hadeea
Sep 30 2007, 03:46 PM
Takmeel e muhabat kia hai ? kia kisi ko pa liana hi takmeel e muahabt hai?
Abu Adnan
Oct 1 2007, 07:59 AM
teray ISHQ kee intehaa chaahtaa houN
meri sadgi dekh maiN kia chahta houN
bahoot see cheezouN ka koi end point nahi hota lehaza iski takmeel kabhi nahee hoti, yeh hamesha jaari rahta hai ... jaisay WAQT aur mohabbat
Bore Na Kar
Oct 1 2007, 11:35 AM
Kisi ko paa lena to muhabbat ki takmeel nahin, kisi ko paa lena aur ussay khush na rakhna to muhababt bhi nahin :p lehaza asal kaam to paa lene k baad shuru hota hy
Abu Adnan
Oct 1 2007, 01:53 PM
QUOTE(Bore Na Kar @ Oct 1 2007, 11:35 AM)

Kisi ko paa lena to muhabbat ki takmeel nahin, kisi ko paa lena aur ussay khush na rakhna to muhababt bhi nahin :p lehaza asal kaam to paa lene k baad shuru hota hy

yehi baat 'paa lenay' k baaf bhi kahnaa ... tab maanengay
Bore Na Kar
Oct 1 2007, 03:45 PM
nahin main arrange marriage karon ga :d
Abu Adnan
Oct 2 2007, 08:24 AM
Forever Green
Oct 2 2007, 08:28 AM
Forever Green
Oct 2 2007, 08:37 AM
Very Cute Question
Mein ne ek jaga parha tha ke "Mojooda halaat se mutmain ho jana Tareqi ki moat hay"
Yani jo loog apne halaat se mutmain ho jaen woh loog tareqi nahi kar paate....... Ye baat sirf practical life mein ya jobs mein laago nahi hoti ........justuju har cheez mein honi chahye.... Aur jab baat Mohabbat ki aa jay to phir to ye baat peak tak pohanch jaati hay ..... Dil ka mutmain hona Takmeel ki alamat hay aur Mohabbat mein to aap ko har waqt yahi justuju lagi rehti hay ke aap aesa kya karo jis se aap apne meh#### ko khush kar sako ....
Ek example deti hoon yahan .....hum ne suna hay ke Allah ki raah mein jitn akharch karo kam hay ...yani ke jitna bhi aap karo woh kam hota hay aur Allah ki raah mein hum Uski mohabbat mein hi kharch karte hain naa to jis din koi ye keh de ke meri mohabbat Allah ki rah mein mokamal ho gai aur mein 100 % sure hoon ke Allah paak mujh se raazi ho gaya to kya ye sahi hoga....
Kehne ka maqsad ye hay ke hum kese keh sakte hain ke hamara meh#### hum se 100% mutmain hay ....aur agar hum nahi sure to hum us ke liye behter se behtreen karne ki koshish karte hain aur agar ye koshish jaari rahe to mohabbat ki takmeel na huwi naa....aur is ka matlab ye huwa ke Mohabbat ki takmeel nahi hoti ye buss jaari rehti hay na khatam hone wala silsila hay ye .... Aur jahan aap ye sooch lo ke aap ka meh#### aap se satisfie hay aur buss kar liya bahot aap ne uske liye to wahan mohabbat khatam ho jaati hay us ko takmeel nahi kehte..
hadeea
Oct 9 2007, 09:17 AM
QUOTE(Abu Adnan @ Oct 1 2007, 08:59 AM)

teray ISHQ kee intehaa chaahtaa houN
meri sadgi dekh maiN kia chahta houN
bahoot see cheezouN ka koi end point nahi hota lehaza iski takmeel kabhi nahee hoti, yeh hamesha jaari rahta hai ... jaisay WAQT aur mohabbat
Aik dosre ki muhabat per sadqe dil se imaan lana takmeel e mahubat hai
thnx
Kashif
Oct 9 2007, 09:50 AM
AOA
Abu Adnan bhai nay sahi kaha kay muhabbat ka koi end point nahin hota
jab insan say muhabbat shidat ikhtiyar karti hay to phir yeh Ishq-e-haqeeqi ka roop mein aa jati hay aur jab ALLAH say muhabbat ki jayay to woh to phir end less ban jati hay aur jitna insan us samandar mein jata jayay us ki gehrai khatam nahi hoti
Uncertainty
Oct 9 2007, 01:39 PM
yes .. this is a continuous process ... no ending ..
WoundedSmile
Oct 11 2007, 12:26 AM
Takmeel-e-Muhabbat aik arurda umeed ke siwa kuch nahi
mage eh apney zaraf ki baat hey ke aap kahaan tak mumain hotey hain
Merey Mutaabiq
takmeel-e- Muhabbat shayed Kaamil Ataet or Us ke Jawaab Main Be-Hisaab Jazaa hi ho Sakti hay
WoundedSmile
Oct 11 2007, 12:26 AM
QUOTE(WoundedSmile @ Oct 11 2007, 12:26 AM)

Takmeel-e-Muhabbat aik umeed ke siwa kuch nahi
mage eh apney zaraf ki baat hey ke aap kahaan tak mumain hotey hain
Merey Mutaabiq
takmeel-e- Muhabbat shayed Kaamil Ataet or Us ke Jawaab Main Be-Hisaab Jazaa hi ho Sakti hay
hadeea
Oct 19 2007, 10:45 PM
Airy_Princess
Oct 20 2007, 03:46 AM
shukria Hadea app ka
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please
click here.