Help - Search - Members - Calendar
Full Version: Shadi No-1
HulChul.NET > Science, Arts & Culture > Human Relationships, Society & Culture
Abu Adnan
kissi channel par aik progrm dekha jiss maiN aik aisay tarbiyati adaray ko dekhaya gaya hai jahaaN shadi ko kaamyaab bananay k tareeqay 'sikhlaye' jaatay haiN......... kiyouN nah hum bhi yahaaN aisee hi aik class ka aghaaz karaiN. rule.gif

iss post maiN aap aik behtar shauhar aik behtar biwi aik kaamyaab shaadi say motalliq koi bhi baat share kar saktayt hain.... achay shauher / biwi ki khoobiyaaN, aap ki nazar maiN yaa kissi aur ki nazar maiN ... koi related waaqeaa, joke, shair, quotation etc etc. yahaaN log apnay yaa apnay kissi jaannay waalay joRay k azdawaaji masaail bhi share karsaktay haiN, jiska jawaab koi bhi day sakta hai... aik say zayad jawaab bhi diye jasaktay hain.... post agar halkay phulkay (just like reported tv serial) tareeqay say aagay baRhay to viewers ko lutf bhi aayega aur food 4 thought bhi milega.

bus phir shorro hojayaiN saaray k saaray husbands n wives aur woh log bhi jo mustaqbil qareeb / bayeed maiN shauher / biwi bannay k omeedwaar haiN. krakrani.gif aur jo log omeed.waar bhi naheeN haiN woh bhi bataur 'mobassir' shirkat karsaktay haiN.
E21.gif
Abu Adnan
  • hamaray piyaray Nabi PBUH ka farmaan hai....
  • log shadi amooman husn yaa daulat ki bunyaad par kartay haiN tum deen.daari ki bunyaad par shadi karo.
  • ay logo (husbands), tum apni aurtouN (biwiyouN) ko bilkul seedha karnay ki koshish nah karo k woh mislay kamaan haiN. agar tum nay onhaiN bilkul seedha karnay ki koshish ki to onhaiN toR baiThogay.
  • agar tumhaiN apni biwi ki koi aik adat pasand naheeN to oski onn adatouN ki taraf tawajjah do jo tumhaiN pasand houN.
  • tum maiN say behtareen log (shauhar) woh haiN jo apnay ahal o ayaal (including biwi) k haqq maiN behtareen ho
Abu Adnan
Mukhtalif ahadees maiN AAP SAW nay farmayaa....
  • aik achi biwi woh hai, jiski taraf shauhar dekhay / rajoo karay to woh ossay khush karday.
  • aik achi biwi woh hai jo shauhar ki ghair maujoodgi maiN oskay maal o izzat ki hifazat karti hai aur aisay logouN ko ghar nahi aanay deti jissay oska shauhar naa pasand karta ho.
  • agar koi biwi iss halat maiN raat say subah karay k oska shauhar oss say naraaz ho to poori raat farishtay aisee aurat par laanat bhejtay haiN
  • agar Allah apnay sewa kissi aur ko sajdah karnay ki ijazat deta to woh biwiyouN ko hukm deta k woh apnay shauharouN ko sajdah karay.
Abu Adnan
aik odheR omar un.married mard say kissi nay poocha k aap nay shadi kiyouN nahi ki. to oss nay jawaab dia k maiN aik ideal laRki ki talaash mai raha. dost nay poocha to kia poori dunya maiN tumhaiN koi ideal laRki nahi milli. oss nay kahaa ... kaii laRkiyaaN milli theeN magar woh bhi ideal laRkay ki talaash maiN theeN. krakrani.gif
Abu Adnan
aik poet shauhar (syed zameer jafery) kahta hai:

meri biwi qabar maiN leTi hai kiss hangaam say
woh bhi hai aram say aur maiN bhi hoN aram say


E9.gif E9.gif

Abu Adnan
uljhan: meray miyaaN meray har kaam maiN keeRay nikaaltay haiN. bataiyyeh maiN kia karouN. 1-think.gif


suljhan: aaj aap onkay khaanay ki plaiT maiN chand chaltay phirtay keRay )insects) Daal daiN. jab woh poochaiN k yeh kia hai to kah daiN. aap ko to meray har kaam maiN keeray nikaalnay ki aadat hai. yahaaN bhi plate say keeRay nikaal kar khaanaa tanawal farmaa laiN.
krakrani.gif
Abu Adnan
biwi say (sirf apni) mazaaq kartay howay yaa osper tanz kartay howay mohtaat rahaiN warnah ..... E21.gif
  • aik sahab k barah bach.chay thay aur woh hamesha apni biwi ko 12 bach.chouN ki amma kah kar bolaatay. woh aisaa har aaye gaye k saamnay kahtay hatta k biwi oskay iss behaviour say tang aagayee. aik family G2G maiN onhouN jab aik martabah phir maiN nay kahaa sunti ho 12 bach.chouN ki amma kah kar pokaraa to biwi nay door say jawaab dia .... 10 bach.chouN k abba zara churi talay dam bhi lo, abhi aati houN .... woh din hai aur aaj ka din oss marday nadaaN nay kabhi apni biwi ko naheeN cheRa.
  • issi tarah aik sahab nay ghar waapsi par darwazaah knock kia... biwi nay poocha kaun... to woh sahab awaaz badal kar apnaa naam lay kar kahnay lagay k ... sahab ghar par haiN.... biwi nay awaaz pahchaan kar 'jawaabi kaarwayee Daali' ... nahi woh iss waqt ghar par nahi haiN.... aap bay fikar hokar andar aajayaiN

