QUOTE(Abu Adnan @ Jan 1 2008, 06:46 AM) [snapback]2648538[/snapback]
1. first question haldi kis liye use hoti hai??? salaan main kub daalni chahiyay???
Ans: agar khanaa khanay walouN ka rung surkh ho ... yaani woh jab bhi "surKh.roo" nazar aayaiN khanay maiN haldi ki miqdaar baRhadeni chhaiyeh. takay khanay k baad chehrah laal-peela ho.jaye. laal pahlay tha, haldi k color say milkar peela bhi hojayega. u know k laal-peela honay say ghar maiN raunaq baRh jati hai.
2. kiya biryani masalay kay aik packet ki bijaye 2 packet dalnay say zayda chatpati banay gi???
Ans: masalaay ka aik packet daalaiN yaa 2 packet, biryaani kabhi bi chat.ati nahi banegi. iss k liyeh aap ko packet khol kar sirf iska masalah daalna paRega aur woh bhi hissab kitaab say.
3. nimak march ka hisaab kaisay rakhoon??? i mean kabhi aik zayd aho jati hai kabhi doosriAns: agar khaanay walay namak haraam houN to namak bilkul nah DaalaiN. namak k badlay bhi mirach dalaiN. aap ko bhi maza aayega aur khanay walay ko bhi.

jab aap khanay mey laal mirch dalay toh saath huldi bhi daal deiN. haldi ka istemaal sehat kay liye acha hay. aap kay lye itna kafee hay.
agar aapnay sirf apnay liye banani hay biryani aur subha shaam khani hay aur agalay din bhi nashta aur subha shaam khani hay toh bhi 1 packet kafee hay ...ab mujhe nahi pata aap kitna khatay heiN. 4 glass chawal agar banatay hien toh 1 packet kafee hay.
teesara sawal bara mushkil hay ..... itna bata sakti HOn i kilo murgi ka salan banaye toh 1 tea spoon namak kafee hota hay. isi tarha agar aik kiloo ghost banaye toh 1tea spoon se thora zayda dalna paray ga......
aur mirchon ki proportion bhi aaap aisay rakh saktay hien agar sirf lal mirchein istemaal karni hoN...mirch mirch mey bhi farq hota hay. waisay aap kum he mircheiN khaye aur hari mirch ka istemaal zayda kar lein
aur masala channel aur cooking programs dekh liya karay.