Help - Search - Members - Calendar
Full Version: ~~muafi Forgiveness~~
HulChul.NET > Science, Arts & Culture > Philosophy & Mysticism
hadeea
Ager ho saky to maaf ker dia kareen ,khaas tour per us insaan ko jis ne ap ki kirdaar kushi ki hoo.ager aisa ker sakiin to ap ko andaza hoga kah maaf ker deny ka derja itna buland kion rakha gia hai..
islaam deen e fitrat hai aur insaan ki fitrat hai kah wo badla liana pasand kerta hai ,haath k badly haath ankh k badly ankh khoon k badly khoon.lakin Allah ko maaf ker dena ziada pasand hai. bawjood es k kah ap badla lian ki position main hoon.
Kashif
AOA

bohat achi baat ki aap nay
laikin yeh kaam asal mein barra mushkil kaam hay aur issi liyay iss ka ajar bhi barra hay aur Allah Talah bohat khush hota hay us say jo kisi ko muaf kar dey

hum logon kay liyay to us banday ko muaf karna bhi mushkil ho jata hay jis nay humara dil dukhaya ho aur ab sharminda ho kar muafi mang raha ho ...laikin Allah walay log to apnay dushman ko bhi baghair muafi mangay hi Allah kay liyay muaf kar detay hain....aisa zarf to kisi kisi ko naseeb hota hay
*Kainaat*

yep.. maaf ker doo aur bhool jaao !!

Nice post hadeea rose.gif
hadeea
QUOTE(M Kashif Nisar @ Oct 17 2007, 11:03 AM) [snapback]2529995[/snapback]
AOA

bohat achi baat ki aap nay
laikin yeh kaam asal mein barra mushkil kaam hay aur issi liyay iss ka ajar bhi barra hay aur Allah Talah bohat khush hota hay us say jo kisi ko muaf kar dey

hum logon kay liyay to us banday ko muaf karna bhi mushkil ho jata hay jis nay humara dil dukhaya ho aur ab sharminda ho kar muafi mang raha ho ...laikin Allah walay log to apnay dushman ko bhi baghair muafi mangay hi Allah kay liyay muaf kar detay hain....aisa zarf to kisi kisi ko naseeb hota hay

thnx kashif sahib ap theek samjhy hain main yahi kahna chahti thi kisi k maf managy se pahly hi us ko maaf ker dia jaye .
Airy_Princess
Dear hadea

yara dekh yeh sab kehna buht asan hai k maaf kar dou par really maaf karna buht mushkil hai khas kar tab jab koi app ka apna app ka dill itni buri tarhan se torr de n phir maffi mangy jahan tak meri family ka sawal hai meine kabhie ego nahi rakhi apni unn k rishton main par jab baat ati hai mery social relations ki tou jab main sahi hon tab main sahi hon aur log ghalt kehty hain n phir mafi mangty hain n again they have feelings k woh tou theek thay tou aaisi mafiyun ka ya k phir aesy logon ko maaf karny ka kya faida???
Kashif
QUOTE(hadeea @ Oct 19 2007, 10:43 PM) [snapback]2534559[/snapback]
thnx kashif sahib ap theek samjhy hain main yahi kahna chahti thi kisi k maf managy se pahly hi us ko maaf ker dia jaye .

welcome ji
laikin aisa karna to bohat mushkil hota hay........kay jis nay dil dukhaya ho aur woh muafi bhi na mangay...usay muaf kar diya jayay.......agar ALLAH kay liyay kar dein to ALLAH ajar dey ga
Kashif
QUOTE(Airy_Princess @ Oct 27 2007, 03:07 AM) [snapback]2549517[/snapback]
Dear hadea

yara dekh yeh sab kehna buht asan hai k maaf kar dou par really maaf karna buht mushkil hai khas kar tab jab koi app ka apna app ka dill itni buri tarhan se torr de n phir maffi mangy jahan tak meri family ka sawal hai meine kabhie ego nahi rakhi apni unn k rishton main par jab baat ati hai mery social relations ki tou jab main sahi hon tab main sahi hon aur log ghalt kehty hain n phir mafi mangty hain n again they have feelings k woh tou theek thay tou aaisi mafiyun ka ya k phir aesy logon ko maaf karny ka kya faida???

