Help - Search - Members - Calendar
Full Version: Kya Rouney Walay Insan Ki Har Baat Sach Hoti Hai?
HulChul.NET > Masti - Masti > Baat-Cheet
Airy_Princess
Salamz n Hizzz 0-wave1.gif hope u ppl would b f9 ... acha g mera question app logon se ajj yeh hai k kya rounay walay insan ki har baat sach hoti hai ??? ya k ju log zyada roune ka drama[i will call it drama] karty hain they just shed crocodile tearz??? wot do u think??? what is the value of Tearz* for u??? buht se log aaise hoty hain jinko rouna nahi aata tou kya woh insaan ju bina rouye baat karta hai woh sacha nahi hota hai??? just a discussion nothing much ... so ... share ur views ppl smile.gif
Abu Adnan
QUOTE(Airy_Princess @ Mar 2 2008, 04:21 AM) [snapback]2748023[/snapback]

sarhaanay meer k aahistah bolo
abhi tok rotay roay so gaya hai

ronay ki kai qismaiN haiN... jaisay bach.chouN ka bah awaaz boland ronaa.... aurtouN ka bilaa awaaz aansoo bahanaa ... mardouN ka aurtouN ki tarah ronaa ... professionalism k iss daur maiN ronaa bhi aik art ban gaya hai. jiss nay is art ko chabukdasti say istemaal kia woh kaamyaab hogayaa. cheerleader.gif

aik bach.chaa seeRhiyouN say gir paRa aur oski patloon phaT gayee. oss nay dayaiN bayaiN dekhaa aur kissi ko maujood nah paa kar uTh khara hogaya... etnay maiN oski mummy aagayeeN aur boleeN k yeh patloon kaisay phaTee, kahnay laga gir gaya thaa... mummy boleeN magar tumharay ronay ki awaaz to nahi aayee, bach.cha bolaa... maiN samjha aap ghar par nahi haiN. E9.gif E9.gif

bil.amoom log takleef yaa ghami k moqay par rotay haiN. lekin khawateen iss kulyah say mustasnaa haiN... woh ghum aur khushi dounouN mawaqay pay bay tahasha aansoo bahanay maiN malekah rakhti haiN. lehaza kissi khatoon ko rota dekh kar koi yeh andazah nahi laga sakta k mausoofah kissi dukh say ro rahi haiN yaa khushi say... albattah 'motalleqah' fard ko yeh bah khoobi pata hota hai k iss maratbah mausoofah k ronay ka 'asal raaz / sabab' kia hai. E21.gif

(usuf e sani k mazmoon 'Tok rotay rotay' say aik iqtebaas)

E9.gif E9.gif
*DhanaK*
QUOTE(Abu Adnan @ Mar 2 2008, 03:12 AM) [snapback]2748082[/snapback]

samajhh mein naheen ata ke aap khawateen ke favour mein hain ya against smile.gif
*DhanaK*
QUOTE(Airy_Princess @ Mar 1 2008, 11:21 PM) [snapback]2748023[/snapback]
Salamz n Hizzz 0-wave1.gif hope u ppl would b f9 ... acha g mera question app logon se ajj yeh hai k kya rounay walay insan ki har baat sach hoti hai ??? ya k ju log zyada roune ka drama[i will call it drama] karty hain they just shed crocodile tearz??? wot do u think??? what is the value of Tearz* for u??? buht se log aaise hoty hain jinko rouna nahi aata tou kya woh insaan ju bina rouye baat karta hai woh sacha nahi hota hai??? just a discussion nothing much ... so ... share ur views ppl smile.gif

rona kabhi naheen rona chaahay toot jaaye sapna salona guitar.gif

naheen ronay se yeh muraad naheen ke ronay walay ki har baat sach hai.
kucch log/bacchay rokar baat manwanay ke aadi ho jaatay hain.ya hamdardi ke liye rotay hain ya ghalti karkay usmein phans janaay ke dar se rotay hain
mujhhay to na jaanay kaisay samajhh mein aajata hai ke fulaan ka rona sacha hai ya jhhoota
well most of the time
waise nice topic AP sweeto
Abu Adnan
QUOTE(shafaq @ Mar 2 2008, 09:31 AM) [snapback]2748089[/snapback]
samajhh mein naheen ata ke aap khawateen ke favour mein hain ya against smile.gif

jo meri HAAMI haiN, onkay favour maiN aur jo meri MOKHALIF haiN onkay against. icon_peace.gif

