Help - Search - Members - Calendar
Full Version: Well Played Imran
HulChul.NET > Current Affairs & Politics > Current Affairs / Kashmir Issue
~Saraj~
saima56
aap ki har post duplicate hoo rahi hai, iss sa pehla musraaf ko 2 martaba khofzarda kar dia aur imran khan bhi 2 marta acha khail gaya..
~Saraj~
QUOTE(saima56 @ Nov 22 2007, 11:12 AM) [snapback]2588013[/snapback]
aap ki har post duplicate hoo rahi hai, iss sa pehla musraaf ko 2 martaba khofzarda kar dia aur imran khan bhi 2 marta acha khail gaya..

duplicate posts ko merje kerdeyn ya delet kerdeyn.Thanks
Abu Adnan
hasbay saabiq jawaid chaudhry ka aik shaandaar tajzeyaa ... bay.laag tabseraa ... jawaid chaudhry ka har colum kissi aik point / central idea par focus kiyeh howay hota hai aur woh focussed issue ko highlight karnay k liyeh kabhi ghalat bayaani nahi kartay, tareekhi haqaaiq pesh kartay haiN... sirf aisay haqaaiq jo onkay focussed issue ko support karsakay.

PU ki tarah Karachi maiN bhi jamiat ka baras haa baras tak 'qabzah' raha hai. ghaleban 30/32 uniion elections maiN 2/3 k elewah saray elections jamiat nay bhari aksariyat ay jeetay haiN... even yeh k karachi par MQM ka qabzah honay k bawajood MQM KU par qabzah nah karsaki.... "taweel iqtedaar" k nateejay maiN yaqeenan kuch nah kuch kharaabi paida hojati hai. magar jab jamiat k 'zeray qabzah' uni /colleges maiN jab deger talabah tanzeem ka 'qabzah' hota hai to adaraya ki intezamia, teaching / nonteaching staff aur students ki bhari aksariyat ko 'jamiat ki badmaashi' hi yaad aati hai k inn say behtar to woh hi thay.... illah yeh k koi nazaryaati taur par hi anti islam o secular ho yaa kissi aur group ka active meber ho.

khair yeh bhi aik a+ve baat hai k ab jamiat k kirdaar khul kar press maiN aarahay haiN. iss tarah onhaiN bhi apnay aap ko sodharnay ki taraf tawajjah denay ka moqa milega agar woh chahaiN to ... sanu ki
~Saraj~
QUOTE(Abu Adnan @ Nov 22 2007, 11:25 AM) [snapback]2588016[/snapback]

Aap ne saheh kaha hey mughey bhi Javed Chd ke article achey lagtey heyn.
Govt ka her ohdedar aur idare per jaiz tanqed hamara haq hey kyun yeh sab idarey hamarey hi taxes ke natejey meyn chaltey heyn aur inhen hamarey samney jabdah hona chahiey...
Rehbar
Imran kay bachay Yehodi khandan main...

Aur ceta white
aur Playboy waghera waghera ka kia howa 1-think.gif

Haam bhi chaloo Mushraf kay dushman chaloo bahi haam saab se sachay aur achay aur aap kay hero
Khalish
Mustanad hai inka farmaya howa. Yeh kisi bad.kirdar aur charsi ko bhi hero bana kar paish kar sakte haiN ..

Ab daikhna yeh hai keh Imran Khan National Assembly tak pohanchtay bhi haiN ya nahi? and I have a very very serious doubt about it., he won't make it to the assembly .. hum hasb.e.riwayat isse dhaaNdli ka naam dey kar kosnay deykar aur paani pee kar so jaaeiNge.
*Angel*
mujhey to politics mein interest nahi hai to mien kya likhoon yahan hahaha;)
Abu Adnan
QUOTE(Rehbar @ Nov 22 2007, 12:36 PM) [snapback]2588061[/snapback]

meray bhai jab koi baat kia karo to zara soch samajh kar kia karo... daleel detay waqt yeh bhi dekh lia karo k aap ki daleel valid bhi hai yaa naheeN. aap ki baat aisee hi hai jaisay koi aaj yeh kahay k hazrat quad e azam to congress party maiN thay ... onka talluq agha khaani khaandaan say thaa aur woh angrezouN ki tarah ki zindagi guzaaraa kartay thay. breakface1.gif breakface1.gif

