AOA
kafi din say aik baat discuss karnay ka soch raha tha
qana'at aur fazool kharchi ki terms to hum use kartay rehtay hain ....laikin agar koi banda apni zindagi par ghaur karna chahay to kaisay maloom karay ga kay in ki limits kiya hain? means kahan tak kharcha qana'at kay ander rahay ga aur kahan say fazool kharchi start ho jayay gi
pehlay apnay views batata chalon
meray khyal mein to koi had muqarar karna mushkil kaam hay .....kiyunke har banda apni income kay lihaz say kharch karta hay ...like mobile zarorat ki cheez hay ...aik banday nay 2nd hand 1000 ka lay kar bhi kaam chalaya huwa hay ...koi 5,6 hazar ka lay laita hay aur jo afford kar sakta hay woh 25,000 ya 30,000 ka bhi lay laita hay ....ab 5000 walay kay nazdeek shayd us nay fazool kharchi ki (25,000 walay nay) aur us kay khyal mein woh baqi paisay kisi aur masraf mein la sakta tha ... laikin woh banda afford kar sakta tha us nay achi cheez lay li ....ab yeh har banda khud hi decide kar sakta hay kay us ki niat kiya hay aur woh kaisay apni daulat ko use kar raha hay
dosri taraf agar aik banda sab kuch Allah ki niamatein hotay huway apnay uper kharch nahin karta aur jo sahoolyat woh aasani say hasil kar sakta hay aur phir bhi hasil nahin karta to issay qana'at kaha jayay ga ya bewaqofi? ba'z log kehtay hain kay guzara to un cheezon kay baghair bhi ho sakta hay to phir zinda rehnay kay liyay to 2 waqt ka mamoli khana aur minimum libas bhi kafi hay ..iss lihaz say socha jayay to banda dunya say hi baizaar ho jata hay
Islam miyana rawi ka dars deita hay ....what I think kay jo Allah nay diya hay.... jaiz rizq hay....to usay use bhi karay ....apni saholat kay liyay jo cheez khareed sakta hay khareeday ....aur jahan tak ho sakay mustahiq logon ki madad bhi karay ...jo kaam zarorat ki had say nikal kar sirf aur sirf dunyadari kay liyay kiya jayay ga woh albata fazool kharchi mein aa jayay ga
