Daylight
Feb 1 2008, 04:56 PM
I have heard about misyar marriages in saudia, what is it all about ?? I think anyone from saudia like khalish bhai can tell us about that i some detail.
asim10
Feb 1 2008, 05:21 PM
Asa
misyar ko app urdu main ghar dammad say mansoob kar saktay hain. is shadi main doon fareeq kuch mamlat tay kartay hain.yani , larki yeh shart rakh saktee hay kay woh apnaybaap kay ghar main rahay ghee aour larkay koo bhee us kay sath rehna paray gha.ya larka kaheen aour bhee reh sakta hay magar larkee apnay maan baap kay ghar main raheay ghee..ya usay khanwand say kowee kharacha waghaira nahin chaheyai woh khud hee apnee kafalat kar saktee hay.
yani yeh aik understanding hay miyan biwi kay darmiyan . aour yeh aam taour per agar kowee probelm hoo dono kay (aam taour per financial probelm) main too usay mutalik dono ke understand ka naam misyar hay.
misyar ka matalb kay kisi cheez main asani paida karna . aour yeh word taiseer ,usra say makhoz hay.jis ka matalb asani hay.
Khalish
Feb 1 2008, 05:39 PM
Abhi yahaan local English newspaper meiN misyar search karne ki koshish ki tu hairaan reh gaya, yeh yahaan itna discuss ho chuka hai keh iss mozo per be.shumar articles and writeups hai.
http://www.arabnews.com/ access karke search option use kijiay aur misyar type kijiay, saari kahani aap ke saamne aa jaaey gi.
Teen Agers looking for Misyar Marriage