~Saraj~
Feb 28 2008, 01:49 PM
MQM kabhi bhi opposition meyn bethna pasand nahein kerti ..its a fact
Abu Adnan
Feb 28 2008, 04:40 PM
QUOTE(~Saraj~ @ Feb 28 2008, 01:49 PM) [snapback]2743795[/snapback]
MQM kabhi bhi opposition meyn bethna pasand nahein kerti ..its a fact
lekin kiyouN
~Saraj~
Feb 28 2008, 05:36 PM
QUOTE(Abu Adnan @ Feb 28 2008, 04:40 PM) [snapback]2744048[/snapback]
lekin kiyouN

Usuf bhai ........buri baat ....
aap ko sab pata hey kyun mugh sey bolney ka keh rahey heyn
as you like
Feb 28 2008, 10:43 PM
main ake sawal pochna chahta hoon ke ye mqm ko stand kerne wala kon tha aur us ka kea maqsad tha
Abu Adnan
Feb 29 2008, 08:37 AM
QUOTE(saima56 @ Feb 28 2008, 10:39 PM) [snapback]2744338[/snapback]
waisa kissi adabi shaksiaat jaisa abu adnan bhai ya khalish bhai sa sawal hai ka iss nazam ka ashaar mai Wazan kitna hai 
aik bahoot baRay adeeb o shaa'ir aur naqqad mushfiq khajaa marhoom kaha kartay thay k
jahaaN ikhlaaq o kirdaar ka koi wazan nah ho wahaaN ash'aar k wazan ko tolna chay maani daarad
VrSoLdIeRs
Feb 29 2008, 01:57 PM
Abu Adnan
Feb 29 2008, 03:29 PM
QUOTE(as you like @ Feb 28 2008, 10:43 PM) [snapback]2744341[/snapback]
main ake sawal pochna chahta hoon ke ye mqm ko stand kerne wala kon tha aur us ka kea maqsad tha
pata nahi aap nay sawaal kis say poocha hai ... khair jawaab hazir hai... MQM k qayaam say motalliq 2 mauquf haiN. aik khud MQM ka aur dossra mauquf 'zameeni haqeeqat' walaa.
MQM k baqaul:
MQM sindh maiN basnay walay mohajirouN ... urdu speakers ... k haqooq k liyeh banaayee gayee thee. in haqooq maiN saray fahrist sindh k sarkari molaazmatouN maiN bhutto ki taraf say naafiz kardah quota sytem ka khaatema thaa. bhutto nay yeh system 20 saal k liyeh naafiz kia thaa. isski roo say merit ki bajayee sindhi speeking /interior sindh k baasiyouN ko zeyadah say zeyadah sarkaari naukri dena maqsood thaa. 20 saal k bad zia nay issay mazeed saal k liyeh extend kardia aur teesri martabah khud MQM k hakoomat maiN hotay howay extend kia gaya... jo aaj bhi jaari hai. yeh system sirf sindh maiN hai.
MQM ka doosra aham naaraa bengaledh maiN mahsoor 2.5 laakh pakistaniyouN ko pakistan laanaa thaa. yeh motaalebah bhi pasay pusht chala gayaa. teesra aham nuktah karachi ki mayeeshat bilkhasoos transport maiN non-mohajoroun ki ajarah daari ka khaatemaa aur mohajirs ko entery dilwanaa thaa. haqooq yaa maut k naaray say bannay waali party nay pahlay to haqooq ko choRaa (quota system /mahsoor pakistani) aur phir mohajirs ko ... aajkal yeh muttahdah qaumi movement hai....
tareekhi haqaaiq
MQM ghaus ali shah k daur maiN wajood maiN aayee.... ghaus ali shah nazaryaati taur par jiyeh sindh ka aur seyaasi taur par muslim league ka aur waaqe'aati taur par zia ul haq ka bandah thaa. zia nay ossay CM of sindh pahlay banayaa. MPA woh baad maiN banaa. ghaus ali shaah baar baar yeh kah chuka hai k MQM nay ziaul haq k hukm say ISI nay meray haathouN banwaayee. jiska maqsad karachi maiN JI aur deeni jamatouN ka zor toRna thaa...... goya mohajir qaumi movement .... mohajirouN k haqooq ki tanzeem aik punjabi (zia) k hukm say aik sindhi (ghaus ali shah) k haathouN bani aur aik mohajir (altaaf) ko ataa kar dee gayee k yeh lo MQM aur mohajirs k haqooq ka naaraa lay kar maidaan maiN ToT paRo....
