Abdul nomaan
ek nauzaaidah baccha
leta hai
koi utthaye to utthayga
bhooka hai
koi khilaayega to khaayega
FILHAAL doosron ke rehm o karam par
phir baitthna seekhay ga
utthna seekhayga, chalna seekhayga
Ae umr e rawaan aahista guzar
Abdul nomaan
ek zaaeef o laaghar boorha
doosron ke rehm o karam par
leta hai
koi utthayega to utthayga
koi khilaayega to khaayega
chalta tha, baitth gaya hai
baitth ta tha lait gaya hai
AB doosron ke rehm o karam par
ek nauzaaidah bacchay ki tarah
life comes a full circle!
