doing everything .. agar nai to dulha jeanz ki pant n shirt main aya.. har aik ki jaib ijazat deti hai ke kya karna chayie or kya nai.. meri cousin ki shadi hui hia recently or unki shadi ka jora 75000 ka tha unhone apni beti ki shadi pe jitna kharcha karsakte the kiya coz woh ikloti beti hai unki or zindagi ke sare armaan unhone uski shadi per puray kiye.. diya dilaya har cheez ki..

lehngon ki resale ho ya na ho.. agar feelings dekhi jayien to us lehnge main woh pasand apke maan baap ki hoti hia.. woh shadi ki rasmoon ki khushbu hoti hia.. un nazroon ki rangat hoti hia jo apke liye tareef ki wajah bane.. or wese bhi shadi ke baad kafi khawateen apne shadi ke joray ko pehn leti hain kisi bari takreeb main. har cheez ko utilize karna ana chayie..

inna ziyada mehnga bhi lene ki zaroorat nai hai.. or itna sasta bhi nai ... neutral rehna chayie..

or rahi baat jahan naiki kar darya main daal.. to yeh qoul kehne main bahut acha lagta hai but amal se zindagi banti hai jannat bhi jahannum bhi... smile.gif
Kanch k1 gur1a
QUOTE(Bore Na Kar @ Sep 30 2007, 04:36 PM) *
Boht khob Sahera, shukr hy mere khyalat ki tarjumani kerne b koi aya yahan :p warna koi 30 hazar aur koi 70 hazar k lehngay ki baat kar rha tha jo sirf chand hours use honay hotay hain , wese 70 hazaar koi mamloi raqam nahin, itni raqam se kisi shakhs ko koi karobar ya shop shuru karwa kar uskay saray khandan ki roti rozi ka bandobast keya ja skta hy.
Ye kehna k zindagi mein ye mauqa sirf ek baar ata hy to kya as a muslim hum koi bhi ghalat kaam ye keh k kar saktay hyn k sirf ek bar hi to krna hy zindagi mein. Chahay kisi mein istetaat hi kyun na ho ye fazool kharchi hi rahay gi, koi chahay mercedez le lay ussay accept keya ja sakta hy k ye cheez uskay kaam aye gi lekin jo cheez sirf chand hours k liye use honi hy uss par itne pesay urana fazul kharchi nahi to aur phir fazul kharchi kis balaa ka nam hy?

Shadi karna koi ghalat kaam nahin hia smile.gif fazool kharchi yaqeenan tab wazeh hoti hia jab ap apni dil-i-muraad se paisa kharch karo.. lekin yahan kuch halaat ase bhi hote hian ke unko kharcha karne pe unke susrali force karte hain.. agar shadi ke joray ko hi inna ro rahay hian ghar walay to jahaiz mangte waqt un sab ko kya hojata hai.. yeh sab log hote hian.. jo kuch keh rahay hote hian jahaiz nai lena chayie or wahin woh log bhi hote hian jo kehte hain isne to apni beti ko kuch nai diya.. agar larki puray ehtamaam ke sath sajh dajh ke .. uske ghar walay khanay se le kar sajawat tak .. shadi ki rasumaat se le kar photographers tak behtareen or umda intezaam karien to wohi log sawal karte hian ke isne apni beti ki shadi main to kuch nai kiya.. kis kis baat se ap bachayeinge khud ko.. maan baap apni beti ko wida karte hian sirf in chandh baaton ko sunne ke liye? inhi baaton se bachne ke liye gareeb se gareeb baap bhi apni beti ko achay joray main wida karta hai takay uske susraal main kabhi is baat se uski beti ka sir nicha na ho ke uske baap ne na kuch dia or na hi kuch kia smile.gif
copycat
QUOTE(Bore Na Kar @ Sep 26 2007, 12:17 AM) *
Ws

Sirf gals kyun, boyz kyun nai de sktay answer :p

I think rent pe le lena chahye 1 din hi to kaam ana hota hy :p

no no shadi ka moqa ek hi baar aata hai us per bhi kisi ka utra howa lehga no way is se behter banda koi simple se suite pehen le thumbsdown_anim.gif
copycat
QUOTE(sahera @ Sep 25 2007, 09:53 PM) *
AOA GALS
Yeh bataye kay in ur opinion how much it must be expensive.....utna jitna aap afford kar saktay ho?

Kya lehanga in case agar aap mehanga afford kar be lo toh yeh zraoori hay woh bahoot expensive ho....aik baar toh pehnana hota hay..jitnay paisay lehangay aur makeup mey lagtay hien utnay mey aram se kisi qareeb ko karoobaar khool kar diya ja sakta hay..kitnoo ka bhala ho sakta hay...phir aisi chese par paisay kio lagaye jaye jis nay humesha kay liye suit case mey band hojana hay .......?

wot u say regarding it?

sahi keh rhi hain mai bhi yehi kehti hoon k ek baar pehenne k liye mehga jora lene ki kia zrort hai
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.
Invision Power Board © 2001-2008 Invision Power Services, Inc.