wazah rahay k zia nay iqtedaar ppp say cheenaa jiss maiN PNA yaani pakistan qaumi ittehaad nay ossay support kia. PNA maiN JI, JUI, JUP aur muslim league samait 9 parties theeN. jiss nay ppp /bhutto k election rigging k khelaaf tahreek chalayee aur zia nay martial law laga kar iqtedaar ppp say cheen lia. ppp sindh based party thee aur hai. interior sindh maiN ppp ka zor toRnay k liyeh zia nay jiyeh sindh aur g m sindh ko support kia. pakistan k khelaaf likhnay aur olnay walay g m syed ko zia nay hospital maiN jakar guldastah pesh kia aur g m syed k kahnay par ghaus ali shah ko CM sindh banayaa. qabl azeeN ghaus ali shah aik judge thay aur retirtement k 2 saal pooray kiyeh beghair, MPA banay beghair CM banaa diyeh gayee...... urban sindh, karach aur huderabad maiN deeni jamatouN k moqaablay maiN MQM ko layaa gayaa. MQM k bannay k baad urban sindh maiN bad tareen fasadaat howay jo alal tarteeb .... mohajir vs paThan, mohajir vs punjabi, mohajir vs sindhi howay aur jab MQM strong hokar army k madday moqaabil aaye to ISI nay MQM ka haqeeqi group banwayaa aur aakhir maiN mohajir vs mohajir (MQM vs haqeeqi) fasadaat howay. aaj bhi inn dounouN groups maiN jang jari hai..... punjabi-paThanouN nay baham milkar MQM k moqaablay maiN PPI, punjabi pakhtoon ittehad banaayee. phir pathouN nay ANP ko karachi maiN munazzam kia. youN karachi lessani pockets maiN munqasim hogaya jisska seyasi faidaah MQm ko howaa... mohajir-paThaan bad tareen fasadaat k dauraan ... hyderabad k maroof mazah go poet enayat ali khaan (urdu speeking haiN magar 'khan' honay k naatay 'saabiq paThaan' bhi
) nay baRa mash'hoor qata likha:
khud hi khanjer bah dast houN har dam
khud hi lahoo lahaan bhi houN
meri mushkil ajeeb mushkil hai
maiN mohajir bhi houN aur paThaan bhi houN
as you like
Mar 1 2008, 02:06 PM
QUOTE(Abu Adnan @ Feb 29 2008, 03:29 PM) [snapback]2745207[/snapback]

shukria abu adnan bahi aap ne scha aur tafseele jawab dea hy, zia ul haq ko es naik kaam ka zimmadar kaha ja sakta hy laken aap ne ese forum main ye likha ke
. qabl azeeN, JI ziaul haqq shaheed jaisay naik aur pabanday saum o salaat o tahajjud guzaar hukmraan k moqaablay par JI o quwwat zayaa karnay ka ahmaqanah kaarnamah anjaam day chuki thee
kea kissi hukmaran ka pabanday saum o salaat o tahajjud guzaar hona kafe hy aur us ke ease karnamoo per mokalfat kerna quwwat ka zayaa hy?
VrSoLdIeRs
Mar 1 2008, 02:44 PM
QUOTE(as you like @ Mar 1 2008, 02:06 PM) [snapback]2746880[/snapback]

bilkul lazmi nahi paband-e-soum o salaat hona... magar yeh bhi nahi keh unki har shaam "kuch ghaarnon" main katay!!!! magar paband ho, soom o salaat ka to behtar hai 
waisay personally main zia ko kafiii politicians say behtar samjhta hooon... magar personnal opinion hai!!!
Abu Adnan
Mar 1 2008, 03:09 PM
QUOTE(as you like @ Mar 1 2008, 02:06 PM) [snapback]2746880[/snapback]
shukria abu adnan bahi aap ne scha aur tafseele jawab dea hy, zia ul haq ko es naik kaam ka zimmadar kaha ja sakta hy laken aap ne ese forum main ye likha ke
. qabl azeeN, JI ziaul haqq shaheed jaisay naik aur pabanday saum o salaat o tahajjud guzaar hukmraan k moqaablay par JI o quwwat zayaa karnay ka ahmaqanah kaarnamah anjaam day chuki thee
kea kissi hukmaran ka pabanday saum o salaat o tahajjud guzaar hona kafe hy aur us ke ease karnamoo per mokalfat kerna quwwat ka zayaa hy?
hmmmmmmmmm
kia 'giraft' ki hai aap nay meri
bahooot khoob.
sab say pahlay to aap ka shukarya k aap nay mujhay paRha, yaad rakhaa aur phir sawaal othayaa... aap ka sawaal bahoot aham hai. aur iskaa mukhtasar jawaab yeh hai k kissi hukmraan ka mahaz saum o salaat ka paband hona kaafi nahi.
