QUOTE(Rehbar @ Feb 11 2008, 04:59 AM) [snapback]2713825[/snapback]
es ka asan jawab ye hey key andhay se kana behtar hota hey.
mujhay tu kisi se problem nahi hay!
lekin main es baat kay khilaf hoon jesay nawaz altaf se behtar hey ya imran sach bolta hey. main nay kai dafa likha ye saab eik hi theli chatay battay hain
Main biased kis bunyad per hosakta hoon? es ki wazahat kar dain.
Main nay auroon ki tarha na tu kisi kay cartoon post kia ya punjabi aur urdu main mazah uranay wali poetry likhi aur na hi kisi ko gali.
Main jo dekhta hoon wo ye hay Aap tahmul se read karain aur soch kar answer likhain:
1. Main jo
system Pakistan main dekh raha hoon wo pehlay kabhi nahi tha. Yani offices main system pehlay se buhat behtar hay.
2. Androni khalfshar siyasat dano ka pehlaya howa hi hay.
3. Al Qaeda sirf Muslims ko nuqsan puncha rahi hay.
4. Nojawan Films ki dunya main khoye howay hain.
5. Molfi taleem denay kay bajaye siyasi jalsay aur raliyaan nikal rahay hain.
En tamam kharabiyoon main Musharraf kanah hay? ye main samjhna chata hoon
Mengai tu puri dunya mian buhat ziyada hey. Aur asal menhgai Dukandaroon nay kar rakhi hay. Elaqay kay hisab se rate bna rakhay hain. Kis kis ko govt. pakray gi. Log bhi tu zimadari ka muzhaira karain