Abu Adnan
Dec 29 2007, 01:53 PM
Kashif
Jan 4 2008, 10:40 AM
bohat afsoosnaak sorat-e-haal thi woh
yeh column parrh kar apnay aap say sharmindagi mehsoos hoti hay kay hum iss qaum kay fard hain
waqai jo log bahar chalay jatay hain woh bilkul thik kartay hain
humaray sath dunya mein jo bhi ho woh kam hay ........hum issi qabil hain kay dunya mein zalil-o-ruswa hoon
nihayat hi jahil, zaalim aur ghatya qaum hay humari (agar issay qaum kaha ja sakta hay to....warna to yeh qaum kehlanay kay qabil bhi nahin hay)
shame on us
*DhanaK*
Jan 5 2008, 12:22 PM
QUOTE(Abu Adnan @ Dec 29 2007, 08:53 AM)

kya kahein!
VrSoLdIeRs
Jan 5 2008, 09:55 PM
12 may aur phir yeh.. mujhay samjh nahi ati keh foran law enforcement agencies ko deploy kyun nahi kiya jata...
Daylight
Jan 7 2008, 04:56 PM
Mobile maangnay par seelani ne jawab diya k "main idhar hi rehta hon" to kya un 3 din abaad kaaron ko nishana banaya gaya ?? iss jumlay ka matlab zara wazeh karein gay....
Khalish
Jan 8 2008, 11:58 AM
QUOTE(Daylight @ Jan 7 2008, 02:56 PM)

Mobile maangnay par seelani ne jawab diya k "main idhar hi rehta hon" to kya un 3 din abaad kaaron ko nishana banaya gaya ?? iss jumlay ka matlab zara wazeh karein gay....
Drawing rooms meiN, ya office meiN baith kar aise he mazmoon aur column likhay jaa sakte haiN. Aakhir ummat akhbar ko bhi tu chalaana hai.
VrSoLdIeRs
Jan 9 2008, 04:03 PM
lasaani rang nahi dena chahta discussion ko magar interior sindh main kuch aisa hi howa tha
Abu Adnan
Jan 17 2008, 03:37 PM
QUOTE(Daylight @ Jan 7 2008, 04:56 PM)

Mobile maangnay par seelani ne jawab diya k "main idhar hi rehta hon" to kya un 3 din abaad kaaron ko nishana banaya gaya ?? iss jumlay ka matlab zara wazeh karein gay....
hmmmmm
ab yeh sab kuch to rozay raushan ki tarah wazah hochuka hai k .....
1. teen din tak police, rangers aur army ko saRkouN par say dooooor rakh kar with planning federal, provincial aur city government nay deedah o daanistah looT maar ki 'ijazat' dee. ab hum kis moNh say indian gujrat k CM moodi ki mozammat karaiN jiss nay aisaa hi wahaaN muslims ki jaan o maal ko looTnay k liyeh karwaya ....
2. karachi maiN looT maar maiN bila shubah punjabi abaad.kaarouN ki factories, tejarti marakaz ko khas taur par nazray aatish kia gayaa. aur aisa karnay waalouN maiN BB k mosallah sindhi sarfaroshouN ka nomayaaN haath rahaa. tahaam baa khabar halqouN ka yeh bhi kahna hai k in looT maar maiN sindhi hindous nay PPP workers ka roop dhaar kar aisa kia.
3. taham loot maar aur aatish.zani ki waardaatouN maiN sarkari imlaak aur urdu speeking logouN ko bhi nishana banaya gaya, balanacr barabar show karnay k liyeh yaa phir 'haq.parastouN' ki hamayat nah karnay k jurm maiN.
4. andaroonay sindh looT maar maiN sarkaari imlaak + urdu speeking + punjabi speeking ki imlaak ko khasoosi nishanah banaaya gaya.
Abu Adnan
Jan 17 2008, 03:40 PM
QUOTE(Khalish @ Jan 8 2008, 11:58 AM)

Drawing rooms meiN, ya office meiN baith kar aise he mazmoon aur column likhay jaa sakte haiN. Aakhir ummat akhbar ko bhi tu chalaana hai.
ummat k point of view say ikhtelaaf apni jagah magar sailani karachi k on chund ginay chunay reporters maiN shamil hai jo karachi maiN barpa honay waali har qayamatay sughra maiN 'field' maiN phirtay phiratay aur facts n figures jama kartay rahtay haiN.
Gambler1
Jan 23 2008, 05:44 PM

Duaa-e-hazrat Ibrahim(a.s)
Daylight
Jan 25 2008, 12:18 AM
thanx for the explanation abu adnan.
Abu Adnan
Jan 25 2008, 09:15 AM
QUOTE(Daylight @ Jan 25 2008, 12:18 AM)

thanx for the explanation abu adnan.
... jabkay punjab maiN BB k qatal par ehtejaaj ki soorata haal bilkul doosri thee. 'punjabi jeyaalouN' nay ghum o ghussay ka izhaar kia, saRkouN par ehtejaaj kia, thoRa bahoot pathraa'o aur toR phoR bhi howee... lekin target karkay kissi 'group' ki imlaak ko nah looTa gaya nah aag lagayee gayee. koi factory tabaah nahi howee nah hi etni gaaRiyaaH nazar aatish howeeeN jetni sindh maiN...
'qatal-spot' par aik punjabi-jeyalaa ... rozay qatal say ab tak waheeN sog.waar baiTha hai. bol chaal say kashmiri lagta hai. family wala hai aur apnay hosh o hawaas maiN hai. woh kahta hai k meri bahan qatal hogayee haiN maiN oskay 40weeN tak yaheeN rahouNga. roz wahaaN dia jalata hai aur logouN k rakhay gayee gu;.dastay ki dekh bhaal karta hai aur raat ko qareebi foot-path par sojata hai. ghaleban express news nay yeh doccumentry dekhayee thee.
sindh-ppp aur punjab-ppp k behaviours ka faraq saaf zaahir hai. sindhi ppp walay anti punjab aur punjabi ppp walay bhutto aur BB k deewanay
CoOl LeO
Feb 5 2008, 06:16 AM
No doubt selani k is column ne sari baat khol k samnay rakh di hai.Or us din ronuma honay wale tamam waqiyat ki kafi hadd tak tasveer kashi kar di hai.
Hum sab k liye herat ka muqam hai k jab hamare mulk k leaders ki security ka yeh aalam hai to phir hum to aik aam awam hain hamari kya khak security hai.
Khas tor se Karachi k log to sirf or sirf tension mein zinda reh rahay hain.Mulk ka aik sab se bada kamaoo poot shehar hai karachi aye din k hangamo se tabah ho k nahi reh gaya??
Kya Pakistan wale sirf or sirf her waqt ki tension k liye reh gaye hain??
Kya kabhi sukoon ka sans bhi milay ga sab ko
Hadd to yeh ho gayi hai k log koi taqreeb rakhnay se pehlay dua mangtay hain k Allah us din halaat theek rahein
Sharam aati hai jab koi in haalaat pe tabsira karta hai
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please
click here.