QUOTE(M Kashif Nisar @ Apr 9 2008, 05:20 PM) [snapback]2811604[/snapback]
lo ji aa gaya answer bhi
1-ehsas-e-kamtari ka shikar insan kai wajoohat ki bina par hota hay .......aik baat us kay real halaat, waqiaat aur circumstances hotay hain aur phir sath us ki mental approach aur confidence bhi hota hay jo matter karta hay...agar aik banday kay pass koi cheez nahin hay chahay woh koi slahiyat ho ya koi istamal ki cheez ho to woh banda us cheez ko dosroN kay pass dekh kar ehsas-e-kamtari ka shikar ho jata hay ...laikin agar us ki soch strong hay to usay apnay aap ko wohi present karna chahiyay jo kay woh hay aur jitna kuch ALLAH nay diya hay us par shukar karna chahiyay ....agar koi cheez nahin hay us kay pass to us baat ko dosroN say chupana ya kisi say maang kar yeh zahir karna kay meray pass bhi hay .....yeh ehsas-e-kamtari hay...insan ko apnay haal par kamtar feel karnay ki bajayay us ko face karna chahiyay kiyunke jo us kay sachay dost hain ya us ki qadar karnay walay hain woh us ko aisay hi pasand karein gay ...mal-o-daulat ki waja say nahin ....aur jo mal-o-daulat ki waja say us say relation rakhein gay un logoN say usay koi faida nahin hoga
2- psychologist kehtay hain kay ehsas-e-bartari bhi asal mein ehsas-e-kamtari ki hi aik shakal hay ....jab kisi insan mein apni daulat, taqat ya shuhrat ki waja say gharoor paida ho jayay aur woh dosroN ko apnay barabar na samajhay to woh ehsas-e-bartari hota hay ....aur yeh bhi aksar un logoN mein hota hay jo pehlay kam-hasiat hotay hain aur ba'd mein unhain daulat ya taqat mil jati hay to un mein yeh soch paida ho jati hay
3- Nature say insan kafi kuch seekhta hay agar woh seekhnay wala ho ...agar us nay apni ghaltiyun say seekhna nahin seekha to phir mushkil hi hoga seekhna
bohat shukria jawab woh bhi tafseelan denay ka...parh k seeka aur samjh bhi
1 & 2..totally agree and xactly my views & thinking

but us kamtari ki situation say nikalna bohat mushkil hay chahay insaan kitna hi samjhdaar ho...haan Allah ki raza aur hidayat jab saath ho to kutch bhi na'mumkin nahi...is k liye to Allah Mian ko razi rakhna chahyea .....make a deal wid Allah 4 our ownself
3.ummm i think agr insaan chahay to
sab kutch nature say seekh sakta hay....
think on it??