
kahtay haiN k sobah ka bhoola shaam ko ghar wapis aajaye to ossay bhoola nahi kahtay lekin agar JI jaisee munazzam, tajarbah kaar party ka sarbaraah apni seyasi zindagi k shaam hi maiN ghar ka rastaah bhool jaye aur raat gayee ghar wapis aaye to ossay kia kahengay bhoolaa, bholaa yaa kuch aur aur.... pata nahi JI k yeh hasnain (qazi hussain + munawwar hassan) JI k saath saath qaum ko kiss taraf lay janaa chahtay haiN.....
abhi maazi qareeb hi ki baat hai k IJI maiN JI+ NS nay aham role adaa kartay howay mulk ko durust simat maiN lay jaanay ki ibteda thee. muslim league aur JI ki combination aik natural ittehaad hai. awaami satah par bhi aur nazaryaati satah par bhi. JI k pas strong nazarya, tarbiat yaaftah team, tanzeem hai to muslim league k pass nazarya.e.pakistan par vote denay walay awaam ki bholi bhali aksariyat jo apnay har leader k peechay aankh band karkay chal paRti hai.
i was then a member of IJI publicity cell. lehaza mujhay achi tarah pata hai k tab qazi sb aur NS k darmayaan kaisay khush.gawaar talluqaat thay. aur inn dounouN nay mil kar kiss tarh election mohim chalayee. NS PM banay to qazi nay kaha k aj mulk ko aik mujahid PM milaa hai aur jab NS nay qazi grp say mashwara kiyeh beghair 'under pressure' resign dia to qazi sb nay iss par naagawari ka izhaar kia..... lekin dekhtay hi dekhtay phir nah jaanay kia howaa k qazi vs NS woh jang howi k al.amaaN o alhafeez..... qazi sb nay u-turn lay kar NS ki woh mokhalfat ki k dunay nay daantouN talay ungli dabaa lee.... NS hakoomat k khelaaf JI saRkouN par nikal aayee... ossay BB k equal qarar dia ... hatta k choTi borayee aur baRi borayee k falsafah k tehat bhi NS ko choti borayee mannay say inkaar kardia aur NS k khelaaf jehaad start kardia. JI k members / haami hum khayaal iss jang say door rahay taham qazi sb nay JI ki tanzeem aur asaasay ka baRa hisa iss jang maiN jhonk dia.... awaam nay NS ko twoo aksariyat dee magar NS ghair daanishmandi aur qazi ki dushmani say faidah oThatay howay aik aur hussain (mushahid hussain) nay entry dee... pahlay to NS ko atomic dhamakaa karnay say roktay rahay aur jab NS nah maanay to iss nay woh saazish tayyar ki k musharraf hamaray sarouN par aa baiThaa..... ghalib nay ghalat nahi kaha thaa k:
magas ko baagh maiN jaanay nah do
naa.haq khoon parwaanay kaa hogaa.
qaum bhi qaazi sb say kahti rahi k NS ko tanhaa nah choRiyo.... oski kam ori aur naadaaniyouN say dar guzar kijyo, oski sarparasti karkay apnay baRay pan ka saboot detay rahiyyo... magar qazi... baqaulay salahuddin shaheed ... aik to paThaan, doosray (apnay taiiN) naujawaan..... NS k dushman ban kar poori JI oskay moqaablay par jhoNk dee....... qabl azeeN, JI ziaul haqq shaheed jaisay naik aur pabanday saum o salaat o tahajjud guzaar hukmraan k moqaablay par JI o quwwat zayaa karnay ka ahmaqanah kaarnamah anjaam day chuki thee...... to maiN to kahta houN k mush-moseebat ka asal zimmah daar qazi hussain ahmed hai, agar parwanay k khoon ka zimah daar woh magas hota hai jo baagh maiN jaakar momi chattah banata hai, jiss say momi shama banti hai jo bil.aakhir parwanay ko jala deti hai.
aaj qazi sb apnay hi aik paThan bhai ... maulana fazool ... k haathouN shikasht khaa kar aik baar phir NS say haath mila rahay haiN... galay mil rahay haiN..