ab aap aatay hain aap k oss etraaz ki taarf jo aap nay meri oss roy par kia hai k JI nay zia ki mokhalfat karkay apni quwwat zaya karnay ka ahmaqanah kaarnaamaa anjaam dia. maiN apnay inn comments par qaaim houN jo kissi aur seyaaq o sabaaq k hawalay say likhay thay.
zia ul haq k 'seyaah' kaar.naamouN maiN MQM ko khara karnaa .... ppp k moqaablay k liyeh jiye sindh / g m syed ko support karnaa (aur yeh nah 'samajhna' k jiyeh sindh ko ataa kardah support ki quwwat bil.aakhir ppp hi ko milegi), sindh maiN rural /urban quota system ka nifaaz jiss nay merit ki dhujjiyaaN bikher deeN, mulki aur bainula aqwaami support k bawajood 2.5 laakh mahsoor pakistaniyouN ko pakistan laanay say inkaar aur onhaiN 'beharies' nahi balkay 'bhikaries' kahnaa, karachi maiN lessani fasadaat ko roknay k liyeh koi sanjeedah koshish nah karnaa, hyderabad baghawat case maiN molaw.wis NAP k afraad ko maafi denaa aur deeni jamatouN k tahafuzzat ko due respect nah denaa saray fahrist haiN.
jab aap kissi hukmraan k dauray hukmraani ka jaizah letay haiN to oski major baRi ghaltiyouN aur baray positive kaam ka jaizah lay kar yeh faislah kartay haiN k oskay musbat kaam ki ahmiat asar pazeeri zeyadah hai yaa manfi kaam ki. zia k baray baray seyaah kaarnaamay maiN nay ginwadiyeh haiN. aap chaahain to inn maiN ezafah kar saktay haiN.
ab aatay haiN zia k baray baray musbat kaarnaamoun ki taraf.... zia ka sab say bara kaarnaamah ussr ko afghanistan maiN hi rok denaa hai. agar zia, afghan mujhaedeen aur usa say milkar ussr ko afghanistan maiN nah rokdeta to aaj pakistan ki sooratay haal iraq o afghanistan say bad tar hochuki hoti. woh pooray pakistan ko rondta howaa garam paaniyouN tak jaa pahonchtaa. ussr k TooTnay say jo roosi muslim reyaastaiN azad howeeN haiN.... onn states ki andarooni halat say shayad ap agaah nahi. jo ussr k qabzay k baad howi. woh alag detail hai.
zia ka doosra bara kaarnamah pak army ko mazboot karna hai jo bhutto nay apni harkatouN say tabaha kardi thee. 1971 ki war maiN pak army ko dhaka maiN 'seyasi shikasht' howi aur bhutto nay jaan boojh kar 90,000 faujiyoun ko barsoun indi maiN qaid rakhwaakar pak army ka moral giraya. dhaka maiN pak army ki hathyaar daalnay ki taqreeb baar baar ptv say nashar karwayee takay pa army aur pakistaniyouN ka moral giray aur woh qawi hukmraan banaa rahay.... zia nay apnay pooray daur maiN pak army ko rewayti hathyaar say lais kia... afghan war maiN usa k apnay intert say faidah oThayaa aur bhari asleha pak fauj k liyeh haasil kia...
yeh sahi hai k Dr. qadeer ko bhutto lay kar aayaa aur kahota atomic project ka aghaaz bhutto k daur maiN howaa. magar asal kaam zia k 11 salah daur maiN howaa. au aha jata hai k atomic project ki takmeel bhi zia k daur hi maiN hogayee thee. sirf dhamakah nahi howaa baaqi sab kaaam zia k daur maiN mokamal hogaya thaa aur issi atom bomb ki confirmation ki wajah say india zia k daur maiN pak mpar 2 martabah hamlah kartay kartay rok gayaa.
zia ul haq nay qaum ko bhutto k fastayee daur say nijaat delaayee. aap ko to pata bhi nahi hoga k bhutto daur maiN kia kia hota raha. agar zia ka daur nah aataa aur bhutto 10/12 saal barsaray iqtedaar rahtaa to pakistan europe ban chuka hota... karachi maiN casino /juwway ka aDDa taameer hochuka thaa. iska wazeeray mazhabi amoor maulana kausar niazy, maulana whisky k naam say jana jataa thaa. society main log openly namaaz paRhtay howay sharmatay thay. sharaab khanay aam kholay thay. bhutto dunya ka wahid civil marshal law administrator bana jiss nay karachi, lahore pindi maiN juzwi marshal law lagayaa. election maiN badtaren dhaandli ki... khud (PM) aur oskay charouN CM bila moqaablah 'elect' howay... kissi ko madday moqaabil khara hi nahi honay dia... apnay madday moqaabil khara honay walay JI k jaan muhammad abbasi ko aghwa karkay thar maiN phikwadia.... ulemaa ko tawaifouN k saath baiTha kar tasawerr khichwayee.... yeh sab pak press maiN recorded hai. press par jabr o zulm kia. aur mokhalfeen k saath saath ppp k apni zaat say alag roy rakhnay walay ppp lkeaders par tashad.dud karwayaa.... aik aisay hukmraan say zia nay nijaat dilaya...
