QUOTE(Abu Adnan @ Feb 27 2008, 11:24 AM) [snapback]2741982[/snapback]
agar qazi nay 'iddat' k ander ander meem fazool say 'rajoo' kar lia to mufteyaanay seyasay iss amal ko jaaiz hi kiyouN nah qarar dain, lekin seyaasi baseerat rakhnay walouN ko saaf saaf nazar aarahaa hai k ab yeh qazi-fazool ki joRi zeyadah dair tak aur zeyadah door tak nahi chal sakti. issi liyeh behtar yehi hai k 'iddat' k khatam honay ka intezaar kia jaye aaur koi doosra mezaaj aashna ham safar talaash kia jaye. kiyouNkay agar qazi aik hi soraakh say dobarah dasaa gaya to iski mominanah sifaat ko baTTa lag sakta hai. koi jaa k qaalallah wa qaala qaala rasool Allah ka wird karnay walay qazi ko yeh qaulay rasool saw sonaa day k ... momin aik soraakh say kabhi nahi dasaa jataa. lehaza agar aap ossi dasay janay walay soraakh ki taraf dobarah qadam ranjah ka iradah bhi rakhtay ho to sambhal jaawo warnah qaulaay rasool saw aap par bhi fit baiTh sakta hai.....