QUOTE(***Pe@rl*** @ Nov 23 2007, 02:22 PM) [snapback]2589582[/snapback]
Salam alikum
ik sawal aksar zehn mai rahta hai koe explain kar sakta hai..jub hum routiya banaty hain tu kis atty ke bahtar banti hain.. means sirf ata baghair chnna howa, chnna howa atta ya phir atta + maida..
w/salam
rouTy ... kaii qism ki hoti hai ... aik ko naan kahtay haiN jo amooman tandoor maiN pakayee jaati hai aur kafi moTy hoti hai ... doosray ko chapati kahtay haiN jo amooman ulTay taway /kaRha.yee par banti hai aur bahoot patli /narm hoti hai ... issi tarah baaz log rotiyaaN seedhay taway par banatay haiN... issay laazman belan ki madad say yaksaan moTayee aur bilkul gol gol bail kar pakayee jati hai.
naan waali roTy aik maratabh tandoor ki wall par chipka dee jati hai jo aag k sholay ki tapish say pakti hai ... ultay tawaay / kaRhayee waaali roTy bilkul bareek bail kar intehayee taiz aanch par garm shudah taway par jaldi jaldi 2 maratabha palaT kar banayee jaati hai.... jabkay teesri qism ki roTy darmayanay aaNch par taway par 3 baar paLty jaati hai. aik maratabah, aik side par halki paka / saiNk kar palaT dee jati hai ... doosri taraf bhi halaki saiNktay hi phir pahli wali side ko dovarah saiNkaa jata hai. iss maratabah kissi kapRay say roTy ko halka halka press bhi kia jata hai har taraf yaksaaN pressure say roTy ko taway par ghomatay howay.... iss amal say roTy Phool jati hai aur roTy k 2 wazah parat ... aik patli aur aik moTy ban jati hai.
teenouN tareeqah ki roTy k liyeh aaTay alag alag tareeqay say goonday jatay haiN... aap kissi qism ki roTy ki baat kar rahi haiN.