QUOTE(Abu Adnan @ Jan 30 2008, 02:48 PM) [snapback]2694509[/snapback]
1. zakaat: apni salaanah bachat, zaroorat say zayad woh raqam+sona+chandi jo saal bar tak aap k paas rahay aur nisaab k equal ho (i.e. euaivalent to 7.5 tolay gold) to aap par 2.5% zakaat farz hai. zakaat ki raqam sirf muslims ko day saktay haiN. muslims maiN bhi syed /ahlay bait ko nahi day saktay aur non-muslims ko bhi nahi day saktay..... zakat ki raqam indivisual / afraad ko dee jasakti hai, general welfare k kaamouN maiN nahi.... mazeed detail quran maiN bhi hai.
zakat apni aulaad jaisay betay aur beTay k beTay, parents aur parents k parent aur biwi ko bhi nahi dee jasakti. yaani jinki zimmah daari aap par hai, onhain zakaat nahi dee jasakti.... maal.daar biwi, apnay naadaar shauhar ko zakaat day sakti hai. zakaat zaroorat mand bahn bhai aur deger qareebi azeez /relatives ko bhi dee jasakti hai balkay dena chahiyeh iska double sawab hota hai. aik relatives ki dekh bhaal kaa aur doosray zakaat denay kaa .... kissi ko, bilkhasoos azeezouN ko zakaat detay waqt yeh batlaanaa zaroori nahi k yeh zakaat ki raqam hai... onhaiN gift /eidee etc kah kar bhi zakaat di jasakti hai balkay aisaa karnay ko encourage kia gaya hai taakay onki dil shikni nah ho... albattah dil maiN zakaat ki niyyat zaroori hai... zakaat denay say pahlay zakaat denay ki niyyat zaroori hai ... as a help raqam deker baad main zakaat ki niyyat karna sahi nahi.
2. sadqah: yeh kissi baRi museebat ko taalnay ki khatir yaa Talnay par yaa maani howi minnat poori karnay k liyeh dee jati hai. sadqah maiN amooman janwer qurbaan kia jata hai. tahaam sadqah maiN raqam bhi day saktay haiN.... meray khayaal say yeh bhi muslims hi ko dee jasakti hai (i'm not confirmned)
3. khairaat aur madad sab ki ki jasakti hai. muslim aur non muslim both.... balkay agar aas paas non-muslim zaroorat mand ho to oski madad zaroor karni chahiyeh.
hmm .. acha agr aap ne koi ajeeb ya bura dream dekha hai, yaa aap kisi baray haadsay se bach jatay hain to aap sadqa ya kherraat waghera kertay hain .. mazeed kisi preshaani k anay se bachne k liay etc etc .
is soorat mai kia sirf janwar ki qurbaani ki jaati hai.... yeh sadqa hota hai ya kheraat ... aur kia yeh non-muslims ko nahi de saktay?