yehi to insan ka barra pan hota hay kay usay muaf kar dey jo apni ghalti par sharminda ho aur aainda usay na duhrayay, dil ko dukh to hota hay par perfect to koi insan nahin hota na.......aur ALLAH bhi khush hota hay muaf karnay walay banday say
hadeea
QUOTE(M Kashif Nisar @ Oct 30 2007, 11:08 AM) [snapback]2555645[/snapback]
welcome ji
laikin aisa karna to bohat mushkil hota hay........kay jis nay dil dukhaya ho aur woh muafi bhi na mangay...usay muaf kar diya jayay.......agar ALLAH kay liyay kar dein to ALLAH ajar dey ga



slam
kashif sahib
Ap ko Hazrat Muhammed(PBUH) aur aik jew aurat wala waqia yaad hoga jo rooz Un (PBUH) per kachra phenkti thii aik din us ne aisa nahi kia to AP us aurt ki khariat deryaat kerny chaly gay thy.. Bas es historical waqia se yahi lesson milta hai kah bina maafi mangy hi maaf ker dia jaye.. .es tarah ka waqiaat isi liay bataye aur perhaye jaty hain..
hadeea
QUOTE(Airy_Princess @ Oct 27 2007, 04:07 AM) [snapback]2549517[/snapback]
Dear hadea

yara dekh yeh sab kehna buht asan hai k maaf kar dou par really maaf karna buht mushkil hai khas kar tab jab koi app ka apna app ka dill itni buri tarhan se torr de n phir maffi mangy jahan tak meri family ka sawal hai meine kabhie ego nahi rakhi apni unn k rishton main par jab baat ati hai mery social relations ki tou jab main sahi hon tab main sahi hon aur log ghalt kehty hain n phir mafi mangty hain n again they have feelings k woh tou theek thay tou aaisi mafiyun ka ya k phir aesy logon ko maaf karny ka kya faida???



Miss princess

sare kaam nafa aur Nuqsaan k liay nahi kerna chahye kuch kaam bas ase hi ker deny chahye
smile.gif
Abu Adnan
QUOTE(hadeea @ Oct 16 2007, 11:13 PM) [snapback]2529347[/snapback]
Ager ho saky to maaf ker dia kareen ,khaas tour per us insaan ko jis ne ap ki kirdaar kushi ki hoo.ager aisa ker sakiin to ap ko andaza hoga kah maaf ker deny ka derja itna buland kion rakha gia hai..
islaam deen e fitrat hai aur insaan ki fitrat hai kah wo badla liana pasand kerta hai ,haath k badly haath ankh k badly ankh khoon k badly khoon.lakin Allah ko maaf ker dena ziada pasand hai. bawjood es k kah ap badla lian ki position main hoon.



ikhtelafay roy ki peshgi maazrat ... omeed hai k aap mujhay bhi maaf kar dengi. E9.gif E9.gif

jab baat islami hawlay say aaye to baat poori aur haq par mabni honi chahiyeh.

1. "badlah lenah" insaan ka HAQ hai ... aankh k badlay aankh, daant k badlay daaNt aur khoon k badlay khoon .... insaan ko yeh HAQ quran nay bhi dia hai aur bible maiN bhi iska tazkera hai.......... lekin badlah lenay maiN 'zeyadti' nah honay paaye.

2. agar reyasti adaray aap ko insaf nahi delaa rahay ... zaalim, har aik par zulm karnay ki shohrat /aadat rakhta hai .... to aisay zaalim ko maaf kardena bhi ZULM hai ... aik hadees ka mafhoom yehi hai k ZAALIM ka haath nah rokna bhi zulm karnay k motraadaf hai.