jab kissi fard ki zindagi maiN turning point aataa hai aur woh amalan apnay maazi ki activity ko turk karkay koi +ve activity ekhteyaar karta hai to aap oski current positive activity par tanqeed bhi karsaktay haiN aur iski mokhaalfat bhi karsaktay haiN lekin aisay shakhs ko oskay maazi ka taanaah nahi day saktay k yeh niree jahalaat ki nishani hai.

Imran khan ka mazi koi dhaki chupi baat naheeN. nah hi osnay apnay maazi par kabhi fakhar kia nay kabhi ozray gunaah k taur par oska jawaaz pesh kia. yahoodi family say oski shadi bhi oskay maazi kaa aik hissa hai... magar jab oss nay tareeki say nikalnay ka faislah kia to sab kuch choR dia. oskay bachchay bristish national haiN lehaza woh ossay zabardasti pakistan maiN rakh bhi nahi sakta.

baat aaj k imraan khan ki karo kal ka imraan ki naheeN... aaj agar oskay kirdaar o guftaar o amal maiN koi kharabi nazar aati hai to aaj ki baat karo... woh politics maiN kaamyaab hota hai yaa naheeN, yeh alag baat hai... dekhna yeh hai k woh seyasat kaisee kar raha hai.... woh seyasat maiN maujood gandi zehanyat, ganday logouN ko oryaaN kar raha hai. woh MQM aur mush ko nannga kar raha hai... yehi baat bahoot say logouN ko naa.gawaar lag rahi hai lehaza woh imraan k maazi ki paTari khol kar baith jaatay haiN kiyouNkay woh imraan ki maujoodah seyasat ka openly moqaablah jo nahi karsaktay.

Allah hum logouN ko seyasi baseerat ataa farmaye. aameen
Abu Adnan
QUOTE(*Angel* @ Nov 22 2007, 01:48 PM) [snapback]2588135[/snapback]
mujhey to politics mein interest nahi hai to mien kya likhoon yahan hahaha;)

aap filhaal yahaan paRhna seekho ... jab paRhna aur paRh kar samajhna aajaye tab likhnay ki bari aati hai.... hahahaha E9.gif E9.gif
*Angel*
bohot bohto shukriya aap ka batanay ka angry.gif 0-16_angry.gif 105.gif nana.gif
~Saraj~
QUOTE(Khalish @ Nov 22 2007, 01:35 PM) [snapback]2588124[/snapback]
Mustanad hai inka farmaya howa. Yeh kisi bad.kirdar aur charsi ko bhi hero bana kar paish kar sakte haiN ..

Ab daikhna yeh hai keh Imran Khan National Assembly tak pohanchtay bhi haiN ya nahi? and I have a very very serious doubt about it., he won't make it to the assembly .. hum hasb.e.riwayat isse dhaaNdli ka naam dey kar kosnay deykar aur paani pee kar so jaaeiNge.

Khalish Bhai rose.gif Hum kuch bhi expect ker saktey heyn apni syasat garon sey
lakin umeed ka daman hath se na chorna hi waqt ki zarorat hey
~Saraj~
QUOTE(*Angel* @ Nov 22 2007, 02:36 PM) [snapback]2588192[/snapback]
bohot bohto shukriya aap ka batanay ka angry.gif 0-16_angry.gif 105.gif nana.gif

A.A this is a perfect reply which I was expecting E9.gif E9.gif E9.gif
*Angel*
1-think.gif 1-movies.gif
~Saraj~
QUOTE(*Angel* @ Nov 22 2007, 02:59 PM) [snapback]2588219[/snapback]
1-think.gif 1-movies.gif

1-bachondunia.gif
*Angel*
QUOTE(~Saraj~ @ Nov 22 2007, 06:50 PM) [snapback]2588726[/snapback]
1-bachondunia.gif

nana.gif
Daylight
QUOTE(Khalish @ Nov 22 2007, 01:35 PM) [snapback]2588124[/snapback]
Mustanad hai inka farmaya howa. Yeh kisi bad.kirdar aur charsi ko bhi hero bana kar paish kar sakte haiN ..