E21.gif
Bore Na Kar
:D :d

wah wah kya kehne janab smile.gif

main to filhaal omeedwar k taur pe hi shirkat karon ga :p

aap kuch mashwara dein k kya khobiyan honi chahiye matwaqqo wife mein :p
Abu Adnan
QUOTE(Bore Na Kar @ Oct 20 2007, 01:43 PM) *
:D :d

wah wah kya kehne janab smile.gif

main to filhaal omeedwar k taur pe hi shirkat karon ga :p

aap kuch mashwara dein k kya khobiyan honi chahiye matwaqqo wife mein :p


yeh to aap nay ... omeed.waar nay ... batlaanaa hai k ossay kinn khoobiyouN wali / wala darkaar hai aur kiyouN thumbup.gif
* SOZ *
QUOTE(Abu Adnan @ Oct 20 2007, 07:21 AM) *
uljhan: meray miyaaN meray har kaam maiN keeRay nikaaltay haiN. bataiyyeh maiN kia karouN. 1-think.gif
suljhan: aaj aap onkay khaanay ki plaiT maiN chand chaltay phirtay keRay )insects) Daal daiN. jab woh poochaiN k yeh kia hai to kah daiN. aap ko to meray har kaam maiN keeray nikaalnay ki aadat hai. yahaaN bhi plate say keeRay nikaal kar khaanaa tanawal farmaa laiN.
krakrani.gif


Acha silsila shuru kiya hai AA Bhai...Yeh masla bohot dekhnay ko milta hai k shohar hazraat biwi ki har cheez mein keeRa nikaltay hain... Aap ki batayi huee suljhan to E9.gif
Abb zara seedha seedha hul batayein na iss maslay ka...
* SOZ *
QUOTE(Abu Adnan @ Oct 20 2007, 07:30 AM) *
biwi say (sirf apni) mazaaq kartay howay yaa osper tanz kartay howay mohtaat rahaiN warnah ..... E21.gif
  • aik sahab k barah bach.chay thay aur woh hamesha apni biwi ko 12 bach.chouN ki amma kah kar bolaatay. woh aisaa har aaye gaye k saamnay kahtay hatta k biwi oskay iss behaviour say tang aagayee. aik family G2G maiN onhouN jab aik martabah phir maiN nay kahaa sunti ho 12 bach.chouN ki amma kah kar pokaraa to biwi nay door say jawaab dia .... 10 bach.chouN k abba zara churi talay dam bhi lo, abhi aati houN .... woh din hai aur aaj ka din oss marday nadaaN nay kabhi apni biwi ko naheeN cheRa.
  • issi tarah aik sahab nay ghar waapsi par darwazaah knock kia... biwi nay poocha kaun... to woh sahab awaaz badal kar apnaa naam lay kar kahnay lagay k ... sahab ghar par haiN.... biwi nay awaaz pahchaan kar 'jawaabi kaarwayee Daali' ... nahi woh iss waqt ghar par nahi haiN.... aap bay fikar hokar andar aajayaiN
E21.gif



Dekha na,biwiyon sayy panga ulta paR jata hai... E9.gif
* SOZ *
ULJHAN# 1: Mard hazraat aur T.V breakface1.gif, Har ghar mein yeh uljhan bhi rehti hai k Shohar sahab kaam sayy wapis aa kar T.V k saath chipak jatay hain...Biwi bechaari baat karnay ko taras jaati hai.... Weisay AA Bhai, aaj k daur mein agar T.V,Radio Aur computer jeisay Ejadaat na hoti to kahan jatay shohar hazraat ??? Yaqeenan ghar ko waqt na deitay 0-17_wink.gif

Suljhan darkaar hai 1-announce1.gif
Bore Na Kar
ULJHAN# 2: Khawateen aur T.V breakface1.gif, Har ghar mein yeh uljhan rehti hai k Shohar sahab kaam sayy wapis aatay hyn to biwiyaan T.V (Star Plus, Sony, Zee) k saath chipak jatay hain...Shohar bechaara baat karnay ko taras jaata hai.... Weisay AA Bhai, aaj k daur mein agar indian channels na hotay to kahan jaati biwiyan ??? Yaqeenan ghar ko waqt na deiti?? SHohar bechaaray ko to ab khana bhi dramas k khatam honay k baad hi milta hy :p
Abu Adnan
QUOTE(* SOZ * @ Oct 20 2007, 08:21 PM) *
Acha silsila shuru kiya hai AA Bhai...Yeh masla bohot dekhnay ko milta hai k shohar hazraat biwi ki har cheez mein keeRa nikaltay hain... Aap ki batayi huee suljhan to E9.gif
Abb zara seedha seedha hul batayein na iss maslay ka...


asal masla yeh hai k larkiyaaN, biwi jaisee aham tareen job / post beghair kissi (motalleqah) qualification / training k hasil karleti haiN aur post par baraajmaan honay k baad issay apna 'haq' samajhtay howay beghair sochay samjhay kaam start kardeti haiN... lehazaa iss samait bahoot say masaail ka saamna karna paRta hai.

har job ki tarah iss jaob ki bhi pre-posting koi nah koi qualification / training honi chahiyeh jo filwaqt hamaray haaN available naheeN. lehaza on-the-job intern.ship / training / house job (like doctors do) k liyeh har biwi ko 'tayyar' rahna chahiyeh.

