QUOTE(ManPaki @ Feb 27 2008, 04:17 PM)

thansk Kashif for ur comments, im agreed with you...
i know the drama in the movie was super flop according to hamari "akhlaqiyaat"... jo cheez buri hoti hai us ko bura manna hi bahaduri hoti hai...
ma is movie per aitraaz karnay k saath saath... yahan per chalnay walay aik drama k topic per zarur ap sy kahun ga nazar daliyey aur woh hai drama topic "Manay na yey dil"...
please us drama k baray bhi zarur bateyey ga k kiya us ka topic aisa hai k hum uski tareefain karain... shayed yey meray akelay ki soch ho... magar atleast mujay "Manay na yey dil" ka topic KANK sy bhi kuch zyada bakwas laga...
thanks for being agree bro
ji sahi kaha aap nay ....woh cheezein dekh kar hi mujhay film fazool lagi thi
aur jahan tak us dramay ki baat hay exactly yehi cheez us mein bhi mujhay ghalat lagti hay kay muhabbat ka shosha chorr kar achay bhalay shadi shuda bandon ki life ko tabah karna dikhaya ja raha hay .....I believe kay agar 2 banday aik doosray ko pasand kartay hain to buri baat nahin laikin jab un donon ki alag alag shadi ho chuki hay aur un kay life partners bhi un say sincere hain to phir iss chakar mein nahin parna chahiyay