Help - Search - Members - Calendar
Full Version: Javed Chudhery Ka Talk Show.. Aaj Tak
HulChul.NET > Current Affairs & Politics > Current Affairs / Kashmir Issue
saima56
Plz see this

http://www.youtube.com/watch?v=8eAFgz4mgBY...feature=related

what do u think about a columnist to be a tv anchor?

i dont find good tv person as he has great name in writing. he has a great ability to write but his abilty to do a program is not even average.
VrSoLdIeRs
u r right... banday kay pass knowledge to buhat hai... magar presentation main mar kha gaya hai... poweful anchor nahi hai... but still i consider him better then a few
saima56
QUOTE(VrSoLdIeRs @ Mar 16 2008, 11:06 PM) [snapback]2772431[/snapback]
u r right... banday kay pass knowledge to buhat hai... magar presentation main mar kha gaya hai... poweful anchor nahi hai... but still i consider him better then a few

koi banda agar acha writer hoo zaroori nahi ka woo acha muqarir bhi hoo aur mujhe javed ch ka case mai lagta hai ka uss ko apna qalam sa hi sahafaat karni chaye smile.gif
VrSoLdIeRs
QUOTE(saima56 @ Mar 17 2008, 06:16 AM) [snapback]2773040[/snapback]
koi banda agar acha writer hoo zaroori nahi ka woo acha muqarir bhi hoo aur mujhe javed ch ka case mai lagta hai ka uss ko apna qalam sa hi sahafaat karni chaye smile.gif

wohi to main keh raha hoon... magar yaar itna bhi bura nahi may be waqt kay saath saaath polish ho jaye... masla iski presentation ka itna nahi jitni iski voice ka hai iski voice kafi dheemi hai
Kashif
aisa hota hay kai baar kay jis banday ki tahreer mein jo baat hoti hay woh us ki guftago mein nahin hoti aur ba'z waqt aisa bhi hota hay kay aik banda bolta bohat acha hay laikin tahreer mein utna acha express nahin kar sakta apnay aap ko
Abu Adnan
QUOTE(saima56 @ Mar 16 2008, 07:17 AM) [snapback]2771862[/snapback]
Plz see this

http://www.youtube.com/watch?v=8eAFgz4mgBY...feature=related

what do u think about a columnist to be a tv anchor?

i dont find good tv person as he has great name in writing. he has a great ability to write but his abilty to do a program is not even average.

Jawaid Chaudhry k peechay shia lobby paRi howee hai k kissi tarah ossay OUT kar day.... pahlay JANG say nikalwayaa.... baad azaaN PTV say agreement bhi hogayaa for talk show... lekin wahaaN bhi sazish k zariyah ossay enter nahi honay dia gayaa. ab EXPRESS maiN oskay khelaaf saazishaiN horahi haiN....... express k editor-in-chief abbas athar shia haiN jabkay express hi maiN hassan nissar bhi shia aur anti sunni bandah hai. in dounouN nay mil kar yahaaN bhi iskay khelaaf mahaaz banaa lia hai. hassan nisar dobarah jang group join karchuka hai... bhutto daur maiN ppp k daily mosawaat maiN hassan nisaar chief thaa aur abbas athar junior... express maiN ulta hogayaa.

iss maiN koi shubah nahi k jawaid chaudhry tahreer ka ghazi hai, guftaar ka nahi.... phir tv screen par oski kam-omri bhi zaahir hojati hai aur woh seniors shakhseyaat ko oss tarah 'ghair' nahi saktaa jaisaa deger anchor persons kartay haiN.... oss nay khud bhi aik progrm maiN apni 'mezbaani' ki 'adam-maqbooliat' ki wajoohaat par roshni daali thee. ossay 'ehsaas' hai k oss maiN kia 'kami' hai.... hamaiN aisay fard ko 'support' karna chahiyeh jo islam aur pakistan say committed ho. aur jiski tahreerouN k laakhouN log girweedah houN. media maiN JC say bhi gaye guzray mezbaan maujood haiN. JC bhi aahistah aahistah apnay qadam jamaa hi lega aur iss moqay par mokhalif lobby nay ossay yahaaN say bhi out nah kardia to... oska aik column dekhiyeh. aur bainul-satoor story ko samajhnay ki koshish kijyeh.

MJB
1. thora mazeed explain ker dain ke shia Javed ch ke peechey kion parey hain
2. agar shia hazraat ne hi inko jang se nikalwaya tha,,,, tu 1 aur shia abbas athar ne inko express main kion-ker aur kaisey accept kiya,,, kya unhain maloom na ho ga,,, ke inkey khilaf inki biradari hey,,, tu wo log khud abbas athar ke bhi khilaf ho jain gey
Abu Adnan
QUOTE(MJB @ Mar 17 2008, 03:59 PM) [snapback]2773690[/snapback]
1. thora mazeed explain ker dain ke shia Javed ch ke peechey kion parey hain
2. agar shia hazraat ne hi inko jang se nikalwaya tha,,,, tu 1 aur shia abbas athar ne inko express main kion-ker aur kaisey accept kiya,,, kya unhain maloom na ho ga,,, ke inkey khilaf inki biradari hey,,, tu wo log khud abbas athar ke bhi khilaf ho jain gey

