aik shararat yaad aai per kafi ajeeb si thi woh
hum cousins sab nano ke ghar gaye thay chuttion pe
to shartain lagate thay ke yeh na kar sakay tum to yeh
karna parega tumhain, is hi tarha aik over main 5 six lagane ka
kaha aik cousin ne, maine kaha theek hai maine bowling ki
aur woh 3 laga saka maine kaha ab tumhain yeh karna hai
ke aik bus main charhna hai aur bag tumhare pas hoga aur tumhain
us bus main manjan bech ke dikhana hai kam se kam aik aadmi ko

phr usko aik manjan bhi khareed ke dia

ab main aur mere cousins hum sab charh gaye bus main
aur woh jaa ke khara hogaya bag leke sab ke samne,
phir jo woh shruu hua hai.
bhaiyon manjan, aapke daant saaf karay aesay jese moti
aap dhoop main nilain to log dekh ke ankhain band kar lain.
pechay se awaz lagai ITNE PEELAYaap abhi bus main saaf karke dekhain, saaf na ho to bahar phaink dain
humain dar tha kahin isko na phaink dain bahar
aur akhir kar usne aik aadmi ko bech dia manjan
woh uncle bol rahe hain, beta tum lagte kisi khatay
peetay gharanay ke ho aur kapre bhi
phir yeh sab kaam?
phir hum jaldi se utar gaye aur raat main mujhe sab ko tikkay khilana paray