QUOTE(Abu Adnan @ Feb 24 2008, 04:10 PM) [snapback]2739257[/snapback]
aisee hi aik khabar sargodhaa k beech bazaar ki kuch youN hai k aik chaurahay pay 2 laRkay aik locked bicycle k qareeb aaye. aik nay doosray say kahaa... chal chabi day... doosray nay kahaa pahlay mera mobile day... pahla bola, chabi day warnah talaa toR douNga, doosra bolaa zara toR kar dikha pooray 100 rupee talay k nah liye to .... pahlay nay pass say path.thar oThaa kar 2 choT maiN talaa toR kar cycle par sawaar hogayaa aur kahnay laga aanaa hai to aa warna paidal aataa rah... doosra jhuT peechay baiTh gayaa shor karta howaa. paass hi police walaa khaRa thaa woh bhi hansanya laga aur chand deger log bhi....
5 mint baad hi aik shakhs haathouN maiN samaan liyeh aayaa aur idher odhar pareeshaan nazrouN say dekhnay laga police walay nay poocha kia howa, kahnay laga abhi yahaaN apni cycle lock karkay gaya thaa jo ghaib hai....
police walay nay 2 gaaliyaaN deeN aur deger logouN nay ossay pooraa maajra sonaya to woh bhi....
hum log ketnay aqalmand haiN, haiN naa....

haha
kya khoob waqia hay

main nay kaha na kay aisay mamlat mein hum bohat aagay hain
woh aap nay suna hoga ......Japan walon nay kisi metal ki bohat bareek salakh banayee .....unhon nay woh tajarbat kay liyay America bhaiji ......salakh 6 months baa'd wapas aayee to woh hairan huway kay America walon nay us bareek salakh mein bhi sorakh kar diya tha .....ab waisi hi salakh Pakistan bhaiji gayee ......salakh 2 din baa'd hi wapas aa gayee aur .....Japan walay yeh dekh kar behosh ho gayay kay Pakistanyun nay us par "Made in Pakistan" likh diya tha