Help - Search - Members - Calendar
Full Version: Who Is Educated
HulChul.NET > Science, Arts & Culture > Philosophy & Mysticism
Eva syed
hi guys!

what do u think? who is educated?

the 1 who speaks different languages
the 1 who is mannered etc.

i want to know ur opinion.

discribe an educated person.
*DhanaK*
normally log kehtay hai ke bhai fulaan bahot educated hai,mujjhay mehsoos hota hai jo shaksh yeh khabar de usse yeh bhi conform kar lena chahiye ke padhaayi wala educated hai bas ya manners mein bhi.
Abu Adnan
QUOTE(Eva syed @ Feb 15 2008, 09:25 PM) *
hi guys!

what do u think? who is educated?

the 1 who speaks different languages
the 1 who is mannered etc.

i want to know ur opinion.

discribe an educated person.

jiskay pass 'ilmay naafi'e' (nafa'a denaya walaa ilm) ho, wohi educated hai..... aisaa ilm nah sirf yeh k saahibay ilm ko nafaa (faidaa) deta hai, balkay oskay gird o pesh maiN rahnay walay ko bhi....... 'educated' person ka yeh matlab hargiz nahi k woh laazman khandah / literate bhi ho ... aik an.paRh kissan jo ABCD / alif bay say nawaqif hota hai, magar agriculture par wasee ilm ka haamil hota hai. aisa ilm jo ossay bhi faidah deta hai aur degar insaanouN ko bhi.

shaitaan k pass bahoot saraa ilm hota hai, magar oska ilm nah ossay faidah deta hai nah deger logouN ko lehaza ossay kaun 'educated' kahay. insaanouN maiN bhi aisay shaitaan sifat log hotay haiN jinkay pass degrees to bahoot hoti haiN magar ilmay naafi'e say onka qalb khali hota hai.

mannered ka talluq ilm / taleem say nahi balkay tarbiat say hota hai. pahlay taleem k saath saath tarbiat laazmi dee jaati thee... phir hum nay tarbiat ko kharij karkay mahaz taleem deni shooroo ki aur ab to taleem k naam par mahaz info (maloomaat) denay lagay haiN k yeh information technology ka daur kahlata hai.
breakface1.gif
Kashif
QUOTE(Abu Adnan @ Feb 16 2008, 11:31 AM) *

nicely explained cheerleader.gif

aik baat add karna chahon ga kay ba-amal ho ya na ho.........ilm wala banda educated to kehlayay ga by definition E9.gif
albata apnay ilm par amal karnay aur us say khud bhi faida uthanay wala aur doosron ko bhi faida pohanchanay wala ilm ka behtreen istamal karnay wala hota hay smile.gif
*DhanaK*
QUOTE(Abu Adnan @ Feb 16 2008, 06:31 AM) *
jiskay pass 'ilmay naafi'e' (nafa'a denaya walaa ilm) ho, wohi educated hai..... aisaa ilm nah sirf yeh k saahibay ilm ko nafaa (faidaa) deta hai, balkay oskay gird o pesh maiN rahnay walay ko bhi....... 'educated' person ka yeh matlab hargiz nahi k woh laazman khandah / literate bhi ho ... aik an.paRh kissan jo ABCD / alif bay say nawaqif hota hai, magar agriculture par wasee ilm ka haamil hota hai. aisa ilm jo ossay bhi faidah deta hai aur degar insaanouN ko bhi.

shaitaan k pass bahoot saraa ilm hota hai, magar oska ilm nah ossay faidah deta hai nah deger logouN ko lehaza ossay kaun 'educated' kahay. insaanouN maiN bhi aisay shaitaan sifat log hotay haiN jinkay pass degrees to bahoot hoti haiN magar ilmay naafi'e say onka qalb khali hota hai.