zia zati hasiyat maiN to namazi parhezgaar thaa hi... magar iss nay society maiN salat ka nizaam qaaim karwayaa. har daftar maiN namaaz ka intezaam karwaya. ramzan maiN hotels band karwaye. kholay aam khanay peenay par pabandi lagwayee. deen.daar leaders / ulemaa ko onka jaiz haq dilwaya. khud JI waloun ko sakoon ka saans mila jo bhutto k zulm k maaray howay thay.saray deeni parties ko apnay saath milaya aur onki safarishaat par apni aqal k motabiq kuch nah kuch achcha kaam kia. aur jab deeni parties apni 'dictation' par amal dar aamad nah karwasakeeN to zia ko tanhaa choR kar iski mokhalfat shooroo kardi... aisay maiN zia k gird secular logouN nay deeni roop dhaarkar oskay masahab ban gayee. issi nuktay par maiN nay kaha thaa k yeh deeni jamatouN ki sab say baRi ghalati, specially JI ki thee..... JI nay jehaday afghanistan maiN zia k shanah bh shanah hissa lia thaa magar mulki maamlat maiN zia ki mokhalif hogayee aur ossay tanhaa dushmanoun k raham o karam par choR dia........ yehi ghalati JI nay nawaz shareef ko choR kar ki.... nawaz ko kamzore karkay, ossay moqah parastouN k hawalay kardia aur nateejatan musharraf nomoodaar howa. musharraf NS ki ghalat hikmatay amali k baaes aayaa. aur NS ki ghalat faislouN maiN JI ka oskay qareeb nah hona bhi shamil hai. JI k hotay howay NS kabhi aisee bay waqoofi nah karta k musharraf aataa.
aap pakistani hukmara.nouN ayyub, yahyaa, bhutto, benazeer aur NS ka mawaaznah zia say karain, balance sheet banayaiuN to pata chalega k inn sab nomayaan hukmnaraanouN maiN zia zaati hasiyat mai bhi aur muli maamlaat maiN bhi aik behter aur achcha hukmraan saabit howaa
VrSoLdIeRs
Mar 1 2008, 04:10 PM
QUOTE(Abu Adnan @ Mar 1 2008, 03:09 PM) [snapback]2746956[/snapback]

cha gaye ho!!!
Abu Adnan
Mar 1 2008, 04:35 PM
as you like
Mar 1 2008, 07:59 PM
QUOTE(Abu Adnan @ Mar 1 2008, 04:35 PM) [snapback]2747124[/snapback]
abhe to nahe laga thaah ker ke koe pari tooop chalien
Abu Adnan
Mar 2 2008, 08:27 AM
QUOTE(as you like @ Mar 1 2008, 07:59 PM) [snapback]2747444[/snapback]
abhe to nahe laga thaah ker ke koe pari tooop chalien

Allah nah karay ... shubh shubh bolo bhai ... sanjeedah guftagoo k beech hansi mazaq bhi chalta rahta hai takay tension / bad.mazgi nah ho... sadaa khush raho....