tafan.nun bar taraf, as a whole maiN khawateen k favour maiN houN k male oriented iss world maiN agar gender wise koi mazloom hai to yehi sinfay naazuk. Islam woh wahid mazhab hai jo sinfay naazuk ko sab say zeyadah support karta hai aur tahaffuz faraham karta hai. Allah k aakhri NAbi saw nay issay aabgeenay say tashbeeh dee hai bah qaul mir anees:

kahayaal khaatir ahbaab chhaiyeh har dam
anis Thes nah lag jaye aabgeenouN ko

yahaaN 'ahbaab' ki jagah khawateen hona chhaiyeh...... maiN nay qabl az shadi k daur maiN bhi aur baad az shaadi (apni zati shadi) .... bhi khawateen related issues par bahoot kuch likha hai... HC par bhi mosal.sal likh raha houn..... maqsood khawateen ki 'favour' karnaa hi hai. magar kabhi kabhi khawateen apni kam ilmi, islam say naa.waqfiat yaa existing non-islamic culture maiN rungay honay k sabab woh meri baat ko samajh nahi paateeN. mo'aa'sharti zindagi say motalliq har islamic qanoon, reet, rewayat khawateen k favour maiN hai, kaash khawateen issay samajh sakaiN. bus issi koshish maiN laga rahta houn.

maano nah maano, jaanay jehaaN ikhteyaar hai
hum naik o bud hazoor ko samjha.ay jatay haiN

(bhashan khatam howa.
icon_peace.gif )
Kanch k1 gur1a
umm..rouna do qism ka hota hia.. aik drama karna n aik dil se sensitive hone per..
main personally apni misal doongi.. coz dusron pe kehne ka koi right nai hia FDON.gif
main sensitive hun.. or rouna ajata hia mujhse choti choti baat par.. mujhe kisi ka gusse se dantna bhi rula deta hia.. ya main kisi ko kisi or par dant te sunoon ya jabar karte dekhon to ro parti hun.. am sensitive to nature.. emotionally bahut weak hun main..

so basic baat yeh hia ke rouna dil se .. to woh apne aap hi ab jab mehsoos karte ho kisi bhi cheez ko dil se.. to rouna ajata hia.. or jo crocodile tears hian.. jese ke zid main rou kar dikhana ke mujhe yeh chayie.. ya asa nai kiya to main roo doongi/doonga n ro kar dikhana.. to pata chal jata hia ke kon kitna sachha hia..

n wese bhi dunia main bahut se ase mazboot dil ke log hote hian.. jinhien rouna nahin ata hai.. bahut ghum main bhi hon to bhi nai routay.. to unko hum ghalat nai tehra saktay.. yeh unka nature hia..

zaroori nai ke sach sabit karne ke liye chillana paray.. ya fir rou kar dikhana pare to hi sach hoga.. ansu or awaz kabhi bhi sach k saboot nai hote smile.gif
VrSoLdIeRs
na ji rona dhona lazmi nahi sacha honay kay liye... suchi baat hai is par koi comments khaas nahi aa rehya i think shafaq n DA are quite on track!!
ManPaki
QUOTE(Airy_Princess @ Mar 2 2008, 04:21 AM) [snapback]2748023[/snapback]
Salamz n Hizzz 0-wave1.gif hope u ppl would b f9 ... acha g mera question app logon se ajj yeh hai k kya rounay walay insan ki har baat sach hoti hai ??? ya k ju log zyada roune ka drama[i will call it drama] karty hain they just shed crocodile tearz??? wot do u think??? what is the value of Tearz* for u??? buht se log aaise hoty hain jinko rouna nahi aata tou kya woh insaan ju bina rouye baat karta hai woh sacha nahi hota hai??? just a discussion nothing much ... so ... share ur views ppl smile.gif

Khushk aankhuun main bhi sailaab hua kartay hain
Koi ro kar dikhayey yey zaruri tu nahi!!!!!!!!!!

infact yahan sirf un logoon ki baat ho rahi hai shayed jo vaqai "crocodile tearz" aankhuun main liyey phirtay hain... inhiin logoon ki vaja sy jo vaqai main sensitive log hotay hain woh bhi becharay some time "ragray" main ajatay hain aur un ko bhi "drama" kah kar ignore kar diya jata hai...

what is the value of Tearz* for u???

ma kabhi kisi ronay walay ki baat per yaqeen nahi karta unless k woh araam sy sanjeedgi sy muj say share karay apni baat... kyun ki jis insaan ko khud apnay tears ki value ka andaazaa nahi tu us k tears ki meray liyey kiya value hosakti hai... shayed ma us ki help tu karduun ga but usy deserving samajh kar nahi balkay apnay samnay sy us ko jald az jald hatanay k liyey...

