QUOTE(shafaq @ Mar 13 2008, 12:28 AM)

aghai se berh k hai gum e aghi mujhe.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
koi tafseel se waazeh alfaaz mein samjhaaye
thankyou
jahan tak main samjha hoon
woh kehtay hain na kay--- la-ilmi bhi naimat hoti hay kai baar--- yani hota yeh hay ba'z waqt insan ko aisi baat ka ilm ho jata hay jis kay pata chalnay say usay takleef hoti hay ya tension hoti hay to aisay haal mein usay khyal aata hay ka iss baat ki aagahi say to behtar tha mujhay na hi pata chalta
jaisay jaisay insan ka ilm ziada hota jata hay usay dunya ki haqeeqat samajh aati jati hay aur usay phir dunya say raghbat nahin rehti ......iss liyay woh ba'z waqt sochta hay kay itna na hi jan pata to behtar tha....gharz yeh aik falsafa hay jis kay mutabiq kai baar kisi cheez ka na jan-na hi behtar sabit hota hay
issi khyal par mabni mera aik sh'er bhi hay
to khuli jab woh haqeqateiN, meri roh yeh pukar uthi
kathin na ho koi lamha bhi shayd aagahi kay azab say