QUOTE(Abu Adnan @ Jan 30 2008, 05:36 AM) [snapback]2694180[/snapback]
very sad...
issi liyeh kahtay haiN k rishtah kartay waqt ... daulat / husn/ taleem ko saanvi darjah dena chahiyeh and deen o taqwa ko awwal darjah.... lekin bil.amoom hum deen.daari par to koi querry kartay hi nahi.

naheen kartay AA bhai,naheen kartay
aaj bhi ,,aaj bhi kitni ladkiyaan hai jo ya to chup patthar ho gayi hain,zehn o dimagh sunn karkay baitth gayin hai,ya depression mein hain stress mein hain jisse aur beemaariyaan ghar kar rahi hain,boltee naheen ke ammi abbu ki izzat ka kya hoga,agar chhoti kunwari bahen hai to uska soch kar chup hain,ya neend ki goliyaan phaank rahin hain,ya chhohay maar dawa kha rahi hain,ya fifth floor ki khidki mein baitthee soch rahi hain "kood jaaun"? ( i know them)
maiakay walon se na milo,mere saath wahan jaao mere hi saath aao,ab woh tumhara ghar naheen.usay bhool jaao aur agar ladki ne zikr kar diya to yeh ke "abhi tak maike ki hi hain yahan ki thori hui hain" i mean
ajab tamasha hai honestly ajab tamasha hai.
aur bhi likha tha mita diya i guess i was getting too emotional

hai to yeh public forum hi na isliye accha naheen maloom hota