Abu Adnan
Feb 24 2008, 10:07 AM
maroof (fauji) adeeb o shaa'ir zameer jaffery marhoom k beTay major gen ® ehtesham zameer nay aik interview maiN etraaf kia hai k onhouN nay 2002 maiN gen musharraf k hukm par intikhabi dhaandli karwatay howay PML-Q ko jitwayaa tha. woh oss waqt ISI k political cell k sarbaraah thay. shayad baap k khoon nay ab josh maraa hai. zameer jaffery nay apnay aakhri ayyam usa maiN guzaray thay. oss daur maiN monika-clinton scandle k baad yasir arafaat nay usa k dauray maiN clinton k haathouN ko jhuk kar bosaa diyaa, jiski tasweer dekh kar zameer jaffery nay kaha thaa:
amerikaa maiN hum nay dekhaa
waqt ka pahiyya ghoom raha hai
monikaa nay jiss ko choomaa
yasir osko choaom rahaa hai
khair jang news dekhiyeh aur apna sir dhuniyeh .
VrSoLdIeRs
Feb 24 2008, 05:06 PM
sub kuch hi mush kay against ho raha hai
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please
click here.