QUOTE(Daylight @ Nov 11 2007, 02:53 AM) [snapback]2573154[/snapback]
Geo waalon se kisi ko kitna hi ikhtalaf ho, ye haqeeqat hai k jab bhi kisi bhi hakumat ne kisi akhbar k khilaf sub se pehle action liya wo JANG hi tha, chahay wo mush ki hakumat mein hua ho ya nawaz sharif ki hakumat mein. Aur ye bhi haqeeqat hai k ab bhi sub se zyada nishana Jang Group hi ban raha hai, Geo news bund ho gaya ok, lekin jab ary digital aur indus vision on air ho gaye to Geo Super aur GEO entertainment ko bund rakhay rakhna intiqaami kaarvai hai, Aur ye bhi haqeeqat hai k sub se zyada achhay programs aur bay-laag tabsaray Geo par hi hotay thay, ARY aur AAJ tv on air bhi ho jaain lekin GEO na ho to GEO ki kami zrur rahay gi lekin sirf GEO aa rha ho to ary aur aaj tv ki itni kami mehsoos nahi ho gi.
ji bilkul sahi kaha Aap nay k Geo k talk shows bohat Achay hotay hain Or Ye bhi Sach hai k ARY ko Run karnay Walay Khalistan Business minded hain lehaza Wo itna Stand nahi Lay Saktay jitna Geo laita hai Or iss ki Misaal Dr Shahid hain jo ARY se Geo par Aye Agar ARY stand lainay wala hota Tu Aaj Dr shahid ARY par he Hotay.
Or Meray Khayal main tu Aaj tv Geo se bhi zida nidar Channel hai .yahan par Bolta Pakistan k naam se Nusrat javed or MushtaQ minhas jo Tprogram kartay hain Acha hota hai Or Live with Talat k TALAT Husain Bohat Achay Sahafi hain .OR talat nay tu yahan tak keh dia hai k Agar Aaj Tv nay Govt ki Sharaeet par samjhota kia tu main Ye Aaj Tv ki job chor Dun ga.
Sadar sahab Samjhtay hain k Pabandiyan Laganay se Sach Chup jaye ga jo in ki Bohat bari Bhool hai Dekhnay Walay Geo ko Net Par Dekh rahay hain Or Aaj na sahi Kal Tv Par bhi Daikhain gay..........................