QUOTE(Manoos Ajnabi @ Nov 15 2007, 07:44 PM)

hamarey haan kisi ki taqdeer badalney ka rawaaj bilkul nahin hai. Jo cheez ham khud hasil na kar sakein, doosron ko bhi hasil nahin karney detey...
Bushra Rahman ki kitab Barah-e-Raast
taqdeer (jo Allah hi banataa hai) ko "badalnay" ka ekhteyaar sirf Allah hi ko hai..... islamic teaching k motabiq sirf Do'aa
hi taqdeer ko badal sakti hai ... koi fard, apni yaa kissi aur fard ki taqdeer nahi badal saktaa..... logouN ka yeh bayaan k hum awaam / mulk ki taqdeer badal dengay, aik shirkia fiqrah hai. muslims ko iss say ehteyaat karna chahiyeh