3. lekin agar koi ghalati say aap ka nuqsaan kar baiThay, aur apni harkat par sharmindah ho, yaa maafi maang lay to MAAF kardenaa afzal hai aur Allah ko iss tarah maaf kardena pasand bhi hai. LEKIN phir bhi nuqsaan oThanay walay fard ko badlah lenay ka HAQQ hai, agar woh badlah lena chaahay to .....

aik ar hadees hai k aik martabah AAP saw nay farmaya k jiss kissi ka koi dawaa mujh par ho woh aaj lay lay, rozay qayamat dawaa nah karay... aik sahabi RA nay khaRay hokar kaha k falaaN roz aap jaa rahay thay aur aap k haath maiN chaRi thee jo mujhay lag gayee thee. maiN aaj badlah lena chahta houN. log hairaan howay magar AAP saw nay farmayaa to theek hai aaj tum bhi mujhay chaRi say maar lo. sahabi nay farmaya magar oss roz maiN nanagy badan thaa. AAP saw nay apni qameez otaar dee k lo ab badlah lay lo ... oss sahabi RA nay aap k badanay athar par maujood mohray nabwaat ko choom lia aur kaha k mera maqsad poora hogaay....

islam har baat maiN tawaazun rakhta hai. yaktarfah taaleem nahi deta k agar koi tmharay aik gaal par thappaR maaray to tum doosra gaal bhi pesh kardo aur ossay maaf kartay jaa'o ... iss tarah society disbalance hosakti hai.

omeed hai k aap nay ikhtefaya roy par ab tak mujhay maaf kardia hoga.
E9.gif
Kashif
QUOTE(hadeea @ Oct 31 2007, 01:13 AM) [snapback]2557412[/snapback]
slam
kashif sahib
Ap ko Hazrat Muhammed(PBUH) aur aik jew aurat wala waqia yaad hoga jo rooz Un (PBUH) per kachra phenkti thii aik din us ne aisa nahi kia to AP us aurt ki khariat deryaat kerny chaly gay thy.. Bas es historical waqia se yahi lesson milta hai kah bina maafi mangy hi maaf ker dia jaye.. .es tarah ka waqiaat isi liay bataye aur perhaye jaty hain..

w/salam
aap nay bilkul thik kaha ....HAZOOR PAK (SAW) ki to beshumar aisi misalein hain aur baqi bhi ALLAH kay naik banday aisa kartay rahay hain
I think aap nay mera point nahin samjha ......main yeh keh raha tha kay yeh kaam bohat ajar wala hay laikin utna hi mushkil bhi hay......kiyunke aik banday ka dil dukha hota hay to yahan par woh ALLAH kay liyay muaf kar dey to us ka barra pan hota hay....ab zahir hay hum aam log hain ....us muqam par aana itna aasan to nahin hota na
hadeea
QUOTE(M Kashif Nisar @ Oct 31 2007, 10:25 AM) [snapback]2557872[/snapback]
w/salam
aap nay bilkul thik kaha ....HAZOOR PAK (SAW) ki to beshumar aisi misalein hain aur baqi bhi ALLAH kay naik banday aisa kartay rahay hain
I think aap nay mera point nahin samjha ......main yeh keh raha tha kay yeh kaam bohat ajar wala hay laikin utna hi mushkil bhi hay......kiyunke aik banday ka dil dukha hota hay to yahan par woh ALLAH kay liyay muaf kar dey to us ka barra pan hota hay....ab zahir hay hum aam log hain ....us muqam par aana itna aasan to nahin hota na



ji kashif sahib
ap sahi kahty hain yeh kaam asaan nahi hota
lakin aur sunat e nabvi per amal kerty huy beard rakh sakty hain .shalwaar takhnon se opper ker sakty hain to Rasool(PBUH) k baqi batoon per bhi amal hona chahye na.
hadeea
QUOTE(Abu Adnan @ Oct 31 2007, 10:04 AM) [snapback]2557850[/snapback]
ikhtelafay roy ki peshgi maazrat ... omeed hai k aap mujhay bhi maaf kar dengi. E9.gif E9.gif

jab baat islami hawlay say aaye to baat poori aur haq par mabni honi chahiyeh.

