QUOTE(Laila @ Oct 3 2007, 10:20 AM)

aapi yeh kahin wohi dulha to nahin jis kay aanay per gift ka socha jaa raha tha? 
hmm coming back to the topic i have this problem, aur abhi takk to zinda hoon
lol. mazaqing, umm, mujhay yeh problem shayad kab say hai mujhay bhi yaad nahin, per itna yaad hai ke do baar aisa ho chuka hai 3 din musalsal nose bleeding hoi, first time to Nakseer samajh ker chor diya, kyoon ki shadeed germiyan thin aur main thi bhi karachi main, second time main samjhi ussi kay remains hain, per jab third time howa to foran hospital pohanchaa di gayee, lekin wahan koi pareshan nahin howa, doctor nay kaha koi masla nahin, ab bund ho chuki hai,
main nay dil main kaha, woh to mujhay bhi dikh raha hai ke bund ho gayee hai..
kehti hai zaroorat pernay per drip laga dain gay, sachi mujhay to lag raha tha woh doctor nahin nurse hai... 
nosepack ki baat ki to wahan per mojood nurse itna khatarnaak nosepack bana raha tha ke bhai nay bola rehnay dejiyay, zaroorat peri to khud bana lain gay.
second time NY main phooti thi yeh bleeding, aisay hi 3 days rahi, main doctor kay pas gayee, us nay bataya ke yeh khasa common problem hai, aap ki ooper ki aik nerve jab bhi pinch hoti hai, chahay under say ya bahar say, aur jab bhi aap ka naak dry hota hai under say, tabb aisa hona mumkin hai, aur hamesha aik hi nostril say phoot'ti hai, us nay mujhay Saline spray likh ker diya ke meanwhile yeh use kero ta-ke dryness na ho, aur fir ENT kay pas chali jana, jis ka referal us nay bana ker diya woh mere panel per nahin tha, main nay kaha kon dobara jaye, is liyay chor diya
jana chaeyay tha waisay. 
aur jahan takk mujhay experience hai, aap ki yeh nerve bohat sensitive ho chuki hoti hai, even ke agar aap kay naak ko bahar say zor ka pinch bhi kiya jaye to nakseer phootnay ka durr rehta hai, aur agar halki phulki takkar ya bachay ka halka sa punch bhi lag jaye (jo ke mujhay lag chuka hai)
us say bhi phoot perti hai,
hawww aik baar ka to bataya hi nahin, main Pak say UK aa rahi thi, tabb plane main phooti thi, woh bhi kafi der rahi, crew khasa pareshan ho gaya tha, per fir ice waghera rakh ker ilaaj ker hi liya tha.
Conclusion:
mere khayal main yeh koi jaan lewa beemari nahin hai, haan ihtiyaat kerni perti hai, aur behter hai ke ENT ko chek kerva liya jaye. 
shukrya laila
bachpan mein to mere bhai ki nakseer bahot phoot ti thee lekin badon mein yeh case naheen suna tha isliye socha poocch loon.
ek to net par parh parh ke dar aur confusion barh jata hai aur meri puraani aadat ke koi bhi beemari problem kucch ho net par zuroor do ghantay lagati hoon.Good to know about stuff.
ENT wali baat mere zehen mein bhi aayee thee aur main ne message pass on kar diya hai.
how are you doing by the way.