saima56
Dec 12 2007, 09:30 AM
Shoby4U
Dec 12 2007, 12:52 PM
Saima G!
Election ka boycott kerne waali parties ko uss ki yeh qeemat tou chukani he parhe gee, zaahir hai agar inn kabootron ko apne darbay se daana nahin millay ga tou yeh doosroon k darboon per dastak tou dein gay he k iqtadar ki bhook inhein aisa kerne per majboor kar de gee.
Secondly!
Nawaz Sharif ko election larne ka sab se barha faeydah yehi ho ga k QL k Ch Bradraan se naraz laug inn k pass dauray chalein aayein gay aur aa bhe rahe hain, agar yeh boycott kar detay tou yeh laug kabhi bhe QL ko filhaal na chhortay.
Thirdly!
Shayad kuch bazameer aise bhe hoon jo haq ka saath dene ki khaatir boycott kerne waali parties ko join kerein lekin bazahir aisa nazar nahin aata k aap tou jaanti he hain k iss mulk mein bazameeroon ka kitna fuqdaan hai waise kehne ko tou naam issi ka Pakistan hai.
saima56
Dec 12 2007, 04:20 PM
shoby bhai dursut farmaya. magar mujhe hanif abbasi shab ka JI chorna per dukh zaroor hua hai woo 5 saal tak muskhil halat mai jamat ka saath raha, aur woo qazi shab ka ailan ka baad sab sa pehla asteefa daina wala fard tha,nawjawan tha, aur shaikh rasheed ka halka sa unn ka bhanja ka muqabla mai jeeta tha, aur he is vocal. Jamat sa un ka jana sa aik acha candidate loose hoogaya.
Daylight
Dec 12 2007, 07:27 PM
i think Jamat e islami ko b ab election larh lena chahiye warna khi mein ppp aur mqm clean sweep kr dein gi.
kamil_surfaroosh
Dec 13 2007, 05:31 PM
@ Day Light
Karachi mai to Hamaisha ki terhan InshahAllah MQM clean sweep ker hi dai gi chahay jamat e islami laray ya na laray.
Jahan tak Boycot ka sawal hai to boycot sirf in logo nai kia hai jin ko apni haar ka poora yaqeen hay jaisai imran khan jamat e islami, Mehmood achakzai.
In logo ki na to koi siayasi following hay na koi taqat lehaza boycot to kerna hi tha na kion ka ager election lertay to haaar jatay lehaza acha hai jo boycot ker dia
Daylight
Dec 14 2007, 02:39 AM
QUOTE
@ Day Light
Karachi mai to Hamaisha ki terhan InshahAllah MQM clean sweep ker hi dai gi chahay jamat e islami laray ya na laray.
Muje apki baat se ittefaq hai k mqm kuch eelaqon mein bouhat mazboot hai aur unki seats pakki hoti hain
kamil_surfaroosh
Dec 14 2007, 11:06 PM
Jee theek fermaya
80 % karachi mai MQM ki seating pakki hoti hain
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please
click here.