Dosto Firoun kay naam say koun waqif nahin, yeah wo badsha thay egypt kay jo apnay aap ko Khudaa kahlwatay thay.
Tasweer main nazar aanay wali mummy ous Firown ki hay jo Hazrat Mousa Aleh Salam kay dour main tha aour jis nay bani israiel ka peecha kiya tha jub Mousa Aleh Salam apni qoum ko lay kar Egypt say jaa rahay thay.
Is saray waqia ka zikr Quran main hay.
Sumandar main Allah Ezo Wajal nay Is badbakht ko na sirf gharuq kiya balkay sari Duniya kay liyae ta Qayamat eik Nishaani Bana Diya Hay


Faa Tabiro Yaa Oulil Absaar ( ooh aaankho walo dekho ibrat kay liyaye)