QUOTE(Abu Adnan @ Feb 22 2008, 09:33 AM) [snapback]2736023[/snapback]
1. kaamyaab mard k peechay aik aurat ka haath hota hai. yeh aik laazmi kuliyah hai. kaamyaab mard k pasay pardah maujood aurat (bil.amoom biwi) oski deger zarooriyaatay zindagi ka khayaal rakhtay howay ossay har taraf say bay nayaaz kardeti hai aur youN aisa mard sirf aik point par concentrate karkay KAAMYAAB hojata hai. kabhi kabhi yeh 'aurat' bahan aur maaN bhi hoti hai jaisay Quaid.e.Azam ki kaamyaabi k peechay oski bahan fatima jinnah ka haath thaa.
2. kaamyaab aurat k peechay bahoot say mardouN ka haath hota hai ... koi bora nah manaye ... yeh male oriented society hai, yahaaN aurat ko kaamyaabi haasil karnay k liyeh bahoot say mardouN ka saharaa lenaa zaroori hai. iskay beghair normally aisaa mumkin nahi
3. its half-true k nakaam mard k peechay bahoot see aurtouN ka haath hotaa hai... yaani jiss mard k peechay bahoot see aurtaiN houN, woh naakaam zaroor hotaa hai. magar yeh zaroori nahi k jo bhi mard nakaam ho, oskay peechay laazman bahoot see aurtaiN houngeeN... koi mard apni naa.ahli ki wajah say to bhi to nakaam hosakta hai, jo aksar hota hai.
haha

very good
ab meray kuch kehnay ki to zarorat hi nahin reh gayee hay