express abbas athar ka akhbaar nahi balkay woh khud molazim-modeer.e.aalaa hai.... jawaid chaudhry ho yaa abdul qadir hassan yaa oriya maqbool jaan.... iss level par akhbaar maiN appointment molaazim modeeray aalaa (abbas athar) nahi kia kartaa. yeh lakhani group ka akhbaar hai jo JANG k moqaablay par aayaa hai. express-maalik nay inhaiN direct appoint kia hai.... express 11 cities say nikalnay wala wahid daily hai. JC ghaleban islamabad edition ka editor hai iss tarah iski kuch nah kuch local khud.mukhtari bhi hai aur oskay column ko abbas athar cheR bhiu nahin sakta. albatta as editor in chief under the table oskay khelaf sazish to karsakta hai. ossay tang to karsakta hai. aik senior sahafi honay k bawajood abbas ather colum nigari maiN JC say bahoot peechay hai... CJ pakistan ka sab say zeyadah paRha jaanay wala colum nigaar hai doosray woh pakistan k best APNS colum nigaar ka award bhi hasil karchuka hai. jabkay abbas iss say hanooz mahroom hai.
MJB
QUOTE(Abu Adnan @ Mar 17 2008, 12:16 PM) [snapback]2773714[/snapback]

pahley sawal ka tu aap ne tazkara hi nahin kya,,,,,

ji mujhey andaza tha,,, ke inki appointment Athar abbas se opper ke level pe ki gai ho gi,,,, lekin jaisa aap ne kaha ke JC Pakistan ka sab se ziada parha janey wala columnist hey,,, aur abbas athar iss se bohat peechey hey,,,, tu lakhanioon ke liye kis ki ahmiat ziada ho gi,,,, JC ki AA(yeah bhi khoob ittefaq raha ke aap donon ham-mukhafaaf nikal aye) ki
Abu Adnan
QUOTE(MJB @ Mar 17 2008, 04:41 PM) [snapback]2773732[/snapback]
pahley sawal ka tu aap ne tazkara hi nahin kya,,,,,

ji mujhey andaza tha,,, ke inki appointment Athar abbas se opper ke level pe ki gai ho gi,,,, lekin jaisa aap ne kaha ke JC Pakistan ka sab se ziada parha janey wala columnist hey,,, aur abbas athar iss se bohat peechey hey,,,, tu lakhanioon ke liye kis ki ahmiat ziada ho gi,,,, JC ki AA(yeah bhi khoob ittefaq raha ke aap donon ham-mukhafaaf nikal aye) ki

1. pahla sawaal..... sorry k khayaal nahi rahaa..... JC pakistan ka woh wahid young journalist hai jo kissi " sahafti-lobby" say munsalik nah hotay howay apni tahreeroun /columns k zariyeh pakistani civil/military beaurocracy samait jumlah "aqliati-mazhabi-firqouN" k mofadaat ko 'expose' kartay howay awaam ko onkay khelaf "bhaRkataa hai".... JC ki tahreeraiN kahaniyouN k roop maiN aik aam aadmi k zehan o dil maiN bhi absorb hojati haiN..... agarchay yeh kaam deger deger (sabeqah) rightist-sahafi-lobby pahlay say karti chali aarahi hai, magar awwal to woh khud aik group maiN munazzam haiN doosray onhaiN jamati-group ki political support bhi hasil hai and u know k pakistani journalists maiN jamti group aik baRa group hai... jabkay awaam maiN jamti-group bahoot choTa hai.... yehi wajah hai k shia-lobby (sahafi-group) ossay 'tanhaa' dekh kar oskay peechay hai k ossay OUT karday. pakistan ki sahafi beradri maiN shia-sahafiyouN ki tadaad bhi kaseer hai jo pakistani-shia-awaam ki tadaad ki nisbat khasi zeyadah hai. issi liyeh shia-sahafi bil.amoom har 'lobby' maiN shamil hokar apnay aap ko doosrouN say hum-rung show kartay haiN. hairat angaiz baat yeh k JI k sarkari tarjumaan daily jasarat maiN bhi shia sahafi 'bila-takalluf' kaam kartay nazar aatay haiN.

