1. I will work eight hours a day only as u (husband) do in ur office. maiN aam bay.waqoof gharelu aurtouN ki tarah 24 ghanTay kaam kiyouN karouN. yaa onn ahmaq working lady ki tarah jo 8 ghanTay office work k baad ghar maiN bhi kaam karti haiN. it's true k ghar maiN 24 ghantay kaam hota hai. lehaza aap mujh say yaa to sobah kaam lay lo i.e. 0600 hrs to 14oo hrs (fajir taa zohara prayers) ... yaa zohar taa esha prayers i.e. 1400 hrs taa 22oo hrs kaam lay lo yaa phir raat after esha prayers till fajir prayers i.e. 22oo hrs to 0600 hrs. dunyaa bhar k working laws k motabiq maiN 8 ghantay yaima say zayad kaam nahi karsati.... kar lo jo karnaa hai
2. phir mujhay har week 2 days off bhi chahiyeh sarkaar o sartaaj meray.
3. mujhay annually bhi kam az kam maheenah bahr ki chuTTi darkaar hogi. aakhir aap bhi to office say one month annual leave letay ho. jab aap annual leave lay saktay ho to maiN kiyouN naheeN. maiN bhi to aap hi ki tarah human being houN. paRhe likhee houN. maiN bhi aap ki tarah office maiN job karsakti houN. office nah sahi aap ka ghar sahi. lekin working hours to same hi houngay. aaye baaq aqal shareef maiN k naheeN.
agar tamam married / unmarried laRkiyaaN meray above motaalebay pay agree karaiN to haath oThaa kar iss baat ka elaaan karaiN.... phir hum sab mil kar shauharouN ko biwiyouN k working denay par majboor karsakti haiN...... haathouN maiN haath do, aurtouN k haqooq e auqaatay kaar ka saath do......