Abu Adnan
Mar 2 2008, 09:07 AM
QUOTE(as you like @ Mar 1 2008, 07:57 PM) [snapback]2747441[/snapback]
zaberdast..... muje pata hy aap qaboo main aane wale nahee
kisse ko apne raye se pechy hatana maksad nahee, zia ke mofeed kamoo se kisse ko iktalaf naheemain kod unka mootraf hon,
laken wo waqti aur baseless thy,
sab se pehlay to us ka haq e hukmarani he hum tasleem nahee ker sakte, wo kon sa aaeni , islami aur jamhoori qanoon hy jo
ake public servent ko 11 sal tak mulk main qabiz rehne ka jawaz farham kare, ache aur bura kaam oon ka hisab to baad ke baat hy
us per bhe nazer daalen to us waqat usa ka mufad tha to ham ne afghanistan main unki jang lari aur mush ke door main bhe ye he hooa
ham ne taleban ke kilaf usa ke mofad ko pora kea, han keh sakte hain ke us waqat pakistan ko zeada fawaed hasil hoe, laken doono adwar main usa ke
marzi chali,
armi ka moral buland kea to kia mila ab itna bulad hy ke pakistani awam es ke bulandi se prashan hy, ulty ham per he bras rahe hain hamari army main etne iklakqi juraat nahee ke wo apne general ke kilaf bol sakeen ager wo mulk bhe toor day,
bhutto ko pansi de ta kia faeda hooa us ke nazreeat ko aur makbooliat mili , jo aaj tak ppp ko zinda rake hoe hy,
namaz aur zakat ka nizam qaeem kerne ka koe faeda nazar nahe aaya kea es tarah ka nizam matoob hy islam ko, jo us dour main banaya gea tha,
11 sal main se 1 sal ke sahee rukh per nifaz e shareet mulk ko model islamic state bana sakte the. 1. zia k marshal law ghair qanooni aur ghair ikhlaqi declare karnay say qabl aap ko july-77 say qabl k pakistan maiN wapis jana hogaa. oss daur maiN (tareekh ki time machine k zariyeh) jaa kar aap dekhaiN k sooratay haal kia hai.... bhutto ki so called ' jamhoori hakoomat' kia kar rahi hai. kia oska civil-marshal law -administrator banna durust thaa... kia woh really aik 'elected-ruler' tha? 70 k election to pooray pakistan k liyeh howay thay jiss maiN mujeeb jeeta thaa.... jab mujeeb ko as aksariyati party leader hakoomat nah milli, pakistan TooT gaya to west pakistan maiN new election k baad hi koi jamhoori hakoomat ban sakti thee... lehaza nah to bhutto ki hakoomat qaanooni thee, nah jamhoori uar nah ikhlaqi. woh bhi taqat /sazish k bal bootay par hukmran bana thaa aur 1977 maiN election rigging k khelaf poori qaum oskay khelaaf oTh KhaRi howi thee... ppp k elawah sari political parties hakoomat k khelaaf PNA ki soorat maiN yakja qaum k saath thee aur issi seyasi ittehad +qaum ki bar baar ki request par fauj nay full fledge marshal law lagaya aur zia nay hakoomat sambhaali jiss nay bhutto k neem marshal law aur aameriyat ka khatema kia aur bhutto k zulm o jabr ka bhi... yehi wajah hai k jab bhutto aik qatal case maiN adaaltouN say sazaa paakar phansi par charha to pooray pakistan maiN koi ehtejaaj nahi howaa. plz see oss daur k akhbaraat aur media record.
u r rite k zia nay bhi aur mush nay bhi .... usa k mofaad k tehat hi usa say tawwun karkay afghanistan maiN jang laRi.... magar dounouN maiN zameen aasmaan ka faraq hai.... zia k daur maiN pahli zaroorat pakistan ko thee. yehi wajah hai k oss daur maiN pakistani awaam bhi fauj k shanah bashanah afghan war maiN shamil thee. pakistani awaam jaan bhi day rahay thay aur maal bhi... usa nay sirf maal dia aur asleha... baqi sari jang pak army, pak awaam aur afghan mujhaedeen nay laRee jiski support pooray aalmay islam say mujahedeen nay jaan o maal k saath ki.
aaj afghan war ki asal zaroorat usa ko hai. pak ko nahi. lehaza jab mush nay usa k saath afghan war maiN pak army koodi to pakistani awaam pak army k khelaaf uTh khaRay howay. yeh pakistan ki tareekh ka anokha moR hai k pakistani awaam nay hazarouN pak fauji ko maar dala. pak army k cantoment areas k ander bomb dhamakay howay aur pakistan maiN aaj sab say zeyadah ghair mahfooz pak army hai. kia zia daur maiN bhi aisaa hi howa thaa... as a whole mush k ghalat policy ko pak army nay own kia aur saza bhugut rahi hai. pak army nay to madarsha hifsa par bhi bombing karkay hazaroun bachiyoun ko zindah jala dalaa... aaj ki army aur zia k daur ki army k behaviour maiN zameen aasman ka faraq hai.
wazah rahay k bhutto ko phansee zia nay nahi balkay supreme court nay dee thee aik aisay qatal k jurm maiN jiski FIR khud bhutto k daur maiN darj howi thee bhutto k khelaaf. haaN albatta yeh sahi hai k zia nay adalat ki sazaa k khelaaf bhutto ki maafi ki darkhast j nusrat bhutto lay kar gayee thee, rudd kardia. osnay adalat k aik faislay ko rudd nahi kia to kia bora kia...politically hosakta hai k oska faislah ghalat ho, magar morally aur qaanoonan osnay koi ghalat kaam nahi kia... aaj bhi adalatoun k faislay k motabiq qatal k mujrimouN ko phansee dee jati hai. kia musha saari phansi k mujrimouN ko maaf kardeta hai.