Ansoo bahanay hain tu sirf Allah k samnay apni duaoon main... Allah hum sab ko aisi nazar day k hum Sachay insaan ko pehchaan sakain!!!
amir82
Aksar log tab rotay hain jab un k sach pe yakeen na kiya jaye, , ,
Bt kuch log jhoot ko sach sabit kerney k liye ro pertay hain, , ,

Ye tu ab samney waley pe depend kerta hey k wo kitni achi tara se ronay waley ko janta hey,,

Ya ,,,,,, phir,,,,,,, ronay wala kitni acha tara se ro raha hey !
hamzaad
QUOTE(Airy_Princess @ Mar 2 2008, 04:21 AM) [snapback]2748023[/snapback]
Salamz n Hizzz 0-wave1.gif hope u ppl would b f9 ... acha g mera question app logon se ajj yeh hai k kya rounay walay insan ki har baat sach hoti hai ??? ya k ju log zyada roune ka drama[i will call it drama] karty hain they just shed crocodile tearz??? wot do u think??? what is the value of Tearz* for u??? buht se log aaise hoty hain jinko rouna nahi aata tou kya woh insaan ju bina rouye baat karta hai woh sacha nahi hota hai??? just a discussion nothing much ... so ... share ur views ppl smile.gif

i dont think so k har ronay walay ki baat sachi ho................but ye bhi ghalat hay k har ronay wala drama kar raha hay........................

kuch log baat bay baat rotay rehtay hien..........aur kuch log aisay bhi hotay hien jo badi say badi ghum bhi hansh kar seh jatay hien ..........aur aankh mien aansu nahi aatay .............u n liye faraz sahab nay farmaya hay k ..........

Zabt lazim hay magar dukh hay qayamat ka faraz
Zalim ab k bhi na ro.a ga tou mar ja.a ga

tou baaz halaat mien rona zaroori bhi hota hay.............. kabhi aisa bhi hota hay k koi sakht sadmay mien ki haalat mien saktay mien chala jata hay ................ tou doctor mashwara detay hien k ussay zabardasti rulaya ja.a ............ taakay iskay dil ka gubaar halka ho warna ye aansu adnar hi andar iski mout ki waja bun jaiengay.............

Is say ye sabit hua k rona bhi sehat k liye zaroori hay................ aansuo say aankho ka mail dhulta hay..................

wesay bhi aansuo ki apni aik taseer aur taqat hay...............especially aurto k liye tou ye aik hathyaar ka kaam karta hay................. k jab unsay kuch nahi ban padta tou wo rona shuru kardeti hien.................

aansu ki defination aik shaeer ki nazar mien:

Meray aansu ka har qatra teri mohabbat ki nishani hay
Agar samjho tou moti hay, na samjho tou pani hay
Kashif
main kabhi gham pe roya to nahin
barsaat ka mausam hay kya kiya jayay (mera sh'er)

zarori nahin kay ronay wala hamesha sacha ya sahi ho ......aakhir magarmach kay aanso wala muhawra aisay hi to nahin bana gig.gif
ronay ka taluq mukhtalif jazbaat say hota hay .....aik aur sh'er yaad aa gaya

mujh ko to sakhti-e-halaat pe rona aaya
ronay walay tujhay kis baat pe rona aaya
classic
blink.gif
classic
kehte hain k raute hoe mard ka aetbar nahi kerna chahye.............waise yeh me ne nahi kaha 1-afsana.gif
aaminah
nice comments by all clapping3.gif
nice to read it
*DhanaK*
QUOTE(Abu Adnan @ Mar 2 2008, 04:48 AM) [snapback]2748096[/snapback]
jo meri HAAMI haiN, onkay favour maiN aur jo meri MOKHALIF haiN onkay against. icon_peace.gif

tafan.nun bar taraf, as a whole maiN khawateen k favour maiN houN k male oriented iss world maiN agar gender wise koi mazloom hai to yehi sinfay naazuk. Islam woh wahid mazhab hai jo sinfay naazuk ko sab say zeyadah support karta hai aur tahaffuz faraham karta hai. Allah k aakhri NAbi saw nay issay aabgeenay say tashbeeh dee hai bah qaul mir anees:

