QUOTE(tihami @ Mar 18 2008, 02:57 PM) [snapback]2776018[/snapback]
hmmm aap tu waqai parhay likhaay haain... ishq ka sheen ka part 1 tu main nay parha hay,, laikin part 2 naheen,, kiyoon k writer ju change hu gaya..
ishq ka qaaf bhi daikh laitay haain kaisee hay, laikin aleem-ul-haq jaisee tu na hou gee,,,,
hmmm devta ko main nay bhi kafi parha thaa, laikin ab tu arsa huaa parhaay hoaay, jab Pak main thaay tu prhtay thaay,,,,,,,,,
good.....
to aap ko parhay likhay honay mein shak tha tahir bhai

Ishq ka sheen download kiya huwa hay kafi arsay say laikin parrha nahin ...........shayd aik baat yeh bhi hay lashaoor mein kay iss ka 2nd part to kisi aur nay likha hay phir kya faida....laikin parrhon ga InshaAllah
Ishq ka qaaf bhi pehlay download nahin ki thi laikin haal hi mein save ki hay kay parrh kar to dekha jayay
devta ab parrhnay kay laaiq hi nahin .......bohat si baatein repeat ho chuki hain aur bohat say technical jhol bhi aa chukay hain
aap kay good ka thanks