raat etv par moshairaa arahaa thaa aik indian poet nay choTy bahar maiN baRi khoobsoorat ghazal paRhi jiska matlaa
har maslay ka hull hotaa hai
aaaj nahi to kull hotaa haiiii
socha iss universal truth ko yahaaN bhi share kia jaye. maslay masaa'il maiN shikaar logouN k liyeh yeh baRi khush ayand baat hai. onhaiN yaqeen rakhna chahiyeh (pareeshaan nahi hona chhaiyeh) k onkay maslay kaa bhi hull maujood hai. hosakta hai k aaj nah ho, lekin kal zaroor hoga. so don't worry n believe it:
har maslay ka hull hotaa hai
aaaj nahi to kull hotaa haiiii