1. "badlah lenah" insaan ka HAQ hai ... aankh k badlay aankh, daant k badlay daaNt aur khoon k badlay khoon .... insaan ko yeh HAQ quran nay bhi dia hai aur bible maiN bhi iska tazkera hai.......... lekin badlah lenay maiN 'zeyadti' nah honay paaye.

2. agar reyasti adaray aap ko insaf nahi delaa rahay ... zaalim, har aik par zulm karnay ki shohrat /aadat rakhta hai .... to aisay zaalim ko maaf kardena bhi ZULM hai ... aik hadees ka mafhoom yehi hai k ZAALIM ka haath nah rokna bhi zulm karnay k motraadaf hai.

3. lekin agar koi ghalati say aap ka nuqsaan kar baiThay, aur apni harkat par sharmindah ho, yaa maafi maang lay to MAAF kardenaa afzal hai aur Allah ko iss tarah maaf kardena pasand bhi hai. LEKIN phir bhi nuqsaan oThanay walay fard ko badlah lenay ka HAQQ hai, agar woh badlah lena chaahay to .....

aik ar hadees hai k aik martabah AAP saw nay farmaya k jiss kissi ka koi dawaa mujh par ho woh aaj lay lay, rozay qayamat dawaa nah karay... aik sahabi RA nay khaRay hokar kaha k falaaN roz aap jaa rahay thay aur aap k haath maiN chaRi thee jo mujhay lag gayee thee. maiN aaj badlah lena chahta houN. log hairaan howay magar AAP saw nay farmayaa to theek hai aaj tum bhi mujhay chaRi say maar lo. sahabi nay farmaya magar oss roz maiN nanagy badan thaa. AAP saw nay apni qameez otaar dee k lo ab badlah lay lo ... oss sahabi RA nay aap k badanay athar par maujood mohray nabwaat ko choom lia aur kaha k mera maqsad poora hogaay....

islam har baat maiN tawaazun rakhta hai. yaktarfah taaleem nahi deta k agar koi tmharay aik gaal par thappaR maaray to tum doosra gaal bhi pesh kardo aur ossay maaf kartay jaa'o ... iss tarah society disbalance hosakti hai.

omeed hai k aap nay ikhtefaya roy par ab tak mujhay maaf kardia hoga.
E9.gif


slam
ji janab ap ko pura haq hai ikhtalaf kerny ap ka ne jo bhi likha hai wo sab theek hai.
but koi aik waqia aisa bhi likh deen. jab HAZOOR ne badla lia hoo. Un k saath jo jo kuch hua wo sab ko pata hai.kia Unhon(PBUH) ne kisi se badla lia tha?
ager aur batoon main prophet Muhammed ko copy ki ajata hai to un k ikhlaq ko copy kion nahi kia jata
regards
Abu Adnan
QUOTE(hadeea @ Nov 2 2007, 01:16 AM) [snapback]2560197[/snapback]
slam
ji janab ap ko pura haq hai ikhtalaf kerny ap ka ne jo bhi likha hai wo sab theek hai.
but koi aik waqia aisa bhi likh deen. jab HAZOOR ne badla lia hoo. Un k saath jo jo kuch hua wo sab ko pata hai.kia Unhon(PBUH) ne kisi se badla lia tha?
ager aur batoon main prophet Muhammed ko copy ki ajata hai to un k ikhlaq ko copy kion nahi kia jata
regards



wasalam.gif hadeea rose.gif

maaf karna yaqeenan aik mostahsan fail hai, jissay islam nay encourage kia hai.

Aap saw hi ka qaul hai k zaalim ka haath nah rokna bhi zulm karnay k barabar hai... agar koi fard mujh par mosalsal zulm karta jaye aur maiN ossay maaf karta jayouN, oska haath nah rokouN, aur say jaiz badlah nah louN to hamara yeh amal hamaray nabi saw k iss qaul k khelaaf hoga.