working ladies yeh baat bah khoobi jaanti haiN k woh drs. / engnrs. jaisee aalaa degree ki hamil houN yaa normal graduates / undergraduates .... jab apnay 'job' ka aghaaz karti haiN to onhaiN kam az kam 2 saal tak trainee / house job ki hasiyat say kaam karna paRta hai. iss dauraan onhaiN kaam to saaray karnay paRtay haiN... lekin onhaiN 'regular employee' ki tarah k 'rights' haasil nahee hotay........ inn 2 barsouN k dauraan yeh new environment maiN:
  1. kaam kartay howay kaam seekhti haiN
  2. new working environment maiN boses / sub-ordinates / collegues gharz sab hi say onkay liyeh qaabilay qabool working relationship qaaim karti haiN
  3. training /internship / house job ki kaamyaabi k baad hi woh iss qaabil hoti haiN k aik permanent /regular employee ki hasiyat say apni marzi k motabiq apna job karaiN
  4. regular honay k baad bhi woh apnay boses ka har hukm maanti haiN... apnay collegues k kaam maiN interfere nahee karti aur apnay sub-ordinates say kaam letay howay bhi 'ehteyaat' say kaam leti haiN.

mera khayaal hai k agar har new biwi kam az kam 2 saal tak apni 'marzi' ko bhool kar new ghar maiN new logouN, new environment aur new jobs say khud ko hum.ahang karnay ki sha'oori koshish karaiN aur apnay liyeh aik friendly mahaul bananay k saath saath 'job' par apni giraft mazboot karlaiN to phir ayandah onhaiN aisee koi mushkil pesh nah aaye..... last but not least k husband ko bahar.haal captaon-of-the-ship tasleem karaiN. insha Allah koi maslah nahi hoga aur agar hoga to zeyadah dair qaaim nahi rahega.

Masla above maslah ka hull yeh hai k aap ‘shah say zeyadah shah k wafaadaar bannay ki koshish’ nah karaiN. Sahib jo baat jiss tarah pasand karaiN, ossi tarah onhaiN pesh karaiN. Khaah woh ghalat hi kiyouN nah ho. Aap 20-30 baras ki ghalat practice ko 20-30 dinouN main durust nahi karsakteeN. Albattah moqah mahal aur onki raza mandi say onki pasand naa.pasand main tarmeem o ezafah karsakti haiN.


PS:Rele of this game maiN yeh baat wazah taur par darj hai k sawaal /maslah etc har member pesh bhi karsakta hai. aur posted masla ka jawaab bhi day sakta hai. balkay aik say zeyadah log bhi jawaab day saktay haiN. maiN bhi waqtan fawaqtan jawaabat deta rahounga, agar waqt aur moqa milta rahaa to.
Abu Adnan
QUOTE(* SOZ * @ Oct 20 2007, 08:22 PM) *
Dekha na,biwiyon sayy panga ulta paR jata hai... E9.gif


bay.shak E21.gif
Abu Adnan
QUOTE(* SOZ * @ Oct 20 2007, 08:27 PM) *
ULJHAN# 1: Mard hazraat aur T.V breakface1.gif, Har ghar mein yeh uljhan bhi rehti hai k Shohar sahab kaam sayy wapis aa kar T.V k saath chipak jatay hain...Biwi bechaari baat karnay ko taras jaati hai.... Weisay AA Bhai, aaj k daur mein agar T.V,Radio Aur computer jeisay Ejadaat na hoti to kahan jatay shohar hazraat ??? Yaqeenan ghar ko waqt na deitay 0-17_wink.gif

Suljhan darkaar hai 1-announce1.gif



mard basically har chamakti howi cheez k peechay bhaagta hai E21.gif

agar biwiyaaN shauharouN ki iss nafseyaat ko samajh laiN aur khud ko tv say zeyadah pur.kashish andaaz maiN shauhar ko welcome karaiN to koi wajah naheeN k shauhar tv ki bajaye biwi ki taraf nah lapkay. nana.gif

waisay laRkouN / mardouN ki yeh nafseyaat larkiyaaN / khawateen bah khoobi jaanti haiN. yehi wajah hai k laRkay /mard hazraat laRkiyouN / aurtouN k gird bhaN.ray ki tarah manDlaatay haiN....... pata naheeN biwi bantay hi onhaiN kia hojata hai k woh apnay shauhar ki iss nafseyati kamzori say faidah oThana kiyouN bhool jati haiN.
breakface1.gif
Abu Adnan
QUOTE(Bore Na Kar @ Oct 21 2007, 01:46 AM) *
ULJHAN# 2: Khawateen aur T.V breakface1.gif, Har ghar mein yeh uljhan rehti hai k Shohar sahab kaam sayy wapis aatay hyn to biwiyaan T.V (Star Plus, Sony, Zee) k saath chipak jatay hain...Shohar bechaara baat karnay ko taras jaata hai.... Weisay AA Bhai, aaj k daur mein agar indian channels na hotay to kahan jaati biwiyan ??? Yaqeenan ghar ko waqt na deiti?? SHohar bechaaray ko to ab khana bhi dramas k khatam honay k baad hi milta hy :p


i donno k uljhan no1 aur uljhan no2 ka talluq har ghar say hai yaa aik hi ghar say poster_oops.gif lekin inn dounouN uljhanouN ki suljhan aik hi hai.

shauhar din bhar ka thaka haaraa jab ghar wapis aataa hai to woh tafreeh aur entertainment ka khahaaN hota hai. aisay main jab ossay din bhar k kaam kaaj say thakee hari, sar jhaaR mouNh phaaR biwi, kaam waali maasi ki tarah nazar aaye to woh oski taraf ochakti howi nazar daal kar tv / akhbaar /magazine etc maiN 'attraction' dhoonDnay lagta hai.

doosri taraf biwi din bhar k kaam kaaj say iss had tak niDhaal hojaati hai k ossay apnay aap ka khayaal hi nahi rahta. aur jab ghar aanay walaa shauhar ossay waqt nahi deta to woh..... apni thakan / mahroomi ko tv dramouN ki heroin ki jgaha lay kar door karnay ki koshish karti hai.

