QUOTE(M Kashif Nisar @ Mar 12 2008, 04:25 AM)

Tihami bhai
agar woh log jung larrtay hain to un ka kaam hi yehi hay .....agar bank mein guard rakha jata hay to woh issi liyay rakha jata hay kay kisi khatarnak situation mein bank ki hifazat karay....to woh apni duty sar-anjam dey kar koi ehsaan to nahin karay ga na .....fauj nay kya kiya hay .....apni duty chaurr kar mulk par qabza kar laiti hay ...saray retired faujyun ko kisi na kisi organization mein bhaij diya jata hay behatreen tankhwah par....jab fauj is mulk ko apni jageer samajhti hay to awam bhi apnay jazbaat ka izhaar to karein gay..aur yeh haqeeqat hay kay pehlay awam mein fauj ki jo izat thi ab woh 25% bhi nahin hogi shayd
sir ji , ahsaan tu hay hi agar koi apni jaan par khail kar aap ki hifazat karay chahay usay us kaam k liyay tankhah hi kiyoon na dee jaatee hou....
rahee baat k woh apni duty sahee say day rahay hain.. tu sirf wohi naheen -- balkay koi bhi apni duty sahee say nahen day raha.. clerks say laay kar oper tak sab rishwat laitay haain -woh koon sa duty day rahay haain..
aap k politicians koon sa ahsaan kar rahay haain, poora mulk lout kar kha gaay haain.. aur ab bhi unhoon nay a kar yahi karna hay...
halaat sirf fouj k anay say kharab nahen hoaay balkay haamray a'amaal haain ju aisay halaat paida kar rahay haain..