mannered ka talluq ilm / taleem say nahi balkay tarbiat say hota hai. pahlay taleem k saath saath tarbiat laazmi dee jaati thee... phir hum nay tarbiat ko kharij karkay mahaz taleem deni shooroo ki aur ab to taleem k naam par mahaz info (maloomaat) denay lagay haiN k yeh information technology ka daur kahlata hai.
breakface1.gif

highlighted statements,,too good,,too good

magar ab bhi kucch do chaar laday hain jo bacchon ki tarbiyat ko bhi apna farz samamjhhtay hain aur unpar mehnat kartay hain.i guess communication bhi kam hota ja raha hai waaldein aur bacchon ke beech.woh ek doosre say "in touch" naheen rehtay.
Abu Adnan
QUOTE(shafaq @ Feb 17 2008, 02:55 AM) *
highlighted statements,,too good,,too good

magar ab bhi kucch do chaar laday hain jo bacchon ki tarbiyat ko bhi apna farz samamjhhtay hain aur unpar mehnat kartay hain.i guess communication bhi kam hota ja raha hai waaldein aur bacchon ke beech.woh ek doosre say "in touch" naheen rehtay.

very true.
IT aur mass media ka aik almiyah yeh bhi hai k iss nay 'areeb-qareeb' k logouN k maabain faaslay baRha diyeh haiN aur 'door-daraaz' k logouN k maabain faaslay kam kardiyeh haiN. dunyaa aik global village to ban gayee hai, lekin aas paRos k log balkay ahlay khanaa bhi aik doosray say bahoooooooooot dooooooor hogaye haiN.
*DhanaK*
QUOTE(Abu Adnan @ Feb 17 2008, 03:33 AM) *
very true.
IT aur mass media ka aik almiyah yeh bhi hai k iss nay 'areeb-qareeb' k logouN k maabain faaslay baRha diyeh haiN aur 'door-daraaz' k logouN k maabain faaslay kam kardiyeh haiN. dunyaa aik global village to ban gayee hai, lekin aas paRos k log balkay ahlay khanaa bhi aik doosray say bahoooooooooot dooooooor hogaye haiN.

durust farmaya aapnay.

ek hi cchhat ke neechay family members ek "scattered" life jeetay hain.
global village kehtay to hain aur "it's a small world" bhi kehtay hain,lekin faaslay to aur barh gaye.
somehing is missing.
lekin phir wahi baat aati hai ke ab bhikuchc khandaan des mein bhi aur pardes mein bhi ( desi khandaan) sab ko samaitay rakhnay ki koshish mein hain,bacchon se open dialogue rakhtay hain unke shab o roz mein involve rehnay ki koshish kartay hain ( unki apni space ka khayal rakhtay huwe) mehnat to akrna padtee hai har rishtay par karna padtee hai,nothing comes natural,there is nothing set in stone,mehnat to hai aur ALlah se madad smile.gif
Abu Adnan
QUOTE(shafaq @ Feb 18 2008, 12:07 PM) *

sahi farmayaa...
dunyaa abhi aisay logouN / families say khali nahi.
nai nasal say mokaalmah bahoot zaroori hai
baat cheet ka tasalsul hi khandaan ko joray rakhta hai
maiN bhi 'free-mokaalmay' par yaqeen rakhta houN
communication gap (jissay log generation gap samajhtay haiN)
ko paida honay say qabal to roka jasakta hai
paida honay k baad, iskay faaslay baRhnay kokoi nahi rok saktaa
*DhanaK*
QUOTE(Abu Adnan @ Feb 18 2008, 07:18 AM) *
sahi farmayaa...
dunyaa abhi aisay logouN / families say khali nahi.
nai nasal say mokaalmah bahoot zaroori hai
baat cheet ka tasalsul hi khandaan ko joray rakhta hai
maiN bhi 'free-mokaalmay' par yaqeen rakhta houN
communication gap (jissay log generation gap samajhtay haiN)
ko paida honay say qabal to roka jasakta hai
paida honay k baad, iskay faaslay baRhnay kokoi nahi rok saktaa

so true,very accurate
shukriya

p.s. i guess yeh topic ftm mein ya baatcheet mein hona chahie,log zyadah aatay hain participation acchee hogi,logon ki input bhi parhnay ko milegee.
classic
is k liye mujhe hud itna educated hona chahye k samjha saku
aaminah
have read all comments and purely nice

i think koi bhi cheez aik hi level par nahi hey is dunia main.....llike kutch loog zyada educated hain aur kutch kaam and i was reading a book while ago us main aik baat ney kafi disturb kia mujhey
" us taleem ka koi faida nahi jo achi tarbiat ko khatam karnay ka ba'is banay"

ilm is very diversified and we can't just close it in a box....

This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.
Invision Power Board © 2001-2008 Invision Power Services, Inc.