QUOTE(LEADER @ Jan 29 2008, 12:03 AM) [snapback]2692020[/snapback]
JAZAK ALLAH DAYLIGHT
Keep it up... {a +ive change :d) }
Thanx
Nopes, sorry no change friend, shaaid aaj tak aap mere mauqaf ko nahin samajh sakay sahi tarha se,
Main apna point of view Banaras (india) k ustaad Jamaye Islamia Maulana Nizam ud Din Aseeradarvi ki behtareen kitab "Tafseeri Rawayaat" se naqal karta hon (Pakistan mein Jamaye Banoria waalon ne iss kitab ko shaya kiya hai), wo tadween e hadith ki poori tareekh bayaan kar k likhtay hain," Ilmi haisiyyat se khaarji naqad e hadith (asnaad) par to kaam hota raha magar daakhli naqad e hadith (darayat) par ilmi haisiyyat se kaam ka tasalsul jaari na reh saka jis ki bina par hadith ki shanakht aur mauka mehal k taiyyun mein dushwari hui, phir dushmano aur nadaan doston ne hadith k maamlay mein wo sub kuch kiya jiskay tasavvur se rooh larazti hai.
Hadeeson se inkaar kar dena iss dushwari ka ilaaj nahin hai balkeh muqarrara asool o zawabit ki roshni mein kharay aur khottay k darmiyaan tameez kar dikhlana asal ilaaj hai. Jawahraat k dhair mein agar khazraf raizon ki amaizish ho gai ho to dhair ki azmat issi mein hai k unn ko khazraf raiza tasleem kar k nikaal phainka jaaye na k dooor azkaar taaweel k zarriye unko bhi jawahraat saabit karne ki koshish ki jaaye, iss tareekay se khazraf raizay to jawahraat mein tabdeel na ho sakain gay albatta unki wajah se jawahraat ki qadr o qeemat yakeenan kum ho jaye gi ".Itni saaf, wazeh aur achhi baat ki hai inho ne k iskay baad mujhay mazeed kuch kehne ki zaroorat nahin