QUOTE(Abu Adnan @ Feb 25 2008, 03:54 AM) [snapback]2739860[/snapback]
aik lateefah:
khawateen k aik resaalay maiN pasandeedah ish'aar ka safah paRh rahaa thaa to aik shair dekh kar chouNk uTh.Tha..... woh ghalib ka shair hai naa kuch iss tarah .... ragouN maiN dauRnay phirnay k hum naheeN qaail, jo aankh hi say nah Tapkay, woh lahoo kia hai... issi ki parody thee. khatoon ka pasandeedah shair yeh thaa:
se.han maiN dauRnay phirnay k hum naheeN qaa'il
jo saas hi ko nah paTkay, woh bahoo kia hai
PS: ittefaq say chahaa ghalib k shair ki yeh 'tauheen' issi khaaksaar nay ki thee. poori ghazal ki parody, pakistan k sab say baRay urdu weekly 'akhbaar e jahaaN maiN chapi thee... iss waqt bus yehi aik shair aur woh bhi 'khatoon' ki pasand par yaad rah gayee jo aik 'doosri khatoon' ko sonaa rahaa houN. enjoy kijyeh

nazm ka bahot bahot shukriya,bahot lutf aaya parhkar,so much to learn from it,..hmmmm.
parody bhi acchee hai,Allah jaanay yeh saas bahu ki "uttha patakh" kab rukaygi (thinking,,,thinking,,)
sher bahot accha hai friends mein sunaaungi haan yeh daayein baayein dekhka ke koi saas na wahan jalwa afroz hon aur yeh sher "aankhon dekha haal" mein na tabdeel ho jaaye .
mujhhay akhbaar e jahaan ke baaray mein pata hai ek aur akhbaar "jung" bhi hai i guess.yahan jo meri kaafi balke majority of friends pakistan se taalluq rakhtee hain to akhbaar risaalay digest sab ka pata deti rehtee hain,,,. woh meri khala karachi se aksar cheezein laati theen jo kabhi akhbaar mein lipti hoti theen to ham sab bahot excited ho jaatay thay ke dekho pakistani akhbaar

aur phir usmein se news parha kartay thay.