QUOTE(Abu Adnan @ Feb 22 2008, 03:48 PM)

he was right ... lekin shah say zeyadah shaah k wafadaar .... log onhaiN pataa nahi kia kia bananay par tull jatayhaiN....
aap nay bilkul durust kia, aap ki naik niyyati par koi shubah nahi... lekin hum par yeh laazim nahi onki har baat ko durust samajhain ... nah hi onki baat ko twist karkay 'qaabilay qabool' bananay par maamoor haiN.
onki baat saaf saaf wazah hai ... jo yaa to ghalat hai yaa sahi hai.... haan baat ki 'tafseer' zaroor ki jasakti hai, baat k rukh ko moRay beghair....
"jab aik zinda insaan k ander ka admi MER jata hai"
ab yaa to yahaaN 'insaan' aur 'aadmi' ko hum maani samjha jaaye yaa phir alag alag ... agar alag alag samjha jaaye... jissmaiN 'insaan' aik positively 'developed aadmi' hota hai aur 'aadmi' by born niraa aadmi hota hai to yeh fiqrah hi mahmal hogaya. kiyouN kay 'aadmi' hi taraqqi paakar insaan bantaa hai to ab insaan k ander 'aadmi' kahaaN say aagayaa. did u get it?
farz kia dounouN hum maani haiN. yaani zindah aadmi k ander kaa aadmi ... ab yeh ander kaa aadmi kia hosakta hai .... aadmi k ander aik to rooh hoti hai... agar baat iss rooh ki horahi hai to .... aagay aap khud samajh jayaiN
rooh k elawah aadmi k ander 2 aur cheezaiN payee jati haiN aik manfi nafs aur doosra musbat zameer ... yeh dounouN hi asal maiN 'ander kaa aadmi' hai. iss maiN say aik ko maarnay ki hadaayat hai aur doosray ko zindah rakhnay ki ... dounouN ko to maaraa nahi jasaktaa. aik ko maarengay to doosra qawi tar hotaa jayega. dounouN saath saath kam o besh to rah saktay haiN... dounouN khataam nahi hosaktay.... iss liyeh 'ander k aadmi' ko maar kar khatam kardena bhi aik il logic baat hai....
ab dekhna yeh chahiyeh k marhoom nay yeh baat kiss daastaan k dauran, kiss pasay manzar maiN kahi thee. kia yeh onk kissi afsanay kahani k ander ki ebarat hai yaa kissi khas moqay par kahi gayee baat hai.... iss baat ko "sahi" sabi karnay k liyeh woh pasay manzer ... sayaaq o sabaaq ka jaanna zaroori hai.... yeh koi aisaa qaul nahi jo universally truth ki tarah such ho. yaani issay aap 'aqwaalay zarreeN" k ziman maiN pesh nahi karsaktay. log gumraah nah bhi howay to confuse zaroor hongay.
humm
great janab
aap nay postmortem hi kar daala sari baat ka

issi liyay main nay likha tha kay baat samajh nahin aayee.....kiyunke yeh sochnay wali baat hay
aap kay last para kay mutabiq yeh baat apnay pas-e-manzar kay sath wazeh ho sakti hay kay un ki murad iss say kia thi.....beheral main ab bhi iss ko positive hi loon ga kay woh apnay ander ki anna aur nafs ko maarnay ki baat hi kar rahay thay