jahaaN tak zia k 'nifazay islam' k liyeh ki gayee aqdaamaat ki afadiyat wali baat hai to iss par do roy hosakti hai... magar yeh zehan nasheeN rahay k zia koi jamhoori taur par elected seyasat.dan hukmraan nahi thaa... woh koi islamic scholar yaa deni jamaat ka sarbaraah bhi nahi thaa khud koi alamy deen bhi nahi thaa... lehaza oss say yeh TAWAQ.QAH rakhan k woh aik islami reyasat banaa dega, khaam kheyali k sewa kuch nahi.... woh to awaam aur seyasi parties ki request par bhutto k zulm o jabar say qaum ko bachanay k liyeh aayaa thaa. aur being a deen.daar aam insaan.... osnay bhutto k daur k secular society ko aagay baRhnay say kissi had tak braek laga dia... apni aqal aur soojh boojh k motabiq islamic qawaneen banaye aur chand islamic steps liye jaisay nizamay salatt o zakaat... oskay yeh aqdaamat sood mand howay yaa nahi yeh alag baat hai...... iss ziman maiN oski support deeni parties nay to ki nahi...... deeni parties mahaz apnay naam say yeh KAARNAAMAH karna chahti thee... aur inkay pass hakoomat nah thee aur nah hai. last 5 saal maiN NWFP maiN hakoomat milli to iska hashar sab k samnay hai....... issi liyeh maiN kahta houN k zia k 'sonahri 11 saalah daur' ko deeni jamtouN nay zayaa karneki hamaqat ki jab taqat aik farday waahid k haath maiN thee jo persolly deendaar thaa aur deeni jamtoun ka supporter. aur woh aik aalmi jang maiN bhi masroof thaa jiss nay ussr k tokray karkay kaii muslim reyastoun ko azaad karwayaa. aik aisay hukm.raan k daur ko khokar qaazi n co nay aik TAREEKHI JURM kia hai, jiska hissab kabhi nhah kabhi onhain dena paregaa......
bhutto ki phansee ho yaa BB ka qatal yaa zia ko fhamakay say ora dena.... teenoun pakistan k hukmraan thay... teenoun ki ghair fitree maut par pakistani qaum k REACTION ko nazar andaaz nahi kia janaa chhaiyeh. aik ki phansee par qaum chup saadhay rahi. oski beTi k alamnaak qatal par qaum / sogwaaraan nay mulk bhar maiN tareekhi looT.maar ki..... jabkay zia k QATAL par qaum nay jiss SHAANDAAR RADDAY AMAL ka mozaahira kia woh taareekh maiN mahfooz hai. poori qaum ashk.baar thee 25 laakh say zayad logouN nay oskay janazay maiN shirkat ki... pooray mulk maiN aik tyre nahi jalaa aik pathraa'wo nahi howa. poori muslim dunyaa k sarbarahaan oski tadfeen maiN shareek howay. nazm o zabt ka woh mozaahiraa howaa jiski nazeer milni mushkil hai. it's a historical record. koi bhi check karsakta hai. FARAQ SAAF ZAAHIR HAI. tareekh ki such.chayee ko jhuTlanaa asaan nahi.
as you like
Mar 2 2008, 02:10 PM
Bhotto , bb aur zia ke katme ko aap ne khoob milaya teenoo hukmaran to thy laken moot ke waqat bhotto aur bb iqtadar main nahee thay balke waqat e hazer ke hukmaran ke mokalaf thay zia ke moot per lakhoon ka majma fitree tha wo ake sadar ka janaja tha , aur Islamabad ke markez main tha islami mulkoon ke sadoor ke sharket to hone thi , nazmo zabat ager misali tha to yad rakhain wo military chief bhe tha , sara intazam military ke paas tha . baki mulk main tire tak nahee jala to zahir hy wo awami leader to nahi tha ke awam ko es qader jazbati wabestagi hoti us se jese ke ham ne bb ke marne per loogoon ko rote daka. Aaj bhi aap zara teeno ke qabroon per ja ker dakin to aap ko awami makbooliat ka andaza ho jae ga , aaj zia marhoom ka mizar faisal masjid main na hota jo ke ake tafreeh gaha bhe hy to us ke qaber per fateha perne wale etny bhe na hote,
Benazir to baap ke shorat. Ke waja se teesree bar bhe PM ban rahe the, eajaz ul haq ko to bap ke wirasat main ake seet bhe na mil sake.