kahayaal khaatir ahbaab chhaiyeh har dam
anis Thes nah lag jaye aabgeenouN ko

yahaaN 'ahbaab' ki jagah khawateen hona chhaiyeh...... maiN nay qabl az shadi k daur maiN bhi aur baad az shaadi (apni zati shadi) .... bhi khawateen related issues par bahoot kuch likha hai... HC par bhi mosal.sal likh raha houn..... maqsood khawateen ki 'favour' karnaa hi hai. magar kabhi kabhi khawateen apni kam ilmi, islam say naa.waqfiat yaa existing non-islamic culture maiN rungay honay k sabab woh meri baat ko samajh nahi paateeN. mo'aa'sharti zindagi say motalliq har islamic qanoon, reet, rewayat khawateen k favour maiN hai, kaash khawateen issay samajh sakaiN. bus issi koshish maiN laga rahta houn.

maano nah maano, jaanay jehaaN ikhteyaar hai
hum naik o bud hazoor ko samjha.ay jatay haiN

(bhashan khatam howa.
icon_peace.gif )

bahot acchay khayalaat share kiye aapnay
mujhhay yeh bhi poocchna hai huqooq e niswaa'n sehi talluuq rakhti hai yeh baat ke nikah mein maher ta'ayyun kartay waqt ladki/ghar walay ( ladki ki aaindah bhalaayi ke liye security ke liye) sharaaet daal saktee hai ?
tenha_saima
i hate roona dhoona eusa_naughty.gif

expectations always hurts
In anso'on ki qeemat tm kia jano CHUNNI BABU....hahahaha......
*DhanaK*
QUOTE(tenha_saima @ Mar 10 2008, 03:01 AM) [snapback]2761255[/snapback]
i hate roona dhoona eusa_naughty.gif

nobody likes it my fellow canadian rose.gif
ab yeh essential part of life hai,kya kijiye smile.gif
Gn0m3r.X
crying = emotional blackmail krakrani.gif
Somia sha
salams
Kya Rouney Walay Insan Ki Har Baat Sach Hoti Hai?
There r 2 typs of humans whos crying or weping
1 is week person
Aksar dikha gaya hai kai kuch log baat kartai kartay ghabratay hay or baat pori bhi nahi
khai patay our ruoney lagtay hai ya aaik kamzor insan ki aalamat hoti hai aaisa kyno hotahai !
Is kay kuch rezans hai like hazetation during the child development
(bacho ki parwarish kai doran on par baija pabande lagana , darana dhamkana batbatpar, talking wid impressive phrases
n some say "crying n wepings" is shoing sickness
jis kay zaimaidar bachon kay ghar walay onkai parents , teacherz n wo mahoul jis may bachay parwarish parahai hay sub hotaihai
My opanian strong n paworful human not shoing his/her tears its shoing the weekness of huminity whos not have a strong heart

U know "Humility n courtesy r acts of piety"

2 is lier whos knowing so deficult

Ya or baat hai kai kuch log crocodil tears shoing karty hai or jhot ko sach sabet karnai
kailia aanso'o ka saharalytay hay jokai aksar dikhagayahai.hows totaly rong.aisay log
darasal aapnaiapko hi dokha dirahi hotai hai .

n i say "Actions will b judged according to intentions"
Good bey
moomal
QUOTE(Airy_Princess @ Mar 2 2008, 04:21 AM) [snapback]2748023[/snapback]
Salamz n Hizzz 0-wave1.gif hope u ppl would b f9 ... acha g mera question app logon se ajj yeh hai k kya rounay walay insan ki har baat sach hoti hai ??? ya k ju log zyada roune ka drama[i will call it drama] karty hain they just shed crocodile tearz??? wot do u think??? what is the value of Tearz* for u??? buht se log aaise hoty hain jinko rouna nahi aata tou kya woh insaan ju bina rouye baat karta hai woh sacha nahi hota hai??? just a discussion nothing much ... so ... share ur views ppl smile.gif

[color="#9ACD32"][/color][size="3"][/size][font="Georgia"][/font]nahie bhaie hir rounay wala insan sacha nahie hotaaa
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.
Invision Power Board © 2001-2008 Invision Power Services, Inc.