aik martaba main Murree gaya tha
to wahan aik shop se maine sab se khaufnaak kisim ka mask lia tha
jab karachi wapas aaya to flat ke compound main raat main kuch dost
cricket khel rahe thay
aur main wall ki side pe jakar khara hogaya boundry ke paas
ke abhi six ya four hoga to koi bowl lene aayega
itne main mujhe awaz aai hai unhon ne match khatam kardia
sab ghar janay lagay

main 15 mins se garmi main mask pehan ke intezar main tha
itne main kisi ne ghussay main bowl boundry ki taraf phaink di
aur aik dost ki aanay ki ahat mehsoos hui
woh jese hi is taraf aaya
main bhaga uski taraf HAAAAAAA karta hua
woh dekh ke dar ke bhaga
maine uski shirt pakar li
usne mujhse churwaya
aur itne main main zameen pe gir gaya
uske haath main BAT bhi tha,jo ke mujhe us waqt saaf saaf nazar aaya tha
aur usne mere back pe aik tikaaa ke mara meri shakal HUFFFFFFFFFF
unbayaanable dard koi pochay mat