mera DAWA hai k agar biwiyaaN time-management par amal kartay howay shauhar ki amad say qabal tak:
  1. ghar k routine kaam ko nimaTa lay.. aur shauhar ki amad par woh ossay kaam maiN busy nah milay.
  2. shauhar ki amad say qabal fresh up hokar thoRa bahoot saj sanwar lay... kam az kam iss had tak jo woh shopping etc par jatay waqt karti hai.
  3. shauhar ka garamjoshi say istaqbaal karay, ossay fresh up honay maiN help karay.
  4. shauhar ko 'evening plan of the day' say agaah karay aaj hum sab milkar ghar maiN sham ki chaii peetay howay gup shup karengay, bahar jaakar halki phuli walk / driving say lutf andoz houNgay, shaam kissi k ghar milnay jayengay, aaj ka khasoosi dinner ghar maiN khayengay yaa bahra dinner karengay.... theater /cinema dekhnay chalengay etc etc
  5. agar biwi.yaaN har shaam /raat ki peshgi planning karkay shauhar /bachouN k saath khush.gawaar lamhaat bitaanay ka ehtemaam karay.
  6. above planning /execution maiN biwi hi ko 'lead karni paregi. jiss maiN shauhar khushi khushi help bhi karega aur participate bhi.

to koi wajah naheeN k shauhar /biwi ko uljhan no1 ya uljhan no2 say waastah paRay. thumbup.gif wazah rahay k above evening-activity bil.amoom har boy-friend aur girl-friend kia kartay haiN E21.gif ..... biwiyouN aur shauharouN ko onki naqal zaroor karni chhaiyeh.
krakrani.gif
Airy_Princess
Nice Topic smile.gif
Aik Behtareen shohar paany k lye zaroori hai aik behtareen biwi hona smile.gif jesy app khudh ho app ko same exact wesa life partner ALLAH g dety hain.Nature bilkul aik jesi hoti hai han kuch aadaton main mahool ki wajah se parwarish ki wajah se ferq zaroor hota hai.Par insaan woh 2no aik jesy hoty hain.Husband and Wife iss duniya ka sab se pyara sab se anmol rishta woh rishta jiss main ALLAH ki marzi shaamil hoti hai ju humary lye sab kuch hota hai aur sab kuch hona bhi chahye par kabhie kabhie hum yeh samajh hi nahi patay aur buht si anaien aur dhoukay iss rishty ki khoobsurti ko kharab kar dety hain aur tab bachty hain dou tooty huye insaan aur unn k guzrey kal k natejay unn k bachy ju ager unn dono ka pyar na millien tou khatm ho jaty hain.Insaan ki zindagi main kabhie hum sab ko buht behtrien life partners mill jaty hain kabhie hum main se kisi ko dhouka milta hai kuch k saathi ALLAH ki raza se iss dunia se hi rukhsat ho jaty hain par pyar na kabhie mara hai aur na kabhie maray ga najany kon log kehty hain k shaadi k baad pyar ka wajood mumkin nahi...Nahi main aesa nahi manti Shaadi k baad apka,apki parwarish ka app k pyar ka emtyhaan hota hai.
Aik Behtareen Shohar honay k lye zaroori hai k woh apni wife apni life partner ko aik aurat samjhy apni zindagi ka khaas hissa manay uski kadr kary ju sab apnooo ko chor kar ghairon ko apna banati hai,Ju uss k bachon ki maa banti hai ju usko woh ehsaas-e-fakhar deti hai ju chah kar bhi koi aur nahi de sakta ya sakti.APny life partner n uss k pyar ki kadr karni chaheye,Aur jab kadr hogi tab har cheez ka ehsaas hoga,uss mard ko ghalt sahi karny main bhi ferq zahir hoga,zaroori nahi k har waqt biwi samjhota kary,zaroori nahi k har waqt app apny parents ki mano aur ager aurat sahi hai tou uss par ilzam tarashi karna ya ghalt ilzam lagany ya k usska saath na dena kisi ki narazgi ki wajah se yeh sahi nahi hai.Aik aurat ka bhi kuch haq hota hai ju aik mard ko dena chaheye aur islam bhi iss se manah nahi karta hai jab koi sahi ho tou kabhie usko ghalt na kaha jaye.aur aik achy sohar ko hansmukh hona chaheye aik aesa insaan ju har aik se muskuraa kar baat karta ho aur issi tarhan ager wohi apni wife se muskura kar karyga tou 2no ka rishta mazeed khoobsurat hoga.iss rishty ko mazboot se mazboot tar banany k lye ye zaroori hai k app aik dousary par aetabar karo kyunki trust k bina har rishta khoukhla hota hai jismain yakeen aur freedom of speach hoga freedom of sharing thoughts hoga woh rishta utna hi kamyaab hoga again kahongi k sahi ko ghalt kehna koi naiki nahi hai.baat ko clear karna aik aur baat ju buht zaroori hai iss rishty ki mazbooti k lye woh hai baaton ko clear karna aik dousary sey dunia ju bhi kahay apko itna zaroor rasta dena chaheye apny pyaar ko apny life partner ko k app baat ko clear kar k koi faisla lou.Husband n wife ka relation buht pyara hai aik aesa relation jis main app apny hubby g ki khushiyun ko chahy woh aik choti si key chain leny ki hi khushi kyun na ho usko dil se mehsoos karty ho ager app pyar karty ho apny life partner se aur karna parta hai iss khoobsurat rishty ko kameyab banany k lye.I think Nikkah has the power k woh rishty ko mazboot se mazboot tar kar deta hai.
Rasool Salal-la-ho-aly-hy-wa-aly-hi-wasalam ki aik hadees yaahan nakal karna chahongi unnki zindagi se ju unho Azwaaj-e-mohtaharra'at R.S k saath guzari Prophet Salal-la-ho-aly-hy-wa-aly-hi-wasalam Said "Waqt ki taqseem mery haath main hai,Par ALLAH yeh tujh par hai k tou kiss k dil main kiss ka kitna pyar dalta hai" yeh hadees buht hi behtareen n fav hai meri k kisi ka pyar dil main humary sirf o sirf ALLAH g hi dalty hain aur jab 2 loag NIKKAH jesi taqatwar aur khoobsurat aqedy main aaty hain tou I dont knw y k kyun woh torr dety hain yeh rishta bhi khair woh baad ki batien hain back to the topic