Bhotto aur zia ke zati zindagi ko un ke ebadat ya buraeoon ko ab mozoo banana fazool hy wo ab hamare hukmaran nahee hain ake alaneia tahujed guzar tha aur doosrah sharab nosh us ka hisab allah le ga, aur allah ne un ke bare main kea faislah kea wo aap aur ham nahee jante,
Ham baat ker hain un ke seasi eqdamat ke jin ke asarat mulk per muratab hoe,
90 din main election ka wada hoa thaw aur wafa kab hoa ….?
jab awam aur ARD ka mutalba bahoot zoor paker gea to Majlise shoorah bana de gae jis ke paas koe qanoon sazi ka ikeayar nahe tha , islam aur islami istelahat ko un ke rooh se hat ker istemal kea gea,
Nazea e zaroorat ke tahet wo sare kam keye gae jo baad main mush ne keye
Lokel bodies election ko general election se pehley kerwa ker musa aur zia ne ake he maksad hasel kea
Pco (1981) jari kia tamam ja judges ges ko es ke tahat halaf lene per majboor kea us waqat bhe jagoon ne resine kea tha , mush thorah aura age bhar gea……..
Apne sadaret ko election se pehle referendum ke zareye paka kea aur 8 ween tarmeem ka hatoorah le ker parliament ke ser per khara ho gea mush ney bhe kuch muktalif tareeke se ye he maksad hasel kea,
Jis terha haram ke kamai se masjed nahe ban sakte ese traha galat treekhe se hasel hasel mansab ko estamal k eke acha kam nahe ho sakta, ham jamhooreat ke nizam main chal rahe hain jis ke bare main mashoor hy ke buri se buri jamhooriat ache se achi dictator ship se behter hy
Zia en main acha zaroor tha Islamic law , shariat bill , ke nafaz main us ne kam kea tha blochestan ke awam bhe us ke daur main kushkismat rahe, us dour main awam ko nisbatan kam takaleef sehna pareen, mager wo tamam amoor main gair mutanazia naheen tha, us ke daur main mukalfat bahoot zaroori thi , ji ne ye kam kea sab se zeada mar bhe khai, laken shariat bill ka tohfah to dea mulk ko, es sari bahas ka khulasa ye hy ke hukmaranoo ko wo kitne hy pakbaaz hoon khullah choorna droost nahee, khulafie rashdeen ke misaleen hamary samne hain, unhoon ke apne kae governers ko chand mamooli se shakyat per hata dea, hakmaran awam ka noker hy , 1001 ache kam kare to ye us ka farz he aur 1 bura kam kare to us ko tookna awam ka faraz hy.
as you like
Mar 5 2008, 12:02 PM
QUOTE(VrSoLdIeRs @ Mar 2 2008, 03:55 PM) [snapback]2748454[/snapback]
^^ nice reply!!!
thanx ... abu adnan bahi ka kea hal hy? koe ata pata hy aap ko un ka
hamzaad
Mar 6 2008, 11:12 PM
QUOTE(saima56 @ Feb 28 2008, 10:39 PM) [snapback]2744338[/snapback]
waisa kissi adabi shaksiaat jaisa abu adnan bhai ya khalish bhai sa sawal hai ka iss nazam ka ashaar mai Wazan kitna hai 
is nazam may ashaar k wazan ko na dekhein ................... ye dekhien k khuloos kitna hay
hamzaad
Mar 7 2008, 12:21 AM
Bhai Abu Adnan or As u like
ap dono mashallah bohat bareek beeni se pakistan ki siyast per nazar rakhe hue hain. or bohat ache tubsare kiye hain.
chun k main abhi tufle maktab hon is liye ap done se is baat per tabsara kerwana chahon ga k
1965 ki war hue to Pakistan main Army rule tha (Ruler General Ayub Khan Tha)
1971 ki war hue to Pakistan main Army rule tha (Ruler General Yahya Khan)
1977 ki Afghan War jis main Pakistan Pesh pesh tha us waqt bhi Pakistan main Army rule tha (Ruler General Zia ul Haq)
Jab tak Afghan war chalti rahi tab tak Army rule bhi chalta raha. Taqreebun Afghan War Khatam Army rule Khatam.
Phir luli langhri Democracy chalti rahi is k baad 9/11 ka Blast or again Afghanistan per USA ki Bombadment. us waqt bhi Pakistan main Army rule tha (Ruler tha General Pervaiz Musharraf)
Abhi War jari hai or Musharraf bhi mansab per hai or rahe ga ya koi or Army ruler. Lekin Army ruler zaroor rahe ga. ye bhi gor talab hai k ab Afghan war main kuch coolness aa chuki hai is liye ruler to Army hai lekin without uniform.(coolness)
VrSoLdIeRs
Mar 8 2008, 05:58 PM
QUOTE(hamzaad @ Mar 7 2008, 12:21 AM) [snapback]2755621[/snapback]

baat to ji buhat theek hai... aur kafi acha tajziya kiya aap nay
well 1965 main may be hum log kuch adventurous ho gaye thay... aas for 1971 woh to glaay ka dhol thi bajana pari.... 1977 bhi galay ka dhol thi magar us say humain khud bhi kaafi faida tha... 9/11 kay baad wali to aik kamzoor hukmaran ka faisla tha jis par shayad humain 3-4 saal tak aur pashtana paray (Allah na karay)
magar kargil ki war to aik awami govt. main howi thi na???
