kai baar dekha hay kay koi purana topic kisi na kisi waja say dobara "zinda" hota hay to Mods usay foran lock kar detay hain
main yeh kehna chahta hoon kay jin logon nay us par recently reply kiya hota hay un kay liyay to woh naya topic hi hota hay .....to agar woh aik baar zinda ho hi gaya hay to aap Mods ka kya nuqsan hay iss mein ?
kai topic FG aur MG mein bhi aisay hain jo sirf post barhanay kay liyay use hotay hain un ko kiyun nahin close kartay.........agar koi purana topic achi information rakhta hay ya nayay log us par discussion karna chahtay hain to aap kiyun usay roktay hain?
agar purana topic ..refresh karna nahin allow to usay khud hi close ya delete kar diya karein .........laikin iss tarah close karnay say acha nahin lagta jab kuch log us par reply kar rahay hoon
submitted for approval !