Aik achi biwi k lye yeh zaroori hai k uss k chehry parb hi muskurahat hou aur woh apny sohar ko samjhy aur shohar usko aik dousary ki values ka khayal rakhien pyar main darr nahi hota hai pyar mian respect hoti hai trust hota hai ager ye ho tou rishta mazboot se mazboot n behtareen hoga.Aik wife ko chaheye k husband ki family ko apni family samjhy aur jab hubby g ghar aaien tou unko khaana de unki sunay n apni sunaye.Yeh woh rishta hai k ager koi samjhy tou isko koi nahi torr sakta ager koi nibhana chahy tou aur ye nazuk rishta nibhta hi tab hai jab 2 logon k pass maaf karny wala bara dil ho kyunki har larayi k baad pyar aur gehra hota hai aik dousary ki zaroorat mazeed mehsoos hoti hai.Jitni koi iss rishty ki kadr karyga utna hi kameyab hoga par yaad rakheye apni self respect kabhi na khatm kejeye Ego matt rakhien par khudh ko giraien bhi matt kyunki yeh rishta itna nazuk bhi nahi hai

I wish k ALLAH g sab ko iss rishty ko behtareen tareky se nibhany ki himmat dien aur aik dousary k lye unn k dil main pyar dalien aur kabhie aaise bandhan na tootien kyunki jab aaise bandhan tooty hain tou yeh dunia ka woh jaaiz kaam hota hai ju ALLAH g ko bhi nahi pasand ameen

Airy rose.gif princess

Abu Adnan
Airy_Princess rose.gif

bahoot kaar.amad aur tafseel say likha hai aap nay. mashaallah.gif

kash k 'sab' k 0-heartbeat.gif maiN otar jaye 'aap' ki baat

thanx a lot n
jzk.gif
Airy_Princess
Shukria sir smile.gif yeh kaash humari hum sabki life main hamesha rehta hai smile.gif
meri duaein abb bhi wohi hain ju main ne upar dien smile.gif
Kashif
AOA

Topic to acha hay janab.........start ALLAH AUR RASOOL (SAW) ki baaton say kiya aur phir halki phulki baatein bhi share kar dein takay ziada bojhal na banay topic gig.gif

abhi humari to shadi nahin huwee .......iss liyay zaati tajarbay ki bunyad par to roshni nahin daal sakon ga iss mamlay par..... E21.gif .....haan kuch baatein share karnay ki koshish karta hoon

I balieve that mian biwi kay darmiyan understanding ho to woh ALLAH ka inam hoti hay ....iss sorat mein hamesha Allah ka shukar guzaar rehna chahiyay......khair shukar guzaar to hamesha rehna chahiyay kiyonke insan kay sathi ka intikhab aasmanon par hota hay aur yaqeenan koi na koi hikmat hoti hogi us faislay mein.....yahan nahin to aglay jahan mein us ka ajar mil jayay ga banday ko

now light things hurra.gif
kehtay hain kay aik banda adalat mein kharra tha aur judge nay us say poocha kay tumhari biwi nay ilzaam lagaya hay kay tum nay us par be-ja pabandiyan laga rakhi hain....us kay akhrajaat ko apnay control mein rakha huwa hay, us ko apnay samnay bolnay nahin detay ...?? kiya yeh sahi hay??
aadmi bechara hakla kar kehnay laga....woh ...janab...
judge nay kaha bus......!!
mujhay yeh batao kay yeh sab tum kaisay kar laitay hoo dunno.gif sc.gif
Abu Adnan
QUOTE(M Kashif Nisar @ Oct 25 2007, 10:55 AM) *
AOA

Topic to acha hay janab.........start ALLAH AUR RASOOL (SAW) ki baaton say kiya aur phir halki phulki baatein bhi share kar dein takay ziada bojhal na banay topic gig.gif

abhi humari to shadi nahin huwee .......iss liyay zaati tajarbay ki bunyad par to roshni nahin daal sakon ga iss mamlay par..... E21.gif .....haan kuch baatein share karnay ki koshish karta hoon

I balieve that mian biwi kay darmiyan understanding ho to woh ALLAH ka inam hoti hay ....iss sorat mein hamesha Allah ka shukar guzaar rehna chahiyay......khair shukar guzaar to hamesha rehna chahiyay kiyonke[b] insan kay sathi ka intikhab aasmanon par hota
hay aur yaqeenan koi na koi hikmat hoti hogi us faislay mein.....yahan nahin to aglay jahan mein us ka ajar mil jayay ga banday ko

now light things hurra.gif
kehtay hain kay aik banda adalat mein kharra tha aur judge nay us say poocha kay tumhari biwi nay ilzaam lagaya hay kay tum nay us par be-ja pabandiyan laga rakhi hain....us kay akhrajaat ko apnay control mein rakha huwa hay, us ko apnay samnay bolnay nahin detay ...?? kiya yeh sahi hay??
aadmi bechara hakla kar kehnay laga....woh ...janab...
judge nay kaha bus......!!
mujhay yeh batao kay yeh sab tum kaisay kar laitay hoo dunno.gif sc.gif [/b]