Islam aik balance mazhab hai. iski taaleemaat maiN tawazun hai. jiskay liyeh pooray k pooray islam ko as awhole samajhnay aur iss par amal karnay ki hai. kissi aik ayat /hadees ko baqi saray taaleemat say juda karkay nahi dekha jasakta.

kuffar nay muslims par aur khud aap ki zaat saw par jo zulm dhaye iska aap saw nay onsay JEHAAD karkay baarhaa BADLAAH lia hai. agar aap sirf maaf kardenay k qaail hotay to kuffar say kabhi nah laRtay aur onhaiN qatal nah kartay /karwatay. kaii sahabiyouN nay kuffar k zulm par onhaiN inferaadi taur par bhi qatal kia aur jab iss qatal ki khabar hamaray piyaray Nabi saw ko dee gayee to aap nay iss amal ki taayeed ki aur yeh nahi kaha k tum nay ossay maaf kiyouN nahi kia.
Kashif
QUOTE(hadeea @ Nov 2 2007, 01:10 AM) [snapback]2560180[/snapback]
ji kashif sahib
ap sahi kahty hain yeh kaam asaan nahi hota
lakin aur sunat e nabvi per amal kerty huy beard rakh sakty hain .shalwaar takhnon se opper ker sakty hain to Rasool(PBUH) k baqi batoon per bhi amal hona chahye na.

iss mein 2 qism kay log aa jatay hain

aik woh jinhon nay aap par zulm kiya ho ..........un kay zulm ko muaf kar dena us zulm mein izafay ka baa'is ban sakta hay

aik woh log hotay hain jin say koi zati qism kay ranjish pohanchi ho aap ko........aisay logon ko muaf kar dena naiki hay ....iss mein bhi yeh hay kay agar koi muafi na mangay ya sharminda na ho to us ka muaf kar dena us ka haq nahin bulkay woh sirf aap ka naik amal hay ALLAH kay liyay ....haan jo sharminda ho us ko muaf kar dena chahiyay
hadeea
QUOTE(Abu Adnan @ Nov 2 2007, 09:46 AM) [snapback]2560656[/snapback]
wasalam.gif hadeea rose.gif

maaf karna yaqeenan aik mostahsan fail hai, jissay islam nay encourage kia hai.

Aap saw hi ka qaul hai k zaalim ka haath nah rokna bhi zulm karnay k barabar hai... agar koi fard mujh par mosalsal zulm karta jaye aur maiN ossay maaf karta jayouN, oska haath nah rokouN, aur say jaiz badlah nah louN to hamara yeh amal hamaray nabi saw k iss qaul k khelaaf hoga.

Islam aik balance mazhab hai. iski taaleemaat maiN tawazun hai. jiskay liyeh pooray k pooray islam ko as awhole samajhnay aur iss par amal karnay ki hai. kissi aik ayat /hadees ko baqi saray taaleemat say juda karkay nahi dekha jasakta.

kuffar nay muslims par aur khud aap ki zaat saw par jo zulm dhaye iska aap saw nay onsay JEHAAD karkay baarhaa BADLAAH lia hai. agar aap sirf maaf kardenay k qaail hotay to kuffar say kabhi nah laRtay aur onhaiN qatal nah kartay /karwatay. kaii sahabiyouN nay kuffar k zulm par onhaiN inferaadi taur par bhi qatal kia aur jab iss qatal ki khabar hamaray piyaray Nabi saw ko dee gayee to aap nay iss amal ki taayeed ki aur yeh nahi kaha k tum nay ossay maaf kiyouN nahi kia.



Ager Tujhe Koi Tafleef Deny K liay Rasty main Kanty rakhy to usy rasty se hutta doe. ager tum ne bhi jawab main kanty hi rakhy to Phir tamam dunya main kanty hi kanty ho jain gy

if some one does wrong with u pay him back with goodness If u will also pay with harshness then whole world turn into corruptions
by
Hazrat Nazam u Din Aaulia
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.
Invision Power Board © 2001-2008 Invision Power Services, Inc.