Sach bolna dunya ka sab se asaan kaam hai aur jhuut bolna sab se mushkil kaam.
aik jhuut ko nibhany k liay kai jhuut bolna perhty hain aur un ko yaad rakhna perhta hai phir aik na khatam hony wala silsala start ho jata hai akhir kaar insaan kahen na kahen ghalti ker jata hai aur pakra jata hai. Jhuut bool ker insaan apny aap ko imtahan main daal deta haiAur akhir kaar aitbaar kho bethta hai..
jab kah sach 100 saal K baad bhi sach hi rahta hai ap ko kuch yaad rakhny ki zarurat nahi hai.sach bool ker ap dosre ko imtahan main daal dety hain jab kah ap ka kuch nahi jata.
SACH HAI KAH
SAANCH KO ANCH NAHI