E9.gif E9.gif

joke to bahoot aalaa hai ... aur aap ki deger bataiN bhi durust haiN magar red-lighted E21.gif line per ikhtelafay roy kartay howay peshgi maazrat khaah houN.... agar ioss baat ka andesha ho k maazrat baad maiN karni paR sakti hai to peshgi karlena hi behtar hai.... 1-jokes.gif 1-jokes.gif

agar yeh kaha jaye k 'hamaray tamaam faislay aasmaanouN par hotay haiN' to shayad kissi had tak baat durust aur logically hosakti hai k Allah k izn k beghair dunyaa maiN kuch nahi hosakta........ lekin iss fikree chatri k tallay agar yeh kaha jaye k insan kay sathi ka intikhab aasmanon par hota to iss say yeh tassur mil sakta hai k shayad baqi 'ikhteyaar' to insaan k haath maiN hai magar life-partener k intikhaab ka faislah oskay haath maiN naheeN...

asal maiN insaan nah to kulli taur par 'baa.ikhteyaar' hai nah kulli taur par 'majboor' ... insaan inn dounouN k bain-bain hai. kabhi mukhtaar to kabhi majboor.... yehi wajah hai k insaan 'apni koshish' say dunya ki har cheez hasil karta hai aur koshish ka hukm bhi hai ... agar aisa nah hota to koi koshish hi nahi kartaa ... haaN yeh durust hai k kabhi kabhi bin koshish k bhi miljata hai aur kabhi kabhi koshish k bawajood bhi nahi milta.... phir bhi 'koshish' kartay rahnaa hi islamic teacing hai.

shadi k maamlay ko bhi mahaz 'aasmani' faislah maan kar 'wait-n-see' ki bajaye har fard (male-female both) ko apnay liyeh behtar say behtar life partener k liyeh koshish karna chahiyeh. aur jo mil jaye phir oss par sabar / shukar (both) karna chhaiyeh... see below joRa....

husband: lagta hai k hum dounouN jannati haiN.
wife : woh kaisay
husband: maiN tumhaiN dekh kar sabar karta houN aur tum mujhay paa kar shukar ada karti ho ... n u no k saabir o shakir dounouN jannati haiN....
E9.gif E9.gif
Bore Na Kar
QUOTE(Abu Adnan @ Oct 21 2007, 10:14 AM) *
i donno k uljhan no1 aur uljhan no2 ka talluq har ghar say hai yaa aik hi ghar say poster_oops.gif lekin inn dounouN uljhanouN ki suljhan aik hi hai.

shauhar din bhar ka thaka haaraa jab ghar wapis aataa hai to woh tafreeh aur entertainment ka khahaaN hota hai. aisay main jab ossay din bhar k kaam kaaj say thakee hari, sar jhaaR mouNh phaaR biwi, kaam waali maasi ki tarah nazar aaye to woh oski taraf ochakti howi nazar daal kar tv / akhbaar /magazine etc maiN 'attraction' dhoonDnay lagta hai.

doosri taraf biwi din bhar k kaam kaaj say iss had tak niDhaal hojaati hai k ossay apnay aap ka khayaal hi nahi rahta. aur jab ghar aanay walaa shauhar ossay waqt nahi deta to woh..... apni thakan / mahroomi ko tv dramouN ki heroin ki jgaha lay kar door karnay ki koshish karti hai.

mera DAWA hai k agar biwiyaaN time-management par amal kartay howay shauhar ki amad say qabal tak:
  1. ghar k routine kaam ko nimaTa lay.. aur shauhar ki amad par woh ossay kaam maiN busy nah milay.
  2. shauhar ki amad say qabal fresh up hokar thoRa bahoot saj sanwar lay... kam az kam iss had tak jo woh shopping etc par jatay waqt karti hai.
  3. shauhar ka garamjoshi say istaqbaal karay, ossay fresh up honay maiN help karay.
  4. shauhar ko 'evening plan of the day' say agaah karay aaj hum sab milkar ghar maiN sham ki chaii peetay howay gup shup karengay, bahar jaakar halki phuli walk / driving say lutf andoz houNgay, shaam kissi k ghar milnay jayengay, aaj ka khasoosi dinner ghar maiN khayengay yaa bahra dinner karengay.... theater /cinema dekhnay chalengay etc etc
  5. agar biwi.yaaN har shaam /raat ki peshgi planning karkay shauhar /bachouN k saath khush.gawaar lamhaat bitaanay ka ehtemaam karay.
  6. above planning /execution maiN biwi hi ko 'lead karni paregi. jiss maiN shauhar khushi khushi help bhi karega aur participate bhi.
to koi wajah naheeN k shauhar /biwi ko uljhan no1 ya uljhan no2 say waastah paRay. thumbup.gif wazah rahay k above evening-activity bil.amoom har boy-friend aur girl-friend kia kartay haiN E21.gif ..... biwiyouN aur shauharouN ko onki naqal zaroor karni chhaiyeh.
krakrani.gif



Aap k itne achhay mashwaray dekh kr soch rha hn k aap such mein koi aisa idara bana lein "marriage consultancy" :d kaamyab rahay ga :p clapping3.gif

mashaallah.gif
Kashif
QUOTE(Abu Adnan @ Oct 25 2007, 11:28 AM) *
E9.gif E9.gif

joke to bahoot aalaa hai ... aur aap ki deger bataiN bhi durust haiN magar red-lighted E21.gif line per ikhtelafay roy kartay howay peshgi maazrat khaah houN.... agar ioss baat ka andesha ho k maazrat baad maiN karni paR sakti hai to peshgi karlena hi behtar hai.... 1-jokes.gif 1-jokes.gif

agar yeh kaha jaye k 'hamaray tamaam faislay aasmaanouN par hotay haiN' to shayad kissi had tak baat durust aur logically hosakti hai k Allah k izn k beghair dunyaa maiN kuch nahi hosakta........ lekin iss fikree chatri k tallay agar yeh kaha jaye k insan kay sathi ka intikhab aasmanon par hota to iss say yeh tassur mil sakta hai k shayad baqi 'ikhteyaar' to insaan k haath maiN hai magar life-partener k intikhaab ka faislah oskay haath maiN naheeN...