Ab daikhna yeh hai keh Imran Khan National Assembly tak pohanchtay bhi haiN ya nahi? and I have a very very serious doubt about it., he won't make it to the assembly .. hum hasb.e.riwayat isse dhaaNdli ka naam dey kar kosnay deykar aur paani pee kar so jaaeiNge.

QUOTE
Yeh kisi bad.kirdar aur charsi ko bhi hero bana kar paish kar sakte haiN ..

Allah ka kehna hai k bagher saboot kisi k kirdaar par ungli uthana bouhat buri baat hai.

Warna agar ungli uthanay ki baari aaye to wo kon sa siyasat daan hai jo bud-kirdaar nahin ?? jis ne mulk ko nahin loota ? smile.gif

Daylight
QUOTE(Rehbar @ Nov 22 2007, 12:36 PM) [snapback]2588061[/snapback]
Imran kay bachay Yehodi khandan main...

Aur ceta white
aur Playboy waghera waghera ka kia howa 1-think.gif

Haam bhi chaloo Mushraf kay dushman chaloo bahi haam saab se sachay aur achay aur aap kay hero

Baat imran khan ki ho rahi hai uss k bachon ki nahin, warna to phir Quaid e azam k bachay kis khandan mein rahay hain ye bhi aap jaantay hon gay smile.gif

Aur imran ki ek ceeta white (bila saboot) hai to Altaf "bhai" ki england mein kitni "ceeta white" (bila saboot) hon gi iskay baaray mein b qayaas arayi ki ja sakti hai smile.gif

Ya wo playboy tha magar killerboy to nahin tha, bhatta-khor bhai to nahin tha.

Daylight
QUOTE(Abu Adnan @ Nov 22 2007, 02:00 PM) [snapback]2588151[/snapback]
meray bhai jab koi baat kia karo to zara soch samajh kar kia karo... daleel detay waqt yeh bhi dekh lia karo k aap ki daleel valid bhi hai yaa naheeN. aap ki baat aisee hi hai jaisay koi aaj yeh kahay k hazrat quad e azam to congress party maiN thay ... onka talluq agha khaani khaandaan say thaa aur woh angrezouN ki tarah ki zindagi guzaaraa kartay thay. breakface1.gif breakface1.gif

jab kissi fard ki zindagi maiN turning point aataa hai aur woh amalan apnay maazi ki activity ko turk karkay koi +ve activity ekhteyaar karta hai to aap oski current positive activity par tanqeed bhi karsaktay haiN aur iski mokhaalfat bhi karsaktay haiN lekin aisay shakhs ko oskay maazi ka taanaah nahi day saktay k yeh niree jahalaat ki nishani hai.

Imran khan ka mazi koi dhaki chupi baat naheeN. nah hi osnay apnay maazi par kabhi fakhar kia nay kabhi ozray gunaah k taur par oska jawaaz pesh kia. yahoodi family say oski shadi bhi oskay maazi kaa aik hissa hai... magar jab oss nay tareeki say nikalnay ka faislah kia to sab kuch choR dia. oskay bachchay bristish national haiN lehaza woh ossay zabardasti pakistan maiN rakh bhi nahi sakta.

baat aaj k imraan khan ki karo kal ka imraan ki naheeN... aaj agar oskay kirdaar o guftaar o amal maiN koi kharabi nazar aati hai to aaj ki baat karo... woh politics maiN kaamyaab hota hai yaa naheeN, yeh alag baat hai... dekhna yeh hai k woh seyasat kaisee kar raha hai.... woh seyasat maiN maujood gandi zehanyat, ganday logouN ko oryaaN kar raha hai. woh MQM aur mush ko nannga kar raha hai... yehi baat bahoot say logouN ko naa.gawaar lag rahi hai lehaza woh imraan k maazi ki paTari khol kar baith jaatay haiN kiyouNkay woh imraan ki maujoodah seyasat ka openly moqaablah jo nahi karsaktay.

