ISB ki GTG kii baat chaal rahee thee zamanay main
Lag raha thha ho gii ab to yeh kissi fasanay main
Lahore walay bhi aain gay, yahan karo wahan karo
Chaal raha thha sab kuch magar kehnay kehlanay main
HC management nay iss ka zima SARAJ kay sar daal diia
Unhon nay minat samajat kar kay BARSAT ko sath milla liia
Har banda keh raha thha SARAJ kaisay karay ga issay
Wo to aadha din laga daita hay sirf aur sirf nahanay main
Per SARAJ nay bhi thaan liia thha kar kay choroon ga
HC management kii umeedon ko nahin toroon ga
Aur logon ka munh bhi band karna thha yeh keh kar
Kay hathi kay dant mukhtalif hotay hain khaanay aur dikhanay main
Saari mushkilon ka unhon nay sad-e-baab kiia
Dragon hotel ka unhon nay as a venue intakhab kiia
Daawat-e-aam daay dee gaee HC per doston ko
Takay koi na hich-ka-chaey iss mehfil main aanay main
SAJJAD bhai bhi iss mehfil main aey hooay thhay
shafqat aur sanjeedgi apnay munh per sajaey hooay thhay
poori mehfil kay duran chup reh kr unhon nay sabit kiia
kuch cheezain kaam aati hain sirf aur sirf saja-nay main
SARAJ bhai bhi mobile kaan say lagaey ghoom rahay thhay
GTG kay arrange honay per khushi say jhoom rahay thhay
keh-ka-hay bikhairtay rahay, mohabat luta-tay rahay..
magar saab ko peechay choor gaey woh khaana khaanay main
AATIF bhai, shaddi kaay baad bhi tenha musafir banay hooay thhay
mohabat, muskurahat aur sharafat kay moti chehray per jannay hooay thhay
main nay cheekh cheekh kar kaha bhaia ham behray hain
kuch na rok saka un ko un ki naazmain sunanay main
BARSAT siso bhi apni mojoodgee ki soghat laee hoee theen
izat aur mohabat kay jazbat chehray per sajaey hoee theen
BARSAT say BARSATI hoeen, cups kay handle na thhay
unhon nay bhi koi kasar na chori mehfil main ronaq laanay main
UC bhi wahan pohnch gaeen apni baton ka palanda laay kr
sab ko tang kiaa uss nay hathon main shararat ka phaanda laay kr
FAHIM bhaee kii gaarhee urdu ko translate kartee rahee wo
observer kartee rahee jis nay jo bhi kiia jaanay an-jaanay main
FAHIM bhai bhi mashaAllah wahan per aey hooay thhay
Ghalib kay zamanay kii urdu bhi saath laey hooay thhay
achhank hee Feroz-ul-lughat apni zambeel say nikalee unhon nay
kay munh ki khaey jo uttray unn ko aazmanay main
AABID bhai ka mehfil main aana kamal ho giia
un saay ziada to un ka camera bay-misal ho giia
koi keemti lamha un kaay cameray say nahin bach saka
YOU ROCK, nahin rukoon ga main yeh baat jaatanay main
BRAVEHEART sab ko observe kiiay jaa rha thaaa
saab kii sun kar, muskura kay sirf apna sar hila rha thha
both bolat hay HC per, aur wahan itna gum sum kay
larkiion ko peechay chor diia uss nay sharmanay main
KASHIF NISAR bhi aaia hooa thha MULTAN say
bara nice aur shareef banda yeh laga hay, EEMAN say
apnay illakay kii saughat, SOHN halwa bhi laey hooay thhay
sab nay poora insaf kiia uss halvay ko khaanay main
DAIGO KHAN bhi wahan uss mehfil main paaia giia hay
kuch kehtay hain aiia hay kuch kehaty hain laaia giia hay
UC ka thankful hoon kay uss nay mujhy aanay per israr kiia
Phir na-janay kaab miltay itnay achhay log mehman khanay main
Shararatain, muskurahatain, khushain daay gaee hay 2 december
itnay saray achhay logon ka taruf daay gaee hay 2 december
dua hay kay saab dost khush rahain, HC sada aabad rahay
aaj ka sara din lag giia hay itnee see baat bata-nay main…