asal maiN insaan nah to kulli taur par 'baa.ikhteyaar' hai nah kulli taur par 'majboor' ... insaan inn dounouN k bain-bain hai. kabhi mukhtaar to kabhi majboor.... yehi wajah hai k insaan 'apni koshish' say dunya ki har cheez hasil karta hai aur koshish ka hukm bhi hai ... agar aisa nah hota to koi koshish hi nahi kartaa ... haaN yeh durust hai k kabhi kabhi bin koshish k bhi miljata hai aur kabhi kabhi koshish k bawajood bhi nahi milta.... phir bhi 'koshish' kartay rahnaa hi islamic teacing hai.

shadi k maamlay ko bhi mahaz 'aasmani' faislah maan kar 'wait-n-see' ki bajaye har fard (male-female both) ko apnay liyeh behtar say behtar life partener k liyeh koshish karna chahiyeh. aur jo mil jaye phir oss par sabar / shukar (both) karna chhaiyeh... see below joRa....

husband: lagta hai k hum dounouN jannati haiN.
wife : woh kaisay
husband: maiN tumhaiN dekh kar sabar karta houN aur tum mujhay paa kar shukar ada karti ho ... n u no k saabir o shakir dounouN jannati haiN....
E9.gif E9.gif

thanks for appreciating smile.gif

baat wazeh to aap nay khud kar di kay insan kulli taur par mukhtar bhi nahin hay aur majboor bhi .....I also believe that yeh fiqra "jorray aasmanon par ban-nay wala" sahi hay magar yeh insan ko aqal say kaam lainay aur soch bichar karnay say manah karnay kay liyay nahin hay.......approach yehi honi chahiyay har kaam mein kay apni si pori koshish karay insan aur phir jo nateeja niklay usay ALLAh ki marzi samajh kar qabool kar lay

albata ba'z waqt yeh hota hay kay banday ki supurdagi aur ALLAH say tauluq aisa ho jata hay kay woh apni khwahish say bay-niaz ho jata hay aur jo bhi ALLAH ki taraf say milta hay ussi par shukar karta hay ...but that's not so common

meray zehen mein bhi shukur wali baat kartay waqt yehi joke aaya tha E9.gif
Kashif
kuch aur baatein zehen mein aayee hain iss ziman mein

Yusaf bhai aap jis "frame of reference" kay sath baat kar rahay hain ..us lihaz say aap ki batein thik hain iss fiqray kay baray mein

but agar aik aur "frame of reference" say baat karein to aisa bhi ho jata hay kay aayee huwee baarat wapas chali jati hay aur baaratyun mein say aik larka dolha ban jata hay (my elders are eye witness of one incidence).......aisa bhi hota hay kay aik insan kisi ko pasanad karta hay aur wahan shadi ki koshish karta hay laiki us ka jorra kisi aur kay sath bana hota hay so wahan us ki shadi nahin ho pati.......aisa bhi hota hay kay jahan shadi hona aik banda pasand nahin karta wohi insan us kay liyay best sabit hota hay.......aisa bhi hota hay kay jis banday ko chaur diya jayay baa'd mein ehsas hota hay kay wohi sahi sathi tha.......aisi baatein jab hoti hain to phir yeh jumla yaad aata hay
Abu Adnan
QUOTE(Bore Na Kar @ Oct 25 2007, 11:56 AM) *
Aap k itne achhay mashwaray dekh kr soch rha hn k aap such mein koi aisa idara bana lein "marriage consultancy" :d kaamyab rahay ga :p clapping3.gif

mashaallah.gif


sochaiN nahi balkay kaldi say khol laiN aik aisa adarah ... fifty-fifty ki partnership pay i'm ready... icon_peace.gif
Abu Adnan
QUOTE(M Kashif Nisar @ Oct 25 2007, 12:43 PM) *
thanks for appreciating smile.gif

baat wazeh to aap nay khud kar di kay insan kulli taur par mukhtar bhi nahin hay aur majboor bhi .....I also believe that yeh fiqra "jorray aasmanon par ban-nay wala" sahi hay magar yeh insan ko aqal say kaam lainay aur soch bichar karnay say manah karnay kay liyay nahin hay.......approach yehi honi chahiyay har kaam mein kay apni si pori koshish karay insan aur phir jo nateeja niklay usay ALLAh ki marzi samajh kar qabool kar lay

albata ba'z waqt yeh hota hay kay banday ki supurdagi aur ALLAH say tauluq aisa ho jata hay kay woh apni khwahish say bay-niaz ho jata hay aur jo bhi ALLAH ki taraf say milta hay ussi par shukar karta hay ...but that's not so common

meray zehen mein bhi shukur wali baat kartay waqt yehi joke aaya tha E9.gif


hmmmmmmmmm sahi kah rahay haiN aap ... bus iss joke ko yaad rakhiyega ... aganay sonanay k liyeh E9.gif E9.gif
Abu Adnan
QUOTE(M Kashif Nisar @ Oct 25 2007, 02:42 PM) *
kuch aur baatein zehen mein aayee hain iss ziman mein