Allah hum logouN ko seyasi baseerat ataa farmaye. aameen

QUOTE
jab kissi fard ki zindagi maiN turning point aataa hai aur woh amalan apnay maazi ki activity ko turk karkay koi +ve activity ekhteyaar karta hai to aap oski current positive activity par tanqeed bhi karsaktay haiN aur iski mokhaalfat bhi karsaktay haiN lekin aisay shakhs ko oskay maazi ka taanaah nahi day saktay k yeh niree jahalaat ki nishani hai.

Cent percent right. Aur imrank han khud kayi baar keh chuka hai k maazi mein mujse bouhat c ghalatiyan hui jinki main sadqay dil se maafi maang chuka hon,

Aur apni zaat k khilaaf ghalatiyan kis se nahin hoti, asal ye hai k unn par pachtawa bhi hota hai ya nahin. Aur uski ghalatiyan uski apni zaat k khilaaf thi magar jo loag (Musharraf + Altaf Hussain) qaum k khilaaf ghalatiyun par ghalatiyan kar k unka khoon tak bahanay mein koi kasar nahin chhortay wo hain asal naa-soor iss maashray aur mulk ka.
saima56
good column, magar siasaat mai mazeed chezain bhi hooti kya imran in sab ko cash karwa saka ga..

yeh to hoosakta hai ka imran apni seat jeat la magar overall apni support ki kiss tarah capture kara ga, kyunka uss ka pass koi candidate nahi, balka mufaadparast loog uss ki irdgird hain sindh mai dr alvi kafi ka naik naam hai magar uss ka ilawa tamam loog imran khan sa mufaad ki khatir mila hua hain..

yehi waja hai ka imran ko akaila hi aitajaaj karna nikalna parta hai aur PU mai bhi wo akaila tha uss ka saath tehreek insaaf ka karkunaan nahi tha, aur jail mai gaya too reha bhi apna hi iqdamaat ki waja sa hua, ya uss ka ghar waloon na muzahira kia ya chootha moota muzahira hoota raha, magar asal jadoojahad uss ki apni thi yani bhook hartaal aur international khaas toor per british media na uss ko bhut project kia woo bhi us ki apni waja sa..

mujhe imran ka khuloos per to shak nahi magar sawal yeh hai ka itnee jado jahad aur itne acha stokes kehlna ka baad woo apna ird gird jama hua mufadparastoon ka behkawa mai akar kahin final ball per misbah ki tarah ulti shoot khel kar sab zaya na kar da
Abu Adnan
QUOTE(Daylight @ Nov 23 2007, 04:53 AM) [snapback]2589131[/snapback]
Baat imran khan ki ho rahi hai uss k bachon ki nahin, warna to phir Quaid e azam k bachay kis khandan mein rahay hain ye bhi aap jaantay hon gay smile.gif

Aur imran ki ek ceeta white (bila saboot) hai to Altaf "bhai" ki england mein kitni "ceeta white" (bila saboot) hon gi iskay baaray mein b qayaas arayi ki ja sakti hai smile.gif

Ya wo playboy tha magar killerboy to nahin tha, bhatta-khor bhai to nahin tha.

E9.gif breakface1.gif E9.gif breakface1.gif E9.gif breakface1.gif
Abu Adnan
QUOTE(Daylight @ Nov 23 2007, 05:10 AM) [snapback]2589134[/snapback]
Cent percent right. Aur imrank han khud kayi baar keh chuka hai k maazi mein mujse bouhat c ghalatiyan hui jinki main sadqay dil se maafi maang chuka hon,

Aur apni zaat k khilaaf ghalatiyan kis se nahin hoti, asal ye hai k unn par pachtawa bhi hota hai ya nahin. Aur uski ghalatiyan uski apni zaat k khilaaf thi magar jo loag (Musharraf + Altaf Hussain) qaum k khilaaf ghalatiyun par ghalatiyan kar k unka khoon tak bahanay mein koi kasar nahin chhortay wo hain asal naa-soor iss maashray aur mulk ka.