2. lakhani aik tajir beradri hai. woh aik new akhbar maiN aik new journalist (JC) ko to editor-in-chief nahi bana saktay thay. onhouN nay intezami etbaar say AA ka intekhaab bilkul durust kia hai k AA k pass sahafati intezam ka wasee tajarbah hai (jo JC k pass nahi). JC as a journalist-editor AA k moqaablay maiN 'tiflay-maktab' hai jiska woh barmala izhaar bhi karta hai...... maiN nay sirf 'colum-nigaar' ki haisiyat say CJ ko AA say kaheeN baRa kaha hai nah k as a journalist k...... lakhani group knows this difference. waisay bhi express (Jang ki tarah) kissi aik maktabah.e.fikr ka akhbaar nahi. onhouN nay jaan boojh kar aag-paani ko yakjaa kia howaa hai...like JANG. mera khayaal hai k CJ lakhani groups say hasil kardah ekhteyaaraat k tehat hi apni marzi k colum likhta hai (yeh sahoolat jang maiN baray baray colum-nigar ko aaj tak hasil nahi... onkay colum aaj bhi edit /cancel hotay haiN)... express maalkaan... jang maalkan ki tarah sahafti tajarbah nahi rakhtay. lehaza onhouN nay baray baRay sahafti-ghoray hire karliyeh haiN mukhtalif nazaryaat k takay onka akhbaar market maiN chalay-bikay-monafa day. baqi internal maamlaat to onkay molazmeen /editors hi kartay haiN. jahaaN CJ ... AA k 'maa.tehat' bhi hai aur kissi had tak khud.mukhtaar bhi....... yeh to tay hai k aisay maiN CJ ko AA-group ki chaalouN say bachtay howay chalna hoga jabkay AA-group maalkaan ko naaraaz kiyeh beghair CJ ko out kar saka to kar lega warnah bardaasht karega.
saima56
QUOTE(Abu Adnan @ Mar 17 2008, 03:49 PM) [snapback]2773684[/snapback]
iss maiN koi shubah nahi k jawaid chaudhry tahreer ka ghazi hai, guftaar ka nahi.... phir tv screen par oski kam-omri bhi zaahir hojati hai aur woh seniors shakhseyaat ko oss tarah 'ghair' nahi saktaa jaisaa deger anchor persons kartay haiN.... oss nay khud bhi aik progrm maiN apni 'mezbaani' ki 'adam-maqbooliat' ki wajoohaat par roshni daali thee. ossay 'ehsaas' hai k oss maiN kia 'kami' hai.... hamaiN aisay fard ko 'support' karna chahiyeh jo islam aur pakistan say committed ho. aur jiski tahreerouN k laakhouN log girweedah houN. media maiN JC say bhi gaye guzray mezbaan maujood haiN. JC bhi aahistah aahistah apnay qadam jamaa hi lega aur iss moqay par mokhalif lobby nay ossay yahaaN say bhi out nah kardia to... oska aik column dekhiyeh. aur bainul-satoor story ko samajhnay ki koshish kijyeh.

i always supported JC. masla yeh hai ka tv ki anchorship different cheez hai, mujhe nahi lagta ka woo apna qadam maidan-e-guftaar mai jama paye ga its my personal feelings. i like him as a columist and he was the only columnist jiss mai mujhe simaat bhut bari tadad awam ki mutasir hai aur fan following hai.

MJB
Thanks AA bhai for the background
Abu Adnan
QUOTE(saima56 @ Mar 18 2008, 11:45 AM) [snapback]2775585[/snapback]
i always supported JC. masla yeh hai ka tv ki anchorship different cheez hai, mujhe nahi lagta ka woo apna qadam maidan-e-guftaar mai jama paye ga its my personal feelings. i like him as a columist and he was the only columnist jiss mai mujhe simaat bhut bari tadad awam ki mutasir hai aur fan following hai.

aap ki baat 'Theek' hotay howay bhi Theek naheeN. icon_peace.gif

aik kahani, entitled "maaqool naa.maaqool" yaad aagayee.... aik western shakhs par apni bahoot hi moTi biwi ko samander maiN dabo kar qatal karnay k ilzaam maiN 'tafteesh' horahi thee.... chouNkay laash mili nahi thee lehaza police walay mahaz hasil shudah information ki bunyaad par shak o shubah ka izhaar kartay howay mulzim par sawaalaat ki bochaaR kar rahay thay.... bil aakhir milzim nay hathyaar Daaltay howay apnay qatal ka etraaf kartay howay apni biwi hi k behaviour ko iss qatal ka moharrak qarar detay howay inspector ki hamdardi hasil karneki gharz say tamseelan kahaa........... farz karaiN k aap samander maiN tair rahay houN aur aap k jism k saath aik bahoot wazni path.thar baandh dia jaye jiss say aap ko tairnay main bahoot diqqat mahsoos horahi ho aur aap k Doob kar marnay ka imkaan ho to kia aap aisay maiN apnay jism aur oss path.thar say bandhay door ko kaaT kar paTh.thar ko samander maiN dabo nahi dengay... maiN nay bhi to yehi kia hai...... inspector moskoratay howay bola.... meri nazar maiN to aap ki baat nehayat maaqool hai (mulzim khush howa) lekin qanoon ki nazar maiN nehayat naa.maaqool E21.gif

pas aap ki baat 'Theek' hotay howay bhi Theek naheeN. icon_peace.gif

E9.gif E9.gif
Abu Adnan
QUOTE(MJB @ Mar 18 2008, 02:11 PM) [snapback]2775943[/snapback]
Thanks AA bhai for the background

adaab arz hai
This is a "lo-fi" version of our main content. To view the full version with more information, formatting and images, please click here.
Invision Power Board © 2001-2008 Invision Power Services, Inc.