~Saraj~
Nov 20 2007, 10:28 AM
D.L asal baat bhi yeh hi hey jo aap ne keh di hey..
12 may ke wa'qiat ne jo meida ne brah-e-rast sari dunya ko dikhaey woh MQM ko ek dehshatgard tanzim ke tor per pori dunya ke samney uryan ker ghya hey aur jab kabhi bhi azad tibunal 12 May ke wa'qiat ki tehqiqat karey ga to MQM hi her jagah nazer aaey gi.
Afsos ke mera seher jal raha tha aur waqt ka "Nero" dhol tashon ki bansri baja raha tha
MJB
Nov 20 2007, 02:55 PM
agreed with all
12th may ki karwai ki coverage,,, aur phir adalat ka somoto action,,,, aur uss pe unqareeb aney wala faisla,,,, yahi nahin,,, jitney bhi somoto actions huey,,, wo media ki ba-dolat huey,,, jo na sirif Mush balkey iskey hawarioon ke khilaf bhi they,,, issi liye emergency ka kulhara sirif media aur adliya pe gira
mubashir ansari
Nov 20 2007, 04:24 PM
Munafkat kia hai is pay main koi tabsara nahain karna chahta magar yahan chand loug aesay hain jo moqay ki talash main hotay hain k aun k hath MQM say mutaliq koi mawad hath main aay to wo yahan kay safhat ko bahr dain.is he mustafa kamal ke karachi main taraqiati kamon pay. kissi ke qalam nay harkat nahain karee.aur aus ke is baian pe jiss main aus nay tasleem kia hai k media pay pabandi achee riwayat nahain hai aus pe tanqeedi tabsaray shuru kar deay gay.magar kehtay hain k koi bhe raay daynays ya pehlay poori maloomat jama kar ke rakho GEO wo chanel hai jo MQM ki bharpoor himayat karta hai.jiss ka shaid aap ko illm nahain hai.aur aus nay MQM ko hamaisha support kia hai.aus pay pabandi hai.magar ek light walay sahab farma rahay hain ke chanel nay lashain dikhain MQM k karnamon pay to hazrat jiss chanel nay MQM pay sub sya ziyada tanqeed karee.jiss nay lashain dikhain..jiss nay tabsaray keay wo Chanel AAJ TV aaj bhe open hai.JUB K Ary aur geo nay hamaisha aun ko support kia hai.