well said
Abu Adnan
QUOTE(saima56 @ Nov 23 2007, 07:31 AM) [snapback]2589140[/snapback]
good column, magar siasaat mai mazeed chezain bhi hooti kya imran in sab ko cash karwa saka ga..

yeh to hoosakta hai ka imran apni seat jeat la magar overall apni support ki kiss tarah capture kara ga, kyunka uss ka pass koi candidate nahi, balka mufaadparast loog uss ki irdgird hain sindh mai dr alvi kafi ka naik naam hai magar uss ka ilawa tamam loog imran khan sa mufaad ki khatir mila hua hain..

yehi waja hai ka imran ko akaila hi aitajaaj karna nikalna parta hai aur PU mai bhi wo akaila tha uss ka saath tehreek insaaf ka karkunaan nahi tha, aur jail mai gaya too reha bhi apna hi iqdamaat ki waja sa hua, ya uss ka ghar waloon na muzahira kia ya chootha moota muzahira hoota raha, magar asal jadoojahad uss ki apni thi yani bhook hartaal aur international khaas toor per british media na uss ko bhut project kia woo bhi us ki apni waja sa..

mujhe imran ka khuloos per to shak nahi magar sawal yeh hai ka itnee jado jahad aur itne acha stokes kehlna ka baad woo apna ird gird jama hua mufadparastoon ka behkawa mai akar kahin final ball per misbah ki tarah ulti shoot khel kar sab zaya na kar da

achcha tajzeya hai...

imraan apnay zati skill, knowledge aur quadenah salahiyat k bal bootay par aik achchi team ko world cup maiN fatah say hum kinaar to karsakta hai ... magar shart yeh hai k ossay 'team' to mialy ... agar political field maiN bhi opposition yaa APDM yaa kam az kam JI+PML-N hi k seyasi khelaRi iski leadership. skill aur committment say istefadah karaiN to yaqeenan imran khan matloobah goal hasil karkay dekha sakta hai ... magar one man show maiN woh kia karsakta hai ... aur aik mulk geer seyasi party ki tashkeel koi bachchouN ka khel nahee jo imran palak jhapaktay maiN kar dekhaye...

halaat yehi batla rahay haiN k ppp aur jui to mush ki b-team k taur par election maiN kood rahi hai. ji, jui ka zameemah ban kar oskay saath chimtay rahna chaahti hai ... aisay maiN tanhaa noon-league ka qaaflah bhi lutay pTTay halat maiN election maiN nah kooday to kia karay ... jab 'opposition' ki yeh halat ho to IMRAN / pti ka tanha bycot ka faislah bay maani hai.... lagta hai k mush n co ki 'opposition' k Tukray Tukray karkay election maiN laanay ki policy kaamyaab nazar aati hai ... taakay baad az election ek martabah phir woh iqtedar ki bandar baaNT apni marzee say karsakay........ laanat hai opposition ki aisee "seyasee baseerat" par jissay aik fauji apni 'seyasat' say maat day day.
~Saraj~
QUOTE(Daylight @ Nov 23 2007, 04:53 AM) [snapback]2589131[/snapback]
Baat imran khan ki ho rahi hai uss k bachon ki nahin, warna to phir Quaid e azam k bachay kis khandan mein rahay hain ye bhi aap jaantay hon gay smile.gif

Aur imran ki ek ceeta white (bila saboot) hai to Altaf "bhai" ki england mein kitni "ceeta white" (bila saboot) hon gi iskay baaray mein b qayaas arayi ki ja sakti hai smile.gif

Ya wo playboy tha magar killerboy to nahin tha, bhatta-khor bhai to nahin tha.

Derasl hamara yeh almya raha hey ke hum bagher kisi sabot ke baat kertey heyn aur phir yeh bhi chahtey heyn ke meri baat ko saheh samjha jaey...

