QUOTE(Daylight @ Jan 29 2008, 01:03 AM) [snapback]2692021[/snapback]
Herat ka muqaam hai, opar wali Sahi Bukhari ki ahadith ko chhor kar jin mein wazeh taur par duff ki ijazat aur Rasool(PBUH) ka music sun-na mazkoor hai, ye sahib Musnad Imam Ahmad ki hadith pesh kartay hain, iss kitab k mutallik muhaddiseen ki rai ye hai k ye imam ahmad bin hanbal se ghalat mansoob hai aur iss mein aadhi se zyada ahadith zaeef ya mauzoo hain....... iskay siha e sitta mein shamil na honay ki wajoohaat mein se sub se bari wajah yahi hai, kher hum farz kiye letay hain k ye hadith bilkul sahi hai lekin phir bhi ye unn beshumaar doosri ahadith k khilaaf hai jin mein duff ki wazeh ijazat majood hai, aur muhaddiseen ka ye asool hai k agar aisi soorat e haal ho to uss ek ko chhor k baqi kaseer tadaad waliyun ko qabool karo .CODE
aour mairay bahi quran ke ayat bhee perh lain
1. sorah anaam 6 ayat no 32
in ayat main lahvo laaab ka zikar hay , app say sawal hay kay lahv o laab say app kiya murab laiatay hain.
Mera khyal hai asim bhai yahan bhi lahv o lab ka tarjuma duff hi kartay hon gay yani ayat hai k ye duniya lahv o lab hai to ye iska tarjuma kartay hon gay k ye duniya duff hai……….. Good, extremely good show of inkar e hadith and tehreef e Quran,
Lahv o laab se muraad hai bay-sabati, iskay ilava har wo kaam jo Allah k raastay se hata de, yani agar koi shakhs har waqt computer se hi chipka rahay aur namaz waghera bhol jaye to ye computer bhi lahv o laab mein aaye ga, agar koi parhta hi rehta hai aur namaz waghera ko bhulayi rakhta hai to ye harkat bhi lahv o laab mein shaamil ho gi, halaal cheez bhi ek limit mein hi halal hoti hai, yani aitdaal mein reh kar, maslan ek Sahabi ko Hazoor(PBUH) ne har waqt qirat aur nama mein mashghool dekh kar kaha tha k tum kuch araam bhi kiya karo, tumharay jism ka bhi tum par haq hai...... lehaza aitdaal mein reh kar zindagi guzarni chaahiye aur kisi bhi cheez mein hadh se nahin barhana chaahiye, ye nahin k khelna shuru karo to khelte hi jao, ye phir lahv o laab bun jaye ga.......
CODE
Herat ka muqaam hai, opar wali Sahi Bukhari ki ahadith ko chhor kar jin mein wazeh taur par duff ki ijazat aur Rasool(PBUH) ka music sun-na mazkoor hai,
HC MEMBERS APP SUB PLZ IS QUOTATION PER KIYA KAHAIN GHAY JIS MAIN DAY LIGHT SAHIB KA KEHNA HAY
APP SAW MUSIC SUNTAY THAY INA LILLAH HAY WA INA ELAIH RAJIOON.(yeh himmat kowee pervaizee hee kar sakta hay.)
agar app mosiqi walee post say na bhagtay too app ko apnee tamam batoonka jawab bhee waheen mil jata kay naozbillah app saw music suntay thay.ya nahin.
abb kuch sawalat isi zimn main.
1. kiya app saw nay kabhi kowee baqaida music sunnay ka ehtemam kiya tha.
2. kiya woh bachiyaan kowee song gaa rahee theen.
3.kiya app saw say kabhi kisi sahabi nay music kay baray main pocha .aour app nay music ke hillat ka farman jaree kiya. jo yeh aqeedah bana liya jaa aiy.
4.kiya music kay haram honay ke wazaih ahadith nahin.to agar hain to phir music halal kaisay ho gaiya.zara yeh ayat ghaour say aour pervaiz say baighari mutasir howay perh lain .sorah ahzab 33 ayat no 36
وَمَا كَانَ لِمُؤۡمِنِِ وَلَا مُؤۡمِنَةٍ إِذَا قَضَی ٱللَّهُ وَرَسُولُهُۥۤ أَمۡرًا أَن يَكُونَ لَهُمُ ٱلۡخِيَرَةُ مِنۡ أَمۡرِهِمۡۗ وَمَن يَعۡصِ ٱللَّهَ وَرَسُولَهُۥ فَقَدۡ ضَلَّ ضَلَـٰلاََ مُّبِينََا
اور کسی مومن مرد اور مومن عورت کو حق نہیں ہے کہ جب خدا اور اس کا رسول کوئی امر مقرر کردیں تو وہ اس کام میں اپنا بھی کچھ اختیار سمجھیں۔ اور جو کوئی خدا اور اس کے رسول کی نافرمانی کرے وہ صریح گمراہ ہوگیاkiya daff wali hadith main kowee hukmay rasool saw hay nahin jabkay bukhari ke hadith main wazaeh tour per
amar rasool saw yani app saw ka hukam mojood hay.abb agar app AMARAY RASOOL SAW say nafarmanee karatay hain to phir quran ke roshnee main na farmana aiy ALLAH AOUR RASOOL SAW HAIN.
5.kiya hareer (raisham )kay mard kay liyai haram honay ke hadith mojood nahin hay.hallankay app saw nay khud raisham bhee pehna hay. yahan hum kis bat say istanbaat karain ghay,hukmay rasool saw sayya app nay jo apnee zindagee main aik dafa hareer zaib aiy tan us say. definetly hukam ko hee manain ghay.
5. kiya app saw ke naboowat ke zindagee 23 saal per moheet nahin aour is saray arsay main allah kay hukam say puranay amal tabdeel hotay rahay.aour naayai ahkamat atay rahay.aour kiay app ko yeh daff wali ahdith say pata nahin chalta kay woh kis daour kee hain.
6.