MasterJee
Mar 9 2008, 05:04 PM
wah kia baat hai.
is qadar samajhdar or baa shaoor log yahan tabsara ker rahe hain.
Hamzaad ki baat kuch qabil e gor nazar aati hai.
jab bhi mulk main koi mushkil waqt aata hai ruler army hi hota hai.
kia is ka matlab ye samjha jae k humari intelligence mashallah bohat intelligent hai jise pehle se sab pata lag jata hai or wo take over ker leti hai.
or mulk ka saisi nizam to is k bare main main yehi kahon ga k sab establishment ki kat putlian hain. sab ko bari bari khelne k liye khilona mil jata hai.
LEADER
Mar 9 2008, 06:42 PM
QUOTE(Abu Adnan @ Mar 1 2008, 10:09 AM) [snapback]2746956[/snapback]
yehi ghalati JI nay nawaz shareef ko choR kar ki.... nawaz ko kamzore karkay, ossay moqah parastouN k hawalay kardia aur nateejatan musharraf nomoodaar howa. musharraf NS ki ghalat hikmatay amali k baaes aayaa. aur NS ki ghalat faislouN maiN JI ka oskay qareeb nah hona bhi shamil hai. JI k hotay howay NS kabhi aisee bay waqoofi nah karta k musharraf aataa.
hmmmmmmmm
Yeni aap ferma rahey haiN k (aap ke bqool) bewqoof (Nawaz Sharif) ka sath akhir tek diya jaye....! Chahey us ki "bewaqoofiyaN" aap k khatey maiN dal jaiN....ya aap hi ko le doobaiN ?
Sorry to say that I can't understand this logic ?
Kisi siyeny ka qoul hai ke nadan doost se dana dushman acha...(why)
Because aik nadan doost (bsa auqat) ziyada khatranak sabit hota hai !
(But I think ke NS ke bewqoofi maiN ab kafi kami aa chuki hai...thoRa bohat samjhdar hogiya hai ,,,,shaid)
as you like
Mar 9 2008, 07:35 PM
QUOTE(hamzaad @ Mar 7 2008, 12:21 AM) [snapback]2755621[/snapback]
Bhai Abu Adnan or As u like
ap dono mashallah bohat bareek beeni se pakistan ki siyast per nazar rakhe hue hain. or bohat ache tubsare kiye hain.
chun k main abhi tufle maktab hon is liye ap done se is baat per tabsara kerwana chahon ga k
1965 ki war hue to Pakistan main Army rule tha (Ruler General Ayub Khan Tha)
1971 ki war hue to Pakistan main Army rule tha (Ruler General Yahya Khan)
1977 ki Afghan War jis main Pakistan Pesh pesh tha us waqt bhi Pakistan main Army rule tha (Ruler General Zia ul Haq)
Jab tak Afghan war chalti rahi tab tak Army rule bhi chalta raha. Taqreebun Afghan War Khatam Army rule Khatam.
Phir luli langhri Democracy chalti rahi is k baad 9/11 ka Blast or again Afghanistan per USA ki Bombadment. us waqt bhi Pakistan main Army rule tha (Ruler tha General Pervaiz Musharraf)
Abhi War jari hai or Musharraf bhi mansab per hai or rahe ga ya koi or Army ruler. Lekin Army ruler zaroor rahe ga. ye bhi gor talab hai k ab Afghan war main kuch coolness aa chuki hai is liye ruler to Army hai lekin without uniform.(coolness)
wah kea nukta nikala hy aap ne , wazan to hy aap ke baat main ..
wase hamari ake kamzori ye bhee to rahee hy ke paki tareekh ka galeb hissa army rule raha hy.
jis main ake aadmi aur wo bhe army general fasleh kerta hy. jis ke terbeat he larne ke leye ke jate hy, ager
seasi gov ho to masael afhaam o tafheem se bhe hal ho gaeen jung ke nobet hy na aae
secondly" barouni taktoon" ke leye aasan hota he ke wo ake aadmi se apnne kaam nikelwa lain
jabke elected gov se apne mutalbaat manwana mushkel hota hy, nawaz shreef ke saat ye he hoa tha,
jo wo na ker saka wo mush ko laa ker kerwaya gea