Yusaf bhai aap jis "frame of reference" kay sath baat kar rahay hain ..us lihaz say aap ki batein thik hain iss fiqray kay baray mein

but agar aik aur "frame of reference" say baat karein to aisa bhi ho jata hay kay aayee huwee baarat wapas chali jati hay aur baaratyun mein say aik larka dolha ban jata hay (my elders are eye witness of one incidence).......aisa bhi hota hay kay aik insan kisi ko pasanad karta hay aur wahan shadi ki koshish karta hay laiki us ka jorra kisi aur kay sath bana hota hay so wahan us ki shadi nahin ho pati.......aisa bhi hota hay kay jahan shadi hona aik banda pasand nahin karta wohi insan us kay liyay best sabit hota hay.......aisa bhi hota hay kay jis banday ko chaur diya jayay baa'd mein ehsas hota hay kay wohi sahi sathi tha.......aisi baatein jab hoti hain to phir yeh jumla yaad aata hay


bay shak aisee bataiN aksar o beshtar sonnay maiN aati haiN...... hazrat Ali RA say aik qaul mansoob hai k ... maiN nay iradouN k TooTnay say Allah ko pahchanaa .... yaani koi dunyawi wajah nahi thee k meri koshish poori nahi hoti, magar sirf Allah ko manzoor nah thaa, iss liyeh mera iradah poora nah howaa ... aisaa shadi k elawah bhi bahoot say maamlaat maiN hota hai....

lekin iss kay bawajood yeh mazahir 'exceptions' maiN aatay haiN. Allah ki 'sunnat' yeh hai k woh apnay banaye howay qawaneen k tehat dunyaa o maa.fee.haa k affairs chalnay detaa hai ... bus kabhi kabhi woh iskay bar.aks 'kaaRwayee daal kar' insaanouN ko batlaataa rahta hai k tum routine /fitree qawaneen k zariyeh bhi jo kuch hasil kar rahay ho woh meri hi dain hai ... agar aisa nah hota aur sab kuch sirf aur sirf tumhari koshishouN say tumhaiN mil raha hota to phir ... meri yeh exceptions wali nishaniyaaN dekh lo ... baraat aak kar bhi wapis chali jati hai yaa yaa baraat maiN dulhan ki shadi baraat laanay walay dulha ki bajaye kissi aur say hojati hai..... bay shak maiN Allah qaadiray mutlaq houN....
Kashif
QUOTE(Abu Adnan @ Oct 25 2007, 03:24 PM) *
hmmmmmmmmm sahi kah rahay haiN aap ... bus iss joke ko yaad rakhiyega ... aganay sonanay k liyeh E9.gif E9.gif

achi achi baatein karein janab
abhi to shadi bhi nahin huwee meri 1-embaressed_smile.gif
Kashif
QUOTE(Abu Adnan @ Oct 25 2007, 03:33 PM) *
bay shak aisee bataiN aksar o beshtar sonnay maiN aati haiN...... hazrat Ali RA say aik qaul mansoob hai k ... maiN nay iradouN k TooTnay say Allah ko pahchanaa .... yaani koi dunyawi wajah nahi thee k meri koshish poori nahi hoti, magar sirf Allah ko manzoor nah thaa, iss liyeh mera iradah poora nah howaa ... aisaa shadi k elawah bhi bahoot say maamlaat maiN hota hai....

lekin iss kay bawajood yeh mazahir 'exceptions' maiN aatay haiN. Allah ki 'sunnat' yeh hai k woh apnay banaye howay qawaneen k tehat dunyaa o maa.fee.haa k affairs chalnay detaa hai ... bus kabhi kabhi woh iskay bar.aks 'kaaRwayee daal kar' insaanouN ko batlaataa rahta hai k tum routine /fitree qawaneen k zariyeh bhi jo kuch hasil kar rahay ho woh meri hi dain hai ... agar aisa nah hota aur sab kuch sirf aur sirf tumhari koshishouN say tumhaiN mil raha hota to phir ... meri yeh exceptions wali nishaniyaaN dekh lo ... baraat aak kar bhi wapis chali jati hai yaa yaa baraat maiN dulhan ki shadi baraat laanay walay dulha ki bajaye kissi aur say hojati hai..... bay shak maiN Allah qaadiray mutlaq houN....

zahir hay yeh sirf shadi kay silsilay mein nahin hota .....ALLAH har jaga apni qudrat zahir karta rehta hay.......kehnay ka maqsad yehi tha kay woh shadi wala fiqra aksar bar-mehel sabit hota rehta hay
Abu Adnan
QUOTE(M Kashif Nisar @ Oct 25 2007, 03:46 PM) *
achi achi baatein karein janab
abhi to shadi bhi nahin huwee meri 1-embaressed_smile.gif


lol E9.gif
kia sabar-shukar karna achi baat naheeN. E21.gif
Abu Adnan
QUOTE(M Kashif Nisar @ Oct 25 2007, 03:48 PM) *
zahir hay yeh sirf shadi kay silsilay mein nahin hota .....ALLAH har jaga apni qudrat zahir karta rehta hay.......kehnay ka maqsad yehi tha kay woh shadi wala fiqra aksar bar-mehel sabit hota rehta hay


bajaa farmayaa.
Kashif
QUOTE(Abu Adnan @ Oct 25 2007, 03:50 PM) *
lol E9.gif
kia sabar-shukar karna achi baat naheeN. E21.gif

hehe
achi baat hay........laikin kehnay kehnay mein farq hota hay na 1-baatcheet.gif
Kashif
QUOTE(Abu Adnan @ Oct 25 2007, 03:51 PM) *
bajaa farmayaa.

shukar hay graduated.gif
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.
Invision Power Board © 2001-2008 Invision Power Services, Inc.