QUOTE(sohni_kudi @ Oct 20 2007, 03:09 PM)

lkin uss pe corruption ka ek bhi ilzam proof to nhe hua na?
Proof to kisi politician, kisi beaurucrat, kisi fauji officer k khilaaf bhi nahin to iska matlab k sub masoom hyn

Asal ye hy k ye sub noora kushti kartay hyn, jaan bhooj kar proof nahin kartay kyunke agar kisi ek ne aisa kar diya to jo aisa karay ga uskay baad anay waalay unka hisaab kitaab chukta kar dein gay, sub ek doosray ko tahaffuz de kar coruption pe coruption kiye ja rahay hyn .
KHI mein jo bridge crores of rupees se bana wo ek maheenay mein gir gaya, kisi ko kuch saza hui? koi pakra gaya? kisi ne kaha k falan shakhs ne ghalat aur sasta material use keya tha, nahin sub ne iss mein maal banaya aur sasta material use kar k commisiion kamaye aur koi kisi koi nahin pakray ga sub ek doosray ko tahaffuz dein gay, ye sub chor hain.