Logic aur dala'il ke sath baat kerney se baat aur baat kerney waley ki ilmi qablyet ka bhi pata chalta hey.
~Saraj~
QUOTE(Abu Adnan @ Nov 23 2007, 08:14 AM) [snapback]2589177[/snapback]
achcha tajzeya hai...

imraan apnay zati skill, knowledge aur quadenah salahiyat k bal bootay par aik achchi team ko world cup maiN fatah say hum kinaar to karsakta hai ... magar shart yeh hai k ossay 'team' to mialy ... agar political field maiN bhi opposition yaa APDM yaa kam az kam JI+PML-N hi k seyasi khelaRi iski leadership. skill aur committment say istefadah karaiN to yaqeenan imran khan matloobah goal hasil karkay dekha sakta hai ... magar one man show maiN woh kia karsakta hai ... aur aik mulk geer seyasi party ki tashkeel koi bachchouN ka khel nahee jo imran palak jhapaktay maiN kar dekhaye...

halaat yehi batla rahay haiN k ppp aur jui to mush ki b-team k taur par election maiN kood rahi hai. ji, jui ka zameemah ban kar oskay saath chimtay rahna chaahti hai ... aisay maiN tanhaa noon-league ka qaaflah bhi lutay pTTay halat maiN election maiN nah kooday to kia karay ... jab 'opposition' ki yeh halat ho to IMRAN / pti ka tanha bycot ka faislah bay maani hai.... lagta hai k mush n co ki 'opposition' k Tukray Tukray karkay election maiN laanay ki policy kaamyaab nazar aati hai ... taakay baad az election ek martabah phir woh iqtedar ki bandar baaNT apni marzee say karsakay........ laanat hai opposition ki aisee "seyasee baseerat" par jissay aik fauji apni 'seyasat' say maat day day.

bazahir to esa hi lagta hey ke Mush ki syasat kamyab ho jaey gi mager mera khyal hey Mush ko aab noshta-dewar perh lena chahiey kyun ke Bush Govt ke liey Mush ki supprt kerna ab asan naheen raha pontey bhi kiani sey zyada der mila hey banisbat Mush ke aur kisi aur syasi rehnuma like benazir se naheen mila aur aab CW ne bhi pakistan ki membership cancel kerdi hey iss ey bhi mush ko andaza hoghya hey ke hawa ka rukh kia hey.

Mush ki Govt aai bhi to woh MQM+Q league+JUI aur PPP (benair) ke kandhon per aaey gi..aur yeh sab apne apney sobon meyn Govt banyen gey aur fedral meyn PPP ko rakheyn gey....

Aur kuch baeed naheen Imran Khan ko nawaz sharef aur Qazi sahab(JI) seat adjustments ke sath election meyn hisa ley gi aur mughey yaqen hey ke aab awami support Imran khan aur nawaz shref ke sath hey

Tamam Civil socities,wukla,media Mush ke against heyn aur ager JI ya jamiyet Imran ke sath hogai to in sab mush mukhalif anasir ko channelize kerney meyn kamyab ho sakti hey kyun ke yeh ek khuli haqeqat hey ke JI (jamyet) ek well disciplined aur orgnized werkers ki jamat hey.
~Saraj~
QUOTE(Daylight @ Nov 23 2007, 05:10 AM) [snapback]2589134[/snapback]
Cent percent right. Aur imrank han khud kayi baar keh chuka hai k maazi mein mujse bouhat c ghalatiyan hui jinki main sadqay dil se maafi maang chuka hon,

Aur apni zaat k khilaaf ghalatiyan kis se nahin hoti, asal ye hai k unn par pachtawa bhi hota hai ya nahin. Aur uski ghalatiyan uski apni zaat k khilaaf thi magar jo loag (Musharraf + Altaf Hussain) qaum k khilaaf ghalatiyun par ghalatiyan kar k unka khoon tak bahanay mein koi kasar nahin chhortay wo hain asal naa-soor iss maashray aur mulk ka.

Agreed thumbup.gif
~Saraj~
QUOTE(Daylight @ Nov 23 2007, 04:47 AM) [snapback]2589130[/snapback]
Allah ka kehna hai k bagher saboot kisi k kirdaar par ungli uthana bouhat buri baat hai.

Warna agar ungli uthanay ki baari aaye to wo kon sa siyasat daan hai jo bud-kirdaar nahin ?? jis ne mulk ko nahin loota ? smile.gif

true....
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.
Invision Power Board © 2001-2008 Invision Power Services, Inc.