QUOTE(M Kashif Nisar @ Mar 15 2008, 04:32 AM) [snapback]2770614[/snapback]
humm sahi ......acha kiya aap nay share kar li baat

discussions say kafi cheezein clear ho jati hay
jab bhi waqt milay ki kya baat hay abhi bata detay hain
last point ka matlab yehi hay kay har insan kay sath jo rishtay jurray hotay hain ...un mein us banday ki association mukhtalif rishton kay sath jaisi hogi waisi hi us kay zehen mein priorities bhi hoon gi un rishton kay mutaliq .......laikin kisi dosray banday kay liyay zarori nahin wohi priorities hoon kiyunke us kay apnay relation hon gay apnay rishton kay sath.......like kisi banday ki barray bhai say association hoti hay ...kisi ki behen say ...etc
meray walid kaha kartay thay kay rishta to sirf aik ta'ruf hota hay kay falaN banda mera yeh lagta hay ...laikin asal baat us ta'luq ki hoti hay jo un bandon ka aapas mein hota hay
meray walid kaha kartay thay kay rishta to sirf aik ta'ruf hota hay kay falaN banda mera yeh lagta hay ...laikin asal baat us ta'luq ki hoti hay jo un bandon ka aapas mein hota hay
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
yeh do lines aapki poori reply ka nichor hai,kis qadar gehri baat hai yeh
main ne kabhi isay is tarah naheen socha
Allah paak aapkay walid saheb ki maghfirat farmaayein aur unko jannat mein aa'la muqaam se nawaze Ameen
aapka bahot shukriya jo aapnay apnay waalid